View Single Post
  #1  
Old Friday, May 13, 2016
unsolved_Mystery's Avatar
unsolved_Mystery unsolved_Mystery is offline
Senior Member
 
Join Date: Mar 2009
Location: Bahawalpur
Posts: 1,150
Thanks: 2,659
Thanked 1,356 Times in 719 Posts
unsolved_Mystery is a splendid one to beholdunsolved_Mystery is a splendid one to beholdunsolved_Mystery is a splendid one to beholdunsolved_Mystery is a splendid one to beholdunsolved_Mystery is a splendid one to beholdunsolved_Mystery is a splendid one to behold
Default Zulm phir Zulm.........

Zulm phir zulm hai, barhta hai to mit jaataa hai
Khoon phir Khoon hai, Tapkega to jam jaayega

Khaak-e-sehra pe jamy ya kaf-e-qaatil pe jamy
farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jamy
tegh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jamy
Khoon phir Khoon hai Tapkega to jam jaayega

Laakh baithy koi chhup chhup k kameen gaahon mein
Khoon Khud deta hai jalaadon k maskan ka suraagh
saazishein laakh uraati rahein zulmat ka naqaab
le k har boond nikalti hai hatheli pe chiraagh

zulm kii qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
jabr ki hikmat-e-purkaar ke eema se kaho
mehmal-e-majlis-e-aqwaam kii laila se kaho
Khoon diiwana hai, daaman pe lapak sakta hai
shola-e-tund hai, Khirman pe lapak sakta hai

tum ne jis Khoon ko maqtal mein dabana chaha
aaj vo koocha-o-bazar mein aa nikla hai
kahin shola kahin naarah kahin pathar ban k
Khoon chalta hai to rukta nahin sangeeno se
sar jo uthta hai to dabtaa nahin aaeeno se

zulm ki baat hi kya, zulm ki auqaat hi kya
zulm bas zulm hai, aaghaaz se anjaam talak
Khoon phir Khoon hai, so shakl badal sakta hai
aisi shaklein k mitaaoo to mitaaye na banay
aisy sholay k bujhaao to bujhaaye na banay
aisy naaray k dabaao to dabaaye na banay
__________________
There is a crack in everything. That's how the light gets in.
Reply With Quote