CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Literature (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/)
-   -   @farah zafar aur doosray urdu daaan, attention plz (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/58782-farah-zafar-aur-doosray-urdu-daaan-attention-plz.html)

Eager Wednesday, January 04, 2012 11:23 PM

@farah zafar aur doosray urdu daaan, attention plz
 
i need answers of these questions, plz help

1. who for the first time wrote "azad nazam"?

2. What does this couplet mean?
"na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?"

3. please complete these couplets:
a) bht log juda hoe aik tm bh sahi
b)" Hoa hay shah ka musahib phiray hay itrata",

4. Translate this couplet:
"Ghalib agar na khirqa o mushaf farookhtam"

5. what is common between Prem Chand, Karishan Chandar, and Rajinder Singh Bedi.

please predict other important couplets of famous poets which can be asked in interview.

Regards,

Hamidullah Gul Thursday, January 05, 2012 01:54 PM

[QUOTE=Eager;392781]i need answers of these questions, plz help

1. who for the first time wrote "azad nazam"?

2. What does this couplet mean?
"na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?"

3. please complete these couplets:
a) bht log juda hoe aik tm bh sahi
b)" Hoa hay shah ka musahib phiray hay itrata",

4. Translate this couplet:
"Ghalib agar na khirqa o mushaf farookhtam"

5. what is common between Prem Chand, Karishan Chandar, and Rajinder Singh Bedi.

please predict other important couplets of famous poets which can be asked in interview.

Regards,[/QUOTE]


1....sohuld be Nazir akbar abadi....not sure..

2. meri honny na hony se kia farq parta tha, Khuda tu tab be tha, Ab be he, tab be hoga, me aise hi ranj o alam me mara gya,

3...juda huye hen bhut log aik tum be sahi........ab itni baat pe kia zindagi haram karen.......

4. Ghalib agr me ne apna sufiana libas (gown) aur Qur'an na Bechay....

Da Skeptic Thursday, January 05, 2012 02:49 PM

[QUOTE=Eager;392781]i need answers of these questions, plz help

1. who for the first time wrote "azad nazam"?

2. What does this couplet mean?
"na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?"

3. please complete these couplets:
a) bht log juda hoe aik tm bh sahi
b)" Hoa hay shah ka musahib phiray hay itrata",

4. Translate this couplet:
"Ghalib agar na khirqa o mushaf farookhtam"

5. what is common between Prem Chand, Karishan Chandar, and Rajinder Singh Bedi.

please predict other important couplets of famous poets which can be asked in interview.

Regards,[/QUOTE]

2. jab kuch nahi tha tab b Khuda tha aur jab kuch na hoga tab bhi Khuda hoga, magar mere liye to is hone ne boht dukh paeda kiye, konsa farq par jata agar me na hota?
3. b) "Wagarna shehr me Galib ki abru kiya hai"

chfarooq Thursday, January 05, 2012 02:52 PM

[QUOTE=Hamidullah Gul;392933]1....sohuld be Nazir akbar abadi....not sure..

[/QUOTE]

i think Noon Meem Rashid.

siddiqui88 Thursday, January 05, 2012 03:05 PM

[QUOTE=Eager;392781]i need answers of these questions, plz help

1. who for the first time wrote "azad nazam"?

2. What does this couplet mean?
"na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?"

3. please complete these couplets:
a) bht log juda hoe aik tm bh sahi
b)" Hoa hay shah ka musahib phiray hay itrata",

4. Translate this couplet:
"Ghalib agar na khirqa o mushaf farookhtam"

5. what is common between Prem Chand, Karishan Chandar, and Rajinder Singh Bedi.

please predict other important couplets of famous poets which can be asked in interview.

Regards,[/QUOTE]
1. Noon Meem Rashid

2.ghalib ka falsfa e hayat...Abdiyat aur Insaan ki faniyat ka taqabul yahaan nazar ata hai...zindagi aur gham ek sikay k do rukh hain, ghalib k nazdeek Khaliq e kainaat aur shaan e kareemi per na insan k hony se frq pera hai na he 'na honay' se perta, lakin insan ki zindgi sirf ghamo ka ek soda hai.Neesti me rehna he us k liye acha tha.
3.
b)wgerna shehr me ghalib ki aabroo kia hai.

5.All these three were hindi_urdu short story writers, novelists; non_muslim; died in India/ British India. These are common grounds among them.

Farrah Zafar Thursday, January 05, 2012 03:42 PM

[size=5][quote=eager;392781]i need answers of these questions, plz help

1. Who for the first time wrote "azad nazam"?
[/quote]

ن م راشد اور تصدق حسین خالد اس کے بانی مانے جاتے ہیں
[quote]
2. What does this couplet mean?
"na tha kuchch to khuda tha, kuchch na hota to khuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota ?"
[/quote]گو کہ دوسرے ساتھیوں نے بھی اس کی تشریح کی ہے لیکن میں اس سے اتفاق نہیں کرتی ۔

اس شعر میں شاعر نے تصوف اور[/size][size=5]وحدت الوجود[/size][size=5] کا نظریہ پیش کیا ہے ۔یعنی انسان خدا کے وجود کا ایک حصہ ہے ۔ جب کہ [/size][size=5] وحدت الشہود[/size][size=5] کے نظریے کے مطابق خدا اور اس کی تخلیق دو مختلف وجود ہیں ۔

غالب نے کناۓ کا سہارا لیا ہے ۔کھل کے اگر وہ اسے لکھتے تو شائد مولوی حضرات ان پر فتوی لگا دیتے ۔

وہ کہتے ہیں کہ جب کچھ بھی نہیں تھا تو اس وقت صرف خدا تھا ۔اور اگر خدا یہ کائنات تخلیق نہ کرتا تو صرف خدا ہی ہوتا ۔اس کے علاوہ کوئ نہیں ۔

اگلے مصرعے میں بڑی ہوشیاری اور خوبصورتی سے وہ یہ سوال قاری کے سامنے رکھتا ہے کہ اگر میرا وجود نہ ہوتا تو بھلا میں کیا ہوتا ؟ جب کہ وہ پہلے مصرعے میں اعتراف کر چکا ہے کہ اگر کچھ اور نہ ہوتا تو خدا ہی خدا ہوتا اس کائنات میں ۔ جب وہ یہ کہتا ہے کہ ڈبویا مجھ کو ہونے نے تو اس سے اس کی یہ مراد ہے کہ میں اگر پیدا نہ ہوتا تو میں خدا کے وجود کا حصہ ہوتا اور وہ ہی قابل فخر بات ہے ۔

غالب جو کہنا چاہتا تھا وہ اس نے نہایت معصومیت سے سوال کی شکل میں کہ ڈالا ۔الٹا قاری کو سوچنے پہ مجبور کر دیا کہ اس کے عدم وجود کا مطلب یہ ہے کہ وہ خدا کے وجود کا حصہ ہے۔


امید ہے اس تشریح سے آپ مطمئن ہوں گے۔

باقی سوالوں کے جواب دوسرے لوگ دے چکے ۔[quote]

please predict other important couplets of famous poets which can be asked in interview.
[/quote]شاعری کا سلیبس بہت زیادہ ہے ۔وہ کچھ بھی پوچھ سکتے ہیں ،کہیں سے بھی پوچھ سکتے ہیں ۔ زیادہ اقبال ،فیض اور غالب کے امکانات ہیں۔
[center]
یہ شعر پچھلے سال عائزہ سے پوچھا گیا تھا


دام ہر موج میں ہے حلقہ صد کام نہنگ

دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک[/center]
[/size]

Da Skeptic Friday, January 06, 2012 03:19 PM

@[B][U]Farah Zafar[/U][/B]
one minute janab.. jab Galib ye kehta hai k kuch nahi tha to Khuda tha aur kuch na hota to Khuda hota.. aur os k baad ye kayinat khalq hvi aur is kayinat k sath me b khalq hva.. is ka matlab ye to nahi k Khuda ne apne wajood se ye kayinat banai he, matlab ye kayinat Khuda k vajood ka aik tukra hai.. mere hisab se esa tab ho sakta jab Khuda ka maddi (material) wajood hota.. tab hi ham os k hisse b farz kar sakte the.. jab esa nahi hai to ye kese ho sakta hai k Galib kahe k agar me khalq na hota to Khuda k wajood ka hissa hota? even in abstract sense this explanation seems suspicious to me.. aap kiya kehti hain??

[B]@Farah Zafar[/B]
aur Galib jab ye kehta hai k [B]na hota me to kiya hota[/B], yahan pe mere hisab se vo sawal nahi poch raha balki sawaliya andaz me keh raha hai k [B]ek mere na hone se kiya farq per jata? kuch nahi.. jab aagaz aur anjaam donu Khuda he, jab os ki zaat ko kayinat k hone ya na hone se koi farq nae parta.. vo kayinat se pehle b tha aur baad me b rahe ga, to phir mujhe kiun banaya, mjhe na khalq kerne se kiya farq per jata, mujhe to is hone ne, is wajood ne, is zindagi ne boht masayil paeda kiye, boht dukh diye.. mujhe is hone ne daboya.. behter yahi tha k me na hota.. kiun k Galib k nazdeek zindagi aur gham donu lazim o malzoom hain..

Qaed e hayat o band e gham, asl me donu aik hain,
Moat se pehle admi, gham se njat paye kiun..![/B]

siddiqui88 Friday, January 06, 2012 03:58 PM

@ Farah
I agree with your explanation. But here you are a bit mistaken; you have taken Wadatul Wajood" for "Wahdat u Shahood". Wahdatul Wajood means "Khuda aur kainaat ek hain[/FONT]" (lughwi maani pe ghor kren). WahdatuShahood means " kainaat ki her shay khuda k wajood ki gawahi deti hai. So it is Wahdatul Wajood which can be said,has been propounded here.

siddiqui88 Friday, January 06, 2012 04:15 PM

[QUOTE=Da Skeptic;393239]@[B][U]Farah Zafar[/U][/B]
mere hisab se [B][U][SIZE=4]esa tab ho sakta jab Khuda ka maddi (material) wajood hota..[/SIZE] [/U][/B]tab hi ham os k hisse b farz kar sakte the.. jab esa nahi hai to ye kese ho sakta hai k Galib kahe k agar me khalq na hota to Khuda k wajood ka hissa hota? even in abstract sense this explanation seems suspicious to me.. aap kiya kehti hain??[/QUOTE]

Ap kesay keh sktay hain k khuda k maadi wajood nahe? Insan Mareekh tk zaroor pohncha hai, lakin abi tk Milky Way se b agay ni ja ska :) Abi bohat kuch sar basta hai is kainaat me. Kaun dawa kar skta hai k khuda ka wajood kesa hai?

Farah Zafar's explanation is quite logical. She is not professing any of these schools of thought here, she just propounded what Ghalib would have had meant. Wahdatul Wajood aur Wahdatu Shahood do mukhtalif school of thought hain, khaliq aur makhlooq k taluq k baray me. Boht se classical shora nay apnai shairi me in per izhaar e khayal kia hai. ziada tar qudmaa wahdatul wajood k qail thay.

Hamidullah Gul Friday, January 06, 2012 05:49 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;392973][size="5"]

گو کہ دوسرے ساتھیوں نے بھی اس کی تشریح کی ہے لیکن میں اس سے اتفاق نہیں کرتی ۔

اس شعر میں شاعر نے تصوف اور وحدت الشہود کا نظریہ پیش کیا ہے ۔یعنی انسان خدا کے وجود کا ایک حصہ ہے ۔ جب کہ وحدت الوجود کے نظریے کے مطابق خدا اور اس کی تخلیق دو مختلف وجود ہیں ۔

غالب نے کناۓ کا سہارا لیا ہے ۔کھل کے اگر وہ اسے لکھتے تو شائد مولوی حضرات ان پر فتوی لگا دیتے ۔

وہ کہتے ہیں کہ جب کچھ بھی نہیں تھا تو اس وقت صرف خدا تھا ۔اور اگر خدا یہ کائنات تخلیق نہ کرتا تو صرف خدا ہی ہوتا ۔اس کے علاوہ کوئ نہیں ۔

اگلے مصرعے میں بڑی ہوشیاری اور خوبصورتی سے وہ یہ سوال قاری کے سامنے رکھتا ہے کہ اگر میرا وجود نہ ہوتا تو بھلا میں کیا ہوتا ؟ جب کہ وہ پہلے مصرعے میں اعتراف کر چکا ہے کہ اگر کچھ اور نہ ہوتا تو خدا ہی خدا ہوتا اس کائنات میں ۔ جب وہ یہ کہتا ہے کہ ڈبویا مجھ کو ہونے نے تو اس سے اس کی یہ مراد ہے کہ میں اگر پیدا نہ ہوتا تو میں خدا کے وجود کا حصہ ہوتا اور وہ ہی قابل فخر بات ہے ۔

غالب جو کہنا چاہتا تھا وہ اس نے نہایت معصومیت سے سوال کی شکل میں کہ ڈالا ۔الٹا قاری کو سوچنے پہ مجبور کر دیا کہ اس کے عدم وجود کا مطلب یہ ہے کہ وہ خدا کے وجود کا حصہ ہے۔


امید ہے اس تشریح سے آپ مطمئن ہوں گے۔

باقی سوالوں کے جواب دوسرے لوگ دے چکے ۔

شاعری کا سلیبس بہت زیادہ ہے ۔وہ کچھ بھی پوچھ سکتے ہیں ،کہیں سے بھی پوچھ سکتے ہیں ۔ زیادہ اقبال ،فیض اور غالب کے امکانات ہیں۔
[center]
یہ شعر پچھلے سال عائزہ سے پوچھا گیا تھا


دام ہر موج میں ہے حلقہ صد کام نہنگ

دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک[/center][/size][/QUOTE]


Miss Farah aap ki Tashreeh agr che zuban o bayan ke lehaz se aala he but it has created big confusion in my mind. Aap ne is sher ki Tashreeh jis zawiaye se ki he mera nhe khyal ke Ghalib ne us zawiay se ye sher likha he, awwalan ye ke aaj tak mujhe ye anddaza nhe tha ke Ghalib ka Tassuf ke sath be koi ta'aluq tha, mere nazdik Ghalib ka Tassauf se wahi rishta tha jo Akbar Ilah abaddi ka College se tha. Dosra ye ke aap ne sher ke dosray misray ko ziada ahmiyat nhe di, meri naqis raye me is sher ka dosra misra ziada ahm he aur ye sher bhe Ghalib ke un kai Ashhar me se aik he jo aam fehm hen.

Da Skeptic Friday, January 06, 2012 07:15 PM

[QUOTE=Hamidullah Gul;393276][B]awwalan ye ke aaj tak mujhe ye anddaza nhe tha ke Ghalib ka Tassuf ke sath be koi ta'aluq tha, mere nazdik Ghalib ka Tassauf se wahi rishta tha jo Akbar Ilah abaddi ka College se tha.[/B][/QUOTE]

Ap ki is baat k jawab me, mei Galib ka hi aik sher kahnga,
[B]Ye Masayil e Tasawwuff, Ye Tera Bayan Galib,
Tujhe Ham Walii Samajhte Jo na Bada-Khwar Hota[/B]

Aik aur jaga per bhi Mirza kehte hain,
[B]Aate hain Gaeb se ye mazameen khayal main
Galib sareer e khama Nawa e Saroosh hai..[/B]

Ye do ashaar Galib k Tasawwuff ko wazeh tor per zahir karte hain..

[QUOTE=siddiqui88;393251]Ap kesay keh sktay hain k khuda k maadi wajood nahe? Insan Mareekh tk zaroor pohncha hai, lakin abi tk Milky Way se b agay ni ja ska :) Abi bohat kuch sar basta hai is kainaat me. Kaun dawa kar skta hai k khuda ka wajood kesa hai?

Farah Zafar's explanation is quite logical. She is not professing any of these schools of thought here, she just propounded what Ghalib would have had meant. Wahdatul Wajood aur Wahdatu Shahood do mukhtalif school of thought hain, khaliq aur makhlooq k taluq k baray me. Boht se classical shora nay apnai shairi me in per izhaar e khayal kia hai. ziada tar qudmaa wahdatul wajood k qail thay.[/QUOTE]

mere azeez, aap shayad jante honge k Khuda k lye wajood ka hona farz karne ka matlab he k vo fani(mortal) hai, kiun k har vo cheez jo maddi wajood rakhti haios ne fana hona hai.. aur aksar madda me rooh hoti hai, aur Khuda ne khud Quraan e majeed me kaha hai k "[B]har zee-rooh ko moat ka zayiqa chakhna hai..[/B]".. even bejan cheezun me bhi aik tarah se rooh hai, jesa k un k atoms aur molecules me sub-atomic particles ka harkat me hona.. aur Khuda agar wajood rakhta hai to nazar bhi aasakta hai..Khuda agar wajood rakhta hai to os se dosri cheezun ka comparison bhi kiya ja sakta hai, os se bari cheez b ho sakti hai.. Khuda k lye wajood aur adad(number) ka tasawwar karna hi shirk hai.. aur jab Khuda ka koi wajood nae matlab jism nae to koi ye dawa kar bhi nae sakta k Khuda ka wajood esa hai ya wesa hai.. aur agar dawa kar bhi lay to vo sirf [B]dawa[/B] hi rahe ga, os ka haqiqat se koi talluq nae hoga..

Farrah Zafar Friday, January 06, 2012 08:56 PM

[size="5"][quote=da skeptic;393239]@[b][u]farah zafar[/u][/b]
one minute janab.. Jab galib ye kehta hai k kuch nahi tha to khuda tha aur kuch na hota to khuda hota.. Aur os k baad ye kayinat khalq hvi aur is kayinat k sath me b khalq hva.. Is ka matlab ye to nahi k khuda ne apne wajood se ye kayinat banai he, matlab ye kayinat khuda k vajood ka aik tukra hai.. Mere hisab se esa tab ho sakta jab khuda ka maddi (material) wajood hota.. Tab hi ham os k hisse b farz kar sakte the.. Jab esa nahi hai to ye kese ho sakta hai k galib kahe k agar me khalq na hota to khuda k wajood ka hissa hota? Even in abstract sense this explanation seems suspicious to me.. Aap kiya kehti hain??
[b]@farah zafar[/b]
aur galib jab ye kehta hai k [b]na hota me to kiya hota[/b], yahan pe mere hisab se vo sawal nahi poch raha balki sawaliya andaz me keh raha hai k [b]ek mere na hone se kiya farq per jata? Kuch nahi.. Jab aagaz aur anjaam donu khuda he, jab os ki zaat ko kayinat k hone ya na hone se koi farq nae parta.. Vo kayinat se pehle b tha aur baad me b rahe ga, to phir mujhe kiun banaya, mjhe na khalq kerne se kiya farq per jata, mujhe to is hone ne, is wajood ne, is zindagi ne boht masayil paeda kiye, boht dukh diye.. Mujhe is hone ne daboya.. Behter yahi tha k me na hota.. Kiun k galib k nazdeek zindagi aur gham donu lazim o malzoom hain..

Qaed e hayat o band e gham, asl me donu aik hain,
moat se pehle admi, gham se njat paye kiun..![/b][/quote]


گو کہ صدیقی نے اس کی وضاحت کر دی ہے پھر بھی میں روشنی ڈالے دیتی ہوں ۔ آپ ان دو نظریات کا مطالعہ کریں ،وحدت الوجود اور وحدت الشہود ۔ پھر آپ کو میری تشریح سمجھ آۓ گی ۔ یہ بہت مشہور نظریات ہیں ۔ اگر آپ نے تاریخ کا مطالعہ کیا ہو تو آپ کو شائد علم ہو کہ مجدد الف ثانی نے وحدت الوجود کے خلاف آواز اٹھائ تھی ۔ کیونکہ اس نظریے سے ہندو مت کے پرچاروں کی بو آتی تھی۔ جس کے مطابق ہندؤوں کی چار ذاتیں شودر ،کھشتری وغیرہ وغیرہ بھگوان کے سر ،پاؤں ،بازؤوں وغیرہ سے بنی ہیں ۔ گویا انسان خدا کے وجود کا ہی ایک حصہ ہے ۔
تو غالب نے اس نظریۓ کا استعمال اس لیے کیا کیونکہ یہ پہلے سے موجود تھا ،غالب نے پیش نہیں کیا تھا

سو باتوں کی ایک بات ، اس کے الفاظ پہ غور کریں ، ڈبویا مجھ کو ہونے نے ۔ ۔ ۔گویا اس کا وجود اس کے لیے خوشی کا باعث نہیں بلکہ اس کا عدم وجود اس کے لیے فخر کا باعث ہوتا ۔ ۔ ۔کہ اس صورت میں وہ خدا کا ایک حصہ ہوتا

[quote=siddiqui88;393250]@ farah
i agree with your explanation. But here you are a bit mistaken; you have taken wadatul wajood" for "wahdat u shahood". Wahdatul wajood means "khuda aur kainaat ek hain[/font]" (lughwi maani pe ghor kren). Wahdatushahood means " kainaat ki her shay khuda k wajood ki gawahi deti hai. So it is wahdatul wajood which can be said,has been propounded here.[/quote]

بالکل درست کہ رہی ہو ۔ مجھے لکھنےکے بعد پتا لگ گیا تھا کہ غلطی کر بیٹھی ۔ میں ابھی درخواست کرتی ہوں موڈز سے کہ اسے درست کر دیں ۔

[quote=hamidullah gul;393276]miss farah aap ki tashreeh agr che zuban o bayan ke lehaz se aala he but it has created big confusion in my mind. Aap ne is sher ki tashreeh jis zawiaye se ki he mera nhe khyal ke ghalib ne us zawiay se ye sher likha he, awwalan ye ke aaj tak mujhe ye anddaza nhe tha ke ghalib ka tassuf ke sath be koi ta'aluq tha, mere nazdik ghalib ka tassauf se wahi rishta tha jo akbar ilah abaddi ka college se tha. Dosra ye ke aap ne sher ke dosray misray ko ziada ahmiyat nhe di, meri naqis raye me is sher ka dosra misra ziada ahm he aur ye sher bhe ghalib ke un kai ashhar me se aik he jo aam fehm hen.[/quote]

مجھے حیرت ہوئ یہ جان کے کہ آپ یہ سمجھتے ہیں کہ غالب کا تصوف سے کوئ تعلق نہیں ؟ ضروری نہیں کہ شراب نوشی کرنے والا فلسفے اور تصو ف سے بھی دور ہو ۔
[center]
دیکھیے ذرا مثالیں؛

جب کہ تجھ بن نہیں کوئ موجود
پھر یہ ہنگامہ اے خدا کیا ہے ؟

ـــــــــــــــــــــــــــــــــــ

بازیچہ اطفال ہے دنیا میرے آگے

ہوتا ہے شب و روز تماشا میرے آگے
ــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــ

نظر میں ہے ہماری،جادہ راہ فنا غالب

کہ یہ شیرازہ ہے عالم کے اجزائ پریشاں کا

ــــــــــــــــــ

اسے کون دیکھ سکتا کہ یگانہ ہے وہ یکتا

جو دوئ کی بو بھی ہوتی تو کہیں دو چار ہوتا

ــــــــــــــــــــــــ
[/center]
میں نے شعر کے دوسرے مصرعے کو ہی تو اہمیت دی ہے ۔ ڈبویا مجھ کو ہونے نے ۔ سارا فلسفہ ان الفاظ میں ہے۔ جیسے میں کہوں ڈبویا مجھ کو سی ایس ایس کے بغیر تیاری پیپر دینے نے ۔ ۔ ۔ تو فورا آپ سمجھ جائیں گے کہ دوسری بات جو میں نے کہی نہیں وہ دراصل کیا ہے ۔
[/size]

Eager Saturday, January 07, 2012 03:00 AM

bohat shukriya sb logon ka,:bow:bow
ab mjhaywehdat-us-shahood aur wehdat-ul-wajood ki exact english translation bhi bata skta hai koi??
aur is shair ka matlab?

دام ہر موج میں ہے حلقہ صد کام نہنگ
دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک

Da Skeptic Saturday, January 07, 2012 12:47 PM

[QUOTE=Eager;393392]
aur is shair ka matlab?

دام ہر موج میں ہے حلقہ صد کام نہنگ
دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک[/QUOTE]
agar salees urdu me bayan kiya jae to kuch yun hoga k
[U]pani ki har leher k jaal me saekrun magarmachun k munh k halqe ya shikanje hain,
dekhye k pani k qatre per moti/gohar banne tak kiya guzarti hai..
[/U]
matlab zindagi me har taraf aazmayishen aur museebaten munh khole admi k intizar me hain, aur daekhna ye he k konsa admi in se sabr aur hosla k sath guzarta hai.. aur jo himmat jawan rakhe ga aur tamam masayil se sabit qadmi se guzre ga to vo phir ek gohar ki manind hoga.. qeemti aur anmol.. qatre ko gohar banne tak saenkrun magarmachun k munh se bachna hota hai, isi tarah admi ko kamal e insaniat ya apne maqsad k husool me boht si rukawatun se guzarna parta hai..

siddiqui88 Saturday, January 07, 2012 03:20 PM

[QUOTE=Da Skeptic;393293]mere azeez, aap shayad jante honge k Khuda k lye wajood ka hona farz karne ka matlab he k vo fani(mortal) hai, kiun k har vo cheez jo maddi wajood rakhti haios ne fana hona hai.. aur aksar madda me rooh hoti hai, aur Khuda ne khud Quraan e majeed me kaha hai k "[B]har zee-rooh ko moat ka zayiqa chakhna hai..[/B]".. even bejan cheezun me bhi aik tarah se rooh hai, jesa k un k atoms aur molecules me sub-atomic particles ka harkat me hona..aur Khuda agar wajood rakhta hai to nazar bhi aasakta hai..aur Khuda agar wajood rakhta hai to nazar bhi aasakta hai..Khuda agar wajood rakhta hai to os se dosri cheezun ka comparison bhi kiya ja sakta hai, os se bari cheez b ho sakti hai.. [/QUOTE]
Zroori nhe k zindagi,rooh, jandaar aur bejaan ka tasawur mehz itna he hai jitna hman smjh ata hai. Hum apni aqal aur hawas e khamsa ki bunyad per us baray me b nazriyat qaim kr letay hain jin k baray me jan'na hmaray ikhtiyar se bahir hota hai.Kia apko ni lagta hmari soch, aqal aur hawaas bht mehdood hain?in k daira e ikhtiyar se bahir kia hai koun janta hai?

Islami taleemat kehti hai k farishtay Allah k takht ko uthay hoay hain(kon janay 'Takht" ks cheez ka istiara hai?) ijram e falki aur tmam tar makhlooqat us ka tuwaaf krtay hain. Science kehti hai k tmam galaxies, nebulas, sb kuch bht bray aur bht roshan markaz k gird chakar lga rha hai, kon jany yahen khuda ho? koun janay ye b mehz us ki takhleeq ho? Science kehti hai k kainat mehdood hai aur uska daira10 over 25km tk hai. kon janay us se bahir kia hai?Kon janay khuda is k andar hai,bahir hai ya dono traf? kia ap ,me ya koi b is ka faisla kr skta hai?to us k wajood k jamid ya mujarrid honay k baray me faisla hum kesay kar sktay hain?kon janay wo jaamid hai mujarrid ya is se b agay ki koi cheez.jandaar, be jaan aur rooh k apnay mehdood ilm ko hum us hasti pe kesay laago ker sktay hain jo hmaray idraak se bahir hai?
Emaan ye hai k hum us k honay aur EK honay ko maanen.

[QUOTE=Da Skeptic;393293]Khuda k lye wajood aur adad(number) ka tasawwar karna hi shirk hai..[/QUOTE]

Allah nay khud apnay liye adad istemaal kia hai aur wo adad hai "1"( keh do k Allah ek hai). Is adad se agay berhna (2,3,4...) Shirk hai, aur is se peechay hatna(0) Ilhaad....
[QUOTE=Da Skeptic;393293]aur jab Khuda ka koi wajood nae matlab jism nae to koi ye dawa kar bhi nae sakta k Khuda ka wajood esa hai ya wesa hai.. aur agar dawa kar bhi lay to vo sirf [B]dawa[/B] hi rahe ga, os ka haqiqat se koi talluq nae hoga..[/QUOTE]
Wahdatul Wajood aur Wahdatu Shahood dono me he hmen zaat e bari taala ko smjhnay ki justajoo nazar ati hai. Agar shoraa kram nay in me se ksi ko apnay ifkaar me pesh kia hai aur hum us ki wazaahat krtay hain tou uska ye matlb nhe k hum us nuqta nazar ki perwi b kr rahay hain.

Doosri baat ye k shairi ko her ek apnay andaz se lay skta hai, agr wo mantaqi nuqta nazar he to qabil e taref hai. Me bazaat e khud usi tanazur me ghalib k is sher ko dekhti hn jo jo me nay apni post me likha. Farah's perspective is agreeable as it is logical.thats it.

siddiqui88 Saturday, January 07, 2012 03:31 PM

Iqbaal nay insaani hadood aur khuda tk pohnchnay k safar ko bht khoob soorat andaz me pesh kia hai:

[SIZE=3][B][COLOR=Black]Apni jolaa gaah zer e aasman smjha tha main,
Aab o gil k khel ko apna jahan smjha tha main,

Karwan thak ker fza k pech o kham me reh gaya,
Mehr o maah o mushtari ko hum unaan smjha tha main,

Ishq ki ek jast ny tay kr dia qissa tmaam,
Is zameen o aasman ko be kraan smjha tha main...[/COLOR][/B][/SIZE]

siddiqui88 Saturday, January 07, 2012 03:37 PM

[QUOTE=Eager;393392]
ab mjhaywehdat-us-shahood aur wehdat-ul-wajood ki exact english translation bhi bata skta hai koi? [/QUOTE]

Wahdat-us-shahood...apparetism/unity of witness
Wahdat-ul-wajood...unity of existence/being

Da Skeptic Monday, January 09, 2012 04:10 PM

[QUOTE=siddiqui88;393456]
Islami taleemat kehti hai k farishtay Allah k takht ko uthay hoay hain(kon janay 'Takht" ks cheez ka istiara hai?) ijram e falki aur tmam tar makhlooqat us ka tuwaaf krtay hain. Science kehti hai k tmam galaxies, nebulas, sb kuch bht bray aur bht roshan markaz k gird chakar lga rha hai, kon jany yahen khuda ho? koun janay ye b mehz us ki takhleeq ho? Science kehti hai k kainat mehdood hai aur uska daira10 over 25km tk hai. kon janay us se bahir kia hai?Kon janay khuda is k andar hai,bahir hai ya dono traf? kia ap ,me ya koi b is ka faisla kr skta hai?to us k wajood k jamid ya mujarrid honay k baray me faisla hum kesay kar sktay hain?kon janay wo jaamid hai mujarrid ya is se b agay ki koi cheez.jandaar, be jaan aur rooh k apnay mehdood ilm ko hum us hasti pe kesay laago ker sktay hain jo hmaray idraak se bahir hai?
Emaan ye hai k hum us k honay aur EK honay ko maanen.



[B]Allah nay khud apnay liye adad istemaal kia hai aur wo adad hai "1"( keh do k Allah ek hai). Is adad se agay berhna (2,3,4...) Shirk hai, aur is se peechay hatna(0) Ilhaad....[/B]

Wahdatul Wajood aur Wahdatu Shahood dono me he hmen zaat e bari taala ko smjhnay ki justajoo nazar ati hai. Agar shoraa kram nay in me se ksi ko apnay ifkaar me pesh kia hai aur hum us ki wazaahat krtay hain tou uska ye matlb nhe k hum us nuqta nazar ki perwi b kr rahay hain.

Doosri baat ye k shairi ko her ek apnay andaz se lay skta hai, agr wo mantaqi nuqta nazar he to qabil e taref hai. Me bazaat e khud usi tanazur me ghalib k is sher ko dekhti hn jo jo me nay apni post me likha. Farah's perspective is agreeable as it is logical.thats it.[/QUOTE]

Pehli baat to ye hai k mere ilm me esa kch nahi k Islam ye kehta ho k Allah ka koi takht hai aur Farishte ose uthaye hve hote hain.. mere azeez, [B]kiya Islam ye nahi kehta k Khuda hr jaga Mojod hai? Ap ne to Khuda ko zaman o makan ki qaed me keh diya..[/B]
[B]Dosri baat ye hai k Khuda ne apne liye 1 ka number kabhi use nae kiya.. Arabic se Urdu me translate karte hve 1 likha gaya hai.. [/B][B]Arabic me 1 ko "wahid" kaha jata hai, Khuda ne Quraan me ye nai kaha k "qul huwallahu wahid" balki ye kaha hai , "qul huwallahu ahad", wahid ka lafz nae use kiya, ahad ka lafz use kiya hai, jis k mani tanha aur akela k hain..[/B]
Teesri baat ye k [B]mujhe is bat se koi ikhtilaf nahi k har kisi ka apna nuqta e nazar hota hai.. is tarah jo wazahat Farah ne ki hai wo un ka apna nuqta e nazar hai.. aur isi tarha mera b..[/B] aur mujhe nae lagta k Galib ne Wehdat ul Wajood ya Wehdat ul Shahood k nazriye k hisab se vo she'r kaha ho kiun k Galib ne esi bat aur kaheen nae ki.. aur zaruri ye b nae k Galib ki bat aur koi nazriya aik jese lag rahe hoon to ye kaha jae k Galib ne vhi nazriya k tehet kaha ho.. lekin me janta hun k me jo keh raha hun ye b zaruri nae k durust ho.. magar meri mantiq yahi kehti hai..

Khuda Quraan me farmata hai,
[B]"yani wo aisi zaat hai jo aasman me bhi mabood hai aur zameen me b aur wo hakeem o aleem hai" (Surat: Zakhraf, Aayat:84)
[/B]
[B]"Yani wo tumhare sath hai khwah tum jahaan b ho aur jo kuch tum karte ho Khuda os se aagah hai" (Surah: Hadeed, Ayat: 4)[/B]

[B]"Yani aankhen ose nahi daekhtin lekin wo ankhun ko daekhta hai...." (Surah: An'aam, Aayat: 104)[/B]

[B]"Yani tum mjhe hargiz nahi daekh sakte.....(Musa A.S ne) arz ki k Khudaya tu to is se munazza hai k ankh se daekha ja sake......." (Surah: A'raaf, Ayat: 143)[/B]

In tamam aayat ki roshni me keh raha hun k Khuda Jism nahi rakhta.. Beshak aql e insani os zaat tak nahi pohnch sakti, lekin me apni aql e aajiz o naqis ki baat nahi, Quran ki aayat paesh kar raha hun

Da Skeptic Monday, January 09, 2012 07:51 PM

[B]@Farah[/B]
Garchi ye pochna yahan ajeeb lagta hai magar poch leta hun k jo Halqa e Arbab e Zoq ki website hai os me mjhe kaheen sign up kerne ya member banne ka option nahi mila.. ye mushkil kese door hogi??

Farrah Zafar Monday, January 09, 2012 10:01 PM

[QUOTE=Da Skeptic;393887][B]@Farah[/B]
Garchi ye pochna yahan ajeeb lagta hai magar poch leta hun k jo Halqa e Arbab e Zoq ki website hai os me mjhe kaheen sign up kerne ya member banne ka option nahi mila.. ye mushkil kese door hogi??[/QUOTE]

ap Facebook k page "halqa arbab e zauq" ki baat ker rahay hain tou ap website "arbabezauq" k right side pe diye gaye link "join us on facebook" ko click keren.Page khul jaye tou ooper "Like" ki option ho gi,usay click ker den.ap us k member ban jayen gy.ap ka facebook pe account hona zaroori hai.

Da Skeptic Tuesday, January 10, 2012 02:00 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;393916]ap Facebook k page "halqa arbab e zauq" ki baat ker rahay hain tou ap website "arbabezauq" k right side pe diye gaye link "join us on facebook" ko click keren.Page khul jaye tou ooper "Like" ki option ho gi,usay click ker den.ap us k member ban jayen gy.ap ka facebook pe account hona zaroori hai.[/QUOTE]

me facebook k page ki nae halqa e arbab e zauq website ki baat ker raha hun..

siddiqui88 Tuesday, January 10, 2012 08:57 PM

[QUOTE=][B]Dosri baat ye hai k Khuda ne apne liye 1 ka number kabhi use nae kiya.. Arabic se Urdu me translate karte hve 1 likha gaya hai.. [/B][B][SIZE=3][COLOR=Black][SIZE=4]Arabic me 1 ko "wahid" kaha jata hai, Khuda ne Quraan me ye nai kaha k "qul huwallahu wahid[/SIZE]"[/COLOR][/SIZE][/B][/QUOTE]
"Wahda hu" La Shareeka Lahu...I hope you may be familiar with these words...
[QUOTE=Da Skeptic;393822]Pehli baat to ye hai k mere ilm me esa kch nahi k Islam ye kehta ho k Allah ka koi takht hai aur Farishte ose uthaye hve hote hain.. mere azeez, [B]kiya Islam ye nahi kehta k Khuda hr jaga Mojod hai? Ap ne to Khuda ko zaman o makan ki qaed me keh diya..
Teesri baat ye k mujhe is bat se koi ikhtilaf nahi k har kisi ka apna nuqta e nazar hota hai.. is tarah jo wazahat Farah ne ki hai wo un ka apna nuqta e nazar hai.. aur isi tarha mera b.. aur mujhe nae lagta k Galib ne Wehdat ul Wajood ya Wehdat ul Shahood k nazriye k hisab se vo she'r kaha ho kiun k Galib ne esi bat aur kaheen nae ki.. aur zaruri ye b nae k Galib ki bat aur koi nazriya aik jese lag rahe hoon to ye kaha jae k Galib ne vhi nazriya k tehet kaha ho.. lekin me janta hun k me jo keh raha hun ye b zaruri nae k durust ho.. magar meri mantiq yahi kehti hai..[/B] [/QUOTE]
You did not read my post properly. I wrote "ho skta hai" many times there. Infact I have no notion of my own about the things which I consider to be out of human perception. I simply meant that. Nothing else.

Da Skeptic Wednesday, January 11, 2012 04:03 PM

[QUOTE=siddiqui88;394142]"Wahda hu" La Shareeka Lahu...I hope you may be familiar with these words...
[/QUOTE]

my dear, wahid aur wahdahu me aasman zameen ka farq hai..

SADIA SHAFIQ Wednesday, January 11, 2012 04:51 PM

[size="6"][b]آپ تمام لوگوں کے دلائل اپنی جگہ مگر شعر کی تشریح کا زمانہ سے گہرا تعلق ہوتا ھے؛ سو فرح کی بات زمانے کو دیکھتے ہوے ٹھیک ؛ورنہ دا سکیپٹک آپ سی بھی متفق؛؛مگر کیا شاعر یہ کہتا ھے ؟؟ غالب کا اگر تصوف سے تعلق تھا تو میرا نہیں خیال کہ شعر کی یوں توضہح کی جاۓ

.[/b][/size]

Farrah Zafar Wednesday, January 11, 2012 05:33 PM

[QUOTE=Da Skeptic;394037]me facebook k page ki nae halqa e arbab e zauq website ki baat ker raha hun..[/QUOTE]

ager ap wahan apni shayiri waghera shaya kerwanay k hawalay se baat ker rahay hain tou us k lye ap ko admin ko email kerni paray gi.website join ker k ap khud kuch shaya nae ker saktay.
aur ager ap ki muraad ye hai k taaza kalam ap k email inbox mein pohanch jaye tou aisa nae ho sakta.us k lye ap ko website khud visit kerni paray gi.

Mugheera Thursday, January 12, 2012 04:12 AM

[QUOTE=Da Skeptic;394381]my dear, wahid aur wahdahu me aasman zameen ka farq hai..[/QUOTE]

Meray khayal main ye zameen aasmaan ka farq sirf itna hay
wahid: aik / akela
wahdahoo: wo aik / akela hay
sirf ism zameer ka seegha istamal hojany say zameen aasman ka farq....? :con

[QUOTE=Da Skeptic;393869]@[B]Sidiqqui88[/B]
Khuda Quraan me farmata hai,
[B]"yani wo aisi zaat hai jo aasman me bhi mabood hai aur zameen me b aur wo hakeem o aleem hai" (Surat: Zakhraf, Aayat:84)
[/B]
[B]"Yani wo tumhare sath hai khwah tum jahaan b ho aur jo kuch tum karte ho Khuda os se aagah hai" (Surah: Hadeed, Ayat: 4)[/B]

[B]"Yani aankhen ose nahi daekhtin lekin wo ankhun ko daekhta hai...." (Surah: An'aam, Aayat: 104)[/B]

[B]"Yani tum mjhe hargiz nahi daekh sakte.....(Musa A.S ne) arz ki k Khudaya tu to is se munazza hai k ankh se daekha ja sake......." (Surah: A'raaf, Ayat: 143)[/B]

In tamam aayat ki roshni me keh raha hun k Khuda Jism nahi rakhta.. Beshak aql e insani os zaat tak nahi pohnch sakti, lekin me apni aql e aajiz o naqis ki baat nahi, Quran ki aayat paesh kar raha hun[/QUOTE]

Soora noor para no. 18... kindly pehla aik rukoo ghor say parhiay aur us main say jo ap ko samajh ay samajh lijiay.... asal masla ye hay k hamary minds main khuda ka exact tasavvur ban'na possible nahi hay...jo ap kehtay hain ye drust ho bhi sakta hay nahi bhi.... hum eeman sirf us pr rakh saktay hain jo bat quraan ya ahadeeth main mention hay...... choti c misal hay.. hum daily life main hr cheez ko 3 dimensionally observ kartay hain hamara mind 4th dimension ka tasavvur hi nahi kar sakta... because our minds have limitations!

Da Skeptic Friday, January 13, 2012 12:43 PM

[QUOTE=Mugheera;394536]Soora noor para no. 18... kindly pehla aik rukoo ghor say parhiay aur us main say jo ap ko samajh ay samajh lijiay.......jo ap kehtay hain ye drust ho bhi sakta hay nahi bhi....[/QUOTE]

Surat Noor to me perh lunga aur jald hi os ki "personal vazahat";) k sath hazir hunga..
aur rahi baat mere kehne k durust hone ki to janab me galat ho sakta hun magar Quraan ki jo aayaat me ne paesh ki hain vo galat kbhi nae ho saktin..

siddiqui88 Friday, January 13, 2012 09:23 PM

[QUOTE=siddiqui88;393456]
Islami taleemat kehti hai k farishtay Allah k takht ko uthay hoay hain(kon janay 'Takht" ks cheez ka istiara hai?)[/QUOTE]
[QUOTE=Da Skeptic;393822]
Pehli baat to ye hai k mere ilm me esa kch nahi k Islam ye kehta ho k Allah ka koi takht hai aur Farishte ose uthaye hve hote hain..[/QUOTE]

[Surah 7:54] Surely your Lord is Allah who has created the heavens and earth in six Days, then He dwells on the 'Throne.

[Qur'an 69:17] And the angels are in over-across the sky. And on that day eight angels uphold the 'Throne of thy Lord above (head of) them.

[Surah 40:7] (The angels) who bear the 'Throne'.

You can confirm these from the Holy Quran.

I would say again that I am not claiming here that these words are used in their literal sense; may be it is used literary. Words may be finite but their meanings can never be. When the meanings are infinite how can you stick to a peculiar one, merely for it having been presented by you?
Meanings are in no way finite; its here where the beauty of every kind of discourse lies whether it is our Holy scripture or verses of Ghalib.

[QUOTE=Da Skeptic;393869]@[B]Sidiqqui88[/B]
Khuda Quraan me farmata hai,
[B]"yani wo aisi zaat hai jo aasman me bhi mabood hai aur zameen me b aur wo hakeem o aleem hai" (Surat: Zakhraf, Aayat:84)
[/B]
[B]"Yani wo tumhare sath hai khwah tum jahaan b ho aur jo kuch tum karte ho Khuda os se aagah hai" (Surah: Hadeed, Ayat: 4)[/B]

[B]"Yani aankhen ose nahi daekhtin lekin wo ankhun ko daekhta hai...." (Surah: An'aam, Aayat: 104)[/B]

[B]"Yani tum mjhe hargiz nahi daekh sakte.....(Musa A.S ne) arz ki k Khudaya tu to is se munazza hai k ankh se daekha ja sake......." (Surah: A'raaf, Ayat: 143)[/B]

In tamam aayat ki roshni me keh raha hun k Khuda Jism nahi rakhta.. Beshak aql e insani os zaat tak nahi pohnch sakti, lekin me apni aql e aajiz o naqis ki baat nahi, Quran ki aayat paesh kar raha hun[/QUOTE]

Quraani hawala jaat pe koi sawal uthana " cheh maani darad..." Her muslman in pe ankhen bnd kr k yaqeen krta hai. Lakin in ko smjhnay ka her ek ka andaaz mukhtalif ho skta hai.
Allah her jaga mojood hai is me koi shak nhe. Me ni ye nhe kaha k khuda ka maadi wajood hai.
Khuda ka maadi wajood hai? I did not say.
Khuda ka madi wajood nhe ? I did not say.

This is the simplest elaboration of what I said in my posts.

Ap khuda k tasawwur ko sirf in do khano me taqseem q krtay hain. Wo be misl hai. Jaamid aur mujarrid k ksi ek tasawwur pe tayyaqun kr k beth jaana us k tasawur ko mehdood krnay k mutraadif hai.

Khuda k tassawur per hmen sirf isharay miltay hain. Aur yahe rimziyat he hai jo us k baaray me hamary takhayyul ki khobsoorti brhaatay hain.

Agar hum us k wajood ko jaan lain to emaan kesa? agar dekh lain to deedar ka intazar kesa?

Jahaan tak Ghalib k sher ki baat hai to me yahe kahon gi k "alfaaz gunjeena e maani k talism ki hesiat rkhtay hain." Agar ifkaar o ashaar ko ksi ek tashreeh ya tojeeh me muqayyad krna shart hota her dosra taalib ilm urdu me fail hota.

Da Skeptic Saturday, January 14, 2012 12:55 PM

[QUOTE=siddiqui88;394933]Quraani hawala jaat pe koi sawal uthana " cheh maani darad..." Her muslman in pe ankhen bnd kr k yaqeen krta hai. Lakin in ko smjhnay ka her ek ka andaaz mukhtalif ho skta hai.
Allah her jaga mojood hai is me koi shak nhe. Me ni ye nhe kaha k khuda ka maadi wajood hai.
Khuda ka maadi wajood hai? I did not say.
Khuda ka madi wajood nhe ? I did not say.

This is the simplest elaboration of what I said in my posts.

Ap khuda k tasawwur ko sirf in do khano me taqseem q krtay hain. Wo be misl hai. Jaamid aur mujarrid k ksi ek tasawwur pe tayyaqun kr k beth jaana us k tasawur ko mehdood krnay k mutraadif hai.

Khuda k tassawur per hmen sirf isharay miltay hain. Aur yahe rimziyat he hai jo us k baaray me hamary takhayyul ki khobsoorti brhaatay hain.

Agar hum us k wajood ko jaan lain to emaan kesa? agar dekh lain to deedar ka intazar kesa?

Jahaan tak Ghalib k sher ki baat hai to me yahe kahon gi k "alfaaz gunjeena e maani k talism ki hesiat rkhtay hain." Agar ifkaar o ashaar ko ksi ek tashreeh ya tojeeh me muqayyad krna shart hota her dosra taalib ilm urdu me fail hota.[/QUOTE]
I wanted to tell u the same thing both about Galib and Allah Almighty.. But one thing I can say surely that God doesn't have any material existence which can be said from the instance of Hazrat Musa when he demanded God in Koh e Toor that I want to see u and God said that u can't..

[QUOTE=Mugheera;394535]Meray khayal main ye zameen aasmaan ka farq sirf itna hay
wahid: aik / akela
wahdahoo: wo aik / akela hay
sirf ism zameer ka seegha istamal hojany say zameen aasman ka farq....? :con[/QUOTE]

[B]Wahid ka matlab he 1 and Wahdahu ka matlab he, "Wo akela hai". Wahdahu Arabic me aik Fiqra(phrase) hai aur ye Wahid se nahi nikla balki Ahad se nikla hai.. he na zameen aasmaan ka farq..[/B];)

Farrah Zafar Sunday, January 15, 2012 03:49 PM

[QUOTE=Da Skeptic;395031]I wanted to tell u the same thing both about Galib and Allah Almighty.. But one thing I can say surely that God doesn't have any material existence which can be said from the instance of Hazrat Musa when he demanded God in Koh e Toor that I want to see u and God said that u can't..[/QUOTE]

Hazrat Moosa(A.S) was told so , not because Allah didn't have any material existence BUT because his "Jalwa" couldn't be borne by human eyes.

Da Skeptic Monday, January 16, 2012 01:04 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;395295]Hazrat Moosa(A.S) was told so , not because Allah didn't have any material existence BUT because his "Jalwa" couldn't be borne by human eyes.[/QUOTE]

Ye Khuda ki shaan hi nae ho sakti ki Os ka Maddi Wajood ho.. [B]Maddi Wajood rakhne ka matlab madda jesa hona ya Madda se bana hova hona..[/B] Aur Esa Khuda ki Shan nahi hai..
See Surat: Toheed/Ikhlaas..
[B]"Na Allah ko kisi ne Paeda kiya hai, Na Allah se koi Paeda hva hai".[/B]
Aur madda bger banane vale k nae ban sakta.. lihaza agar ham ye farz kar len k Khuda ka maddi wajood ho sakta hai to is ka matlab ye farz karna hai k Khuda ka koi Khaliq hai..

Mugheera Monday, January 16, 2012 06:24 PM

[QUOTE=Da Skeptic;395482]Ye Khuda ki shaan hi nae ho sakti ki Os ka Maddi Wajood ho.. [B]Maddi Wajood rakhne ka matlab madda jesa hona ya Madda se bana hova hona..[/B] Aur Esa Khuda ki Shan nahi hai..
See Surat: Toheed/Ikhlaas..
[B]"Na Allah ko kisi ne Paeda kiya hai, Na Allah se koi Paeda hva hai".[/B]
Aur madda bger banane vale k nae ban sakta.. lihaza agar ham ye farz kar len k Khuda ka maddi wajood ho sakta hai to is ka matlab ye farz karna hai k Khuda ka koi Khaliq hai..[/QUOTE]

meray bhai!!!! AP say sirf aik bat kehny ki ijazat leni hay.. dain gay??

Farrah Zafar Monday, January 16, 2012 11:57 PM

[QUOTE=Da Skeptic;395482]Ye Khuda ki shaan hi nae ho sakti ki Os ka Maddi Wajood ho.. [B]Maddi Wajood rakhne ka matlab madda jesa hona ya Madda se bana hova hona..[/B] Aur Esa Khuda ki Shan nahi hai..
See Surat: Toheed/Ikhlaas..
[B]"Na Allah ko kisi ne Paeda kiya hai, Na Allah se koi Paeda hva hai".[/B]
Aur madda bger banane vale k nae ban sakta.. lihaza agar ham ye farz kar len k Khuda ka maddi wajood ho sakta hai to is ka matlab ye farz karna hai k Khuda ka koi Khaliq hai..[/QUOTE]

I didn't discussed "existence" but I just cleared the[B] reason[/B] ,why Allah didn't show himself .You said,"Allah ne hazrat Moosa(A.S) ko apna deedaar is lye nae kerwaya kiun k us ka maadi wajood nae"

And I said "Reason was that human eyes couldn't borne his "Jalwa".

Hope it's clear now.

Da Skeptic Tuesday, January 17, 2012 01:36 PM

[QUOTE=Mugheera;395549]meray bhai!!!! AP say sirf aik bat kehny ki ijazat leni hay.. dain gay??[/QUOTE]

Meri Behen.. Hukm kijiye.. Hm hamatan-gosh hain..:D

[QUOTE=Farrah Zafar;395658]I didn't discussed "existence" but I just cleared the[B] reason[/B] ,why Allah didn't show himself .You said,"Allah ne hazrat Moosa(A.S) ko apna deedaar is lye nae kerwaya kiun k us ka maadi wajood nae"

And I said "Reason was that human eyes couldn't borne his "Jalwa".

Hope it's clear now.[/QUOTE]

oho its more than clear to me.. me bhi yahi kehna chahta hun k human eyes could not and can not borne his Jalwa.. it is because He doesnt have material existance.. if His be material existance, Human eyes could have and can borne Jalwa e Khudawandi..

Farrah Zafar Tuesday, January 17, 2012 07:12 PM

[QUOTE=Da Skeptic;395734]
oho its more than clear to me.. me bhi yahi kehna chahta hun k human eyes could not and can not borne his Jalwa.. it is because He doesnt have material existance.. if His be material existance, Human eyes could have and can borne Jalwa e Khudawandi..[/QUOTE]

My stance was ,Ghalib's couplet is about "aqeeda wahdatul wajood" NOT "material/non material existence of God". So still I shall not argue about God's physical existence as being a human I can't predict or declare anything.

You didn't understand "wahdatul wajood" ,that's why you deviated from the main track :)

shani1 Tuesday, January 17, 2012 10:10 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;392973][size=5]

ن م راشد اور تصدق حسین خالد اس کے بانی مانے جاتے ہیں
گو کہ دوسرے ساتھیوں نے بھی اس کی تشریح کی ہے لیکن میں اس سے اتفاق نہیں کرتی ۔

اس شعر میں شاعر نے تصوف اور[/size][size=5]وحدت الوجود[/size][size=5] کا نظریہ پیش کیا ہے ۔یعنی انسان خدا کے وجود کا ایک حصہ ہے ۔ جب کہ [/size][size=5] وحدت الشہود[/size][size=5] کے نظریے کے مطابق خدا اور اس کی تخلیق دو مختلف وجود ہیں ۔

غالب نے کناۓ کا سہارا لیا ہے ۔کھل کے اگر وہ اسے لکھتے تو شائد مولوی حضرات ان پر فتوی لگا دیتے ۔

وہ کہتے ہیں کہ جب کچھ بھی نہیں تھا تو اس وقت صرف خدا تھا ۔اور اگر خدا یہ کائنات تخلیق نہ کرتا تو صرف خدا ہی ہوتا ۔اس کے علاوہ کوئ نہیں ۔

اگلے مصرعے میں بڑی ہوشیاری اور خوبصورتی سے وہ یہ سوال قاری کے سامنے رکھتا ہے کہ اگر میرا وجود نہ ہوتا تو بھلا میں کیا ہوتا ؟ جب کہ وہ پہلے مصرعے میں اعتراف کر چکا ہے کہ اگر کچھ اور نہ ہوتا تو خدا ہی خدا ہوتا اس کائنات میں ۔ جب وہ یہ کہتا ہے کہ ڈبویا مجھ کو ہونے نے تو اس سے اس کی یہ مراد ہے کہ میں اگر پیدا نہ ہوتا تو میں خدا کے وجود کا حصہ ہوتا اور وہ ہی قابل فخر بات ہے ۔

غالب جو کہنا چاہتا تھا وہ اس نے نہایت معصومیت سے سوال کی شکل میں کہ ڈالا ۔الٹا قاری کو سوچنے پہ مجبور کر دیا کہ اس کے عدم وجود کا مطلب یہ ہے کہ وہ خدا کے وجود کا حصہ ہے۔


امید ہے اس تشریح سے آپ مطمئن ہوں گے۔

باقی سوالوں کے جواب دوسرے لوگ دے چکے ۔شاعری کا سلیبس بہت زیادہ ہے ۔وہ کچھ بھی پوچھ سکتے ہیں ،کہیں سے بھی پوچھ سکتے ہیں ۔ زیادہ اقبال ،فیض اور غالب کے امکانات ہیں۔
[center]
یہ شعر پچھلے سال عائزہ سے پوچھا گیا تھا


دام ہر موج میں ہے حلقہ صد کام نہنگ

دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک[/center]
[/size][/QUOTE]
@farah ap k raja gidh ke tasreah pa b etraz kia tha ma na if u remember or is ghhalib ka y shair ke tasreah pa b etraz kro ga ager ap vaqye adab ka adab krte hain to ap ko yah maloom ho ga k jub adab ke bunyad pare to us ka fundamental reason nijat e hasti tha yah kurb e hasti sa chtkray k lye adab takleak howa ap na jo tasreah ke ha us k matbik shair k dosray hissy ma unho na fakhr ka sur chusma yah btaya k ma na hota to khuda b na hota ap mjy btana pasund kry ge k kaha pa istarah yah tashbey istamil ke gae ha is ma lika ha DABOYA to daboya yaha pa irfan k lye nhe pasti k lye istmiual howa ha.kahne ko boht kuch hain bot i know u have that mentality to get my point.

shani1 Tuesday, January 17, 2012 10:15 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;395658]I didn't discussed "existence" but I just cleared the[B] reason[/B] ,why Allah didn't show himself .You said,"Allah ne hazrat Moosa(A.S) ko apna deedaar is lye nae kerwaya kiun k us ka maadi wajood nae"

And I said "Reason was that human eyes couldn't borne his "Jalwa".

Hope it's clear now.[/QUOTE]
kuch mubhasye ase hote hain jis ma bhas krny sa hasil khuch nhe hota per hum koh sub kuch date hain same story here....

Mugheera Tuesday, January 17, 2012 11:43 PM

[QUOTE=Da Skeptic;395734]Meri Behen.. Hukm kijiye.. Hm hamatan-gosh hain..:D


1) mera aur siddiqui88 ka point yahi hay
[FONT="Arial Black"][SIZE="5"]Allah Kay wajood kay baray main hum koi wazeh comment nahi pass kar saktay because hamray pass total information nahi hain. Ap sari posts dubara parhiay ga... Quran main dono qism k dlail hain jo darasal ista'aray hain

2)main behen nahi BHAI hun :pp[/SIZE][/FONT]

zuhaib ahmed Wednesday, January 18, 2012 12:32 AM

[QUOTE=Farrah Zafar;392973][size=5]

ن م راشد اور تصدق حسین خالد اس کے بانی مانے جاتے ہیں
گو کہ دوسرے ساتھیوں نے بھی اس کی تشریح کی ہے لیکن میں اس سے اتفاق نہیں کرتی ۔

اس شعر میں شاعر نے تصوف اور[/size][size=5]وحدت الوجود[/size][size=5] کا نظریہ پیش کیا ہے ۔یعنی انسان خدا کے وجود کا ایک حصہ ہے ۔ جب کہ [/size][size=5] وحدت الشہود[/size][size=5] کے نظریے کے مطابق خدا اور اس کی تخلیق دو مختلف وجود ہیں ۔

غالب نے کناۓ کا سہارا لیا ہے ۔کھل کے اگر وہ اسے لکھتے تو شائد مولوی حضرات ان پر فتوی لگا دیتے ۔

وہ کہتے ہیں کہ جب کچھ بھی نہیں تھا تو اس وقت صرف خدا تھا ۔اور اگر خدا یہ کائنات تخلیق نہ کرتا تو صرف خدا ہی ہوتا ۔اس کے علاوہ کوئ نہیں ۔

اگلے مصرعے میں بڑی ہوشیاری اور خوبصورتی سے وہ یہ سوال قاری کے سامنے رکھتا ہے کہ اگر میرا وجود نہ ہوتا تو بھلا میں کیا ہوتا ؟ جب کہ وہ پہلے مصرعے میں اعتراف کر چکا ہے کہ اگر کچھ اور نہ ہوتا تو خدا ہی خدا ہوتا اس کائنات میں ۔ جب وہ یہ کہتا ہے کہ ڈبویا مجھ کو ہونے نے تو اس سے اس کی یہ مراد ہے کہ میں اگر پیدا نہ ہوتا تو میں خدا کے وجود کا حصہ ہوتا اور وہ ہی قابل فخر بات ہے ۔

غالب جو کہنا چاہتا تھا وہ اس نے نہایت معصومیت سے سوال کی شکل میں کہ ڈالا ۔الٹا قاری کو سوچنے پہ مجبور کر دیا کہ اس کے عدم وجود کا مطلب یہ ہے کہ وہ خدا کے وجود کا حصہ ہے۔


امید ہے اس تشریح سے آپ مطمئن ہوں گے۔

باقی سوالوں کے جواب دوسرے لوگ دے چکے ۔شاعری کا سلیبس بہت زیادہ ہے ۔وہ کچھ بھی پوچھ سکتے ہیں ،کہیں سے بھی پوچھ سکتے ہیں ۔ زیادہ اقبال ،فیض اور غالب کے امکانات ہیں۔
[center]
یہ شعر پچھلے سال عائزہ سے پوچھا گیا تھا


دام ہر موج میں ہے حلقہ صد کام نہنگ

دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک[/center]
[/size][/QUOTE]



Sis, you have beautifully explained the very words of Ghalib. I do agree with you. He was master of art and he had hidden his art in his words. Same, here, in above rhymes he has kept his notion hidden so reader may come with his own conclusion.
That's why every one has his own perception _ different and at some stage same.
It resembles with philosophy of Sufi that "we are drops of ocean"

He had said all but gave a[SIZE="6"] ?[/SIZE]

He was a tactful player but same thing was told by other mystics like:
Mansoor Al haj,
Sarmad Shaheed,
Sufi Shah Inayat shaheed etc

They were martyred on account of they echoed their words loudly and didn't gave question mark like Ghalib.

Farrah Zafar Wednesday, January 18, 2012 06:22 PM

[SIZE="5"][QUOTE=shani1;395812]@farah ap k raja gidh ke tasreah pa b etraz kia tha ma na if u remember or is ghhalib ka y shair ke tasreah pa b etraz kro ga ager ap vaqye adab ka adab krte hain to ap ko yah maloom ho ga k jub adab ke bunyad pare to us ka fundamental reason nijat e hasti tha yah kurb e hasti sa chtkray k lye adab takleak howa ap na jo tasreah ke ha us k matbik shair k dosray hissy ma unho na fakhr ka sur chusma yah btaya k[SIZE="5"] ma na hota to khuda b na hota[/SIZE] ap mjy btana pasund kry ge k kaha pa istarah yah tashbey istamil ke gae ha is ma lika ha DABOYA to daboya yaha pa irfan k lye nhe pasti k lye istmiual howa ha.kahne ko boht kuch hain bot i know u have that mentality to get my point.[/QUOTE]

راجہ گدھ کی بحث کا معاملہ اور تھا کیونکہ وہ ہم اس کے لکھے ہوۓ مواد پہ بحث کر رہے تھے ۔میں نے اس کی تشریح نہیں کی تھی ۔اگر آپ کو یاد ہو تو آپ نے بانو قدسیہ کے نظریے سے اختلاف کیا تھا مجھ سے نہیں ۔ ماضی کو چھوڑتے ہیں :)

اور اب جو آپ نے اعتراض کیا ہے وہ پڑھ کے تو میری آنکھیں کھلی کی کھلی رہ گئیں ۔ ۔ اور سعد کا یہ مصرعہ بے ساختہ لب پہ آیا ،
[CENTER][U]
کہا کچھ تھا ، وہ کچھ سمجھا ، مجھے کچھ اور کہنا تھا
[/U][/CENTER]

ارے بھائ میرے میری پوسٹ دوبارہ پڑھیے ۔ خدا معاف کرے ،میں نے کب کہا کہ "میں نہ ہوتا تو خدا بھی نہ ہوتا " ؟ ؟ ؟ دوبارہ پڑھئے ۔پھر اعتراض اٹھائیے ۔

[QUOTE=shani1;395815]kuch mubhasye ase hote hain jis ma bhas krny sa hasil khuch nhe hota per hum koh sub kuch date hain same story here....[/QUOTE]

بالکل درست فرمایا ۔ یہ ادبی لوگوں کا مباحثہ ہے اسی لئے ہم میں سے کسی نے تو تکار نہیں کی ورنہ دوسرے سیکشنز میں میرا مباحثے کا تجربہ کبھی اچھا نہیں رہا ۔ آپ کی شمولیت بھی باعث توقیر ہے۔

[QUOTE=zuhaib ahmed;395846]Sis, you have beautifully explained the very words of Ghalib. I do agree with you. He was master of art and he had hidden his art in his words. Same, here, in above rhymes he has kept his notion hidden so reader may come with his own conclusion.
That's why every one has his own perception _ different and at some stage same.
It resembles with philosophy of Sufi that "we are drops of ocean"

He had said all but gave a[SIZE="6"] ?[/SIZE]

He was a tactful player but same thing was told by other mystics like:
Mansoor Al haj,
Sarmad Shaheed,
Sufi Shah Inayat shaheed etc

They were martyred on account of they echoed their words loudly and didn't gave question mark like Ghalib.[/QUOTE]
[CENTER]
[SIZE="5"]"we are drops of ocean"[/SIZE]
[/CENTER]
زہیب شکر ہے صدیقی کے علاوہ بھی کوئ میری تشریح کو سمجھا ۔ اور ساری بات آپ نے اس اوپر کی لائن میں سمو دی ۔ بہت خوب[/SIZE]


02:34 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.