may thak gaya hun sun sun kay wafaun ki batain
dil ki yadain, duaun ki batain
May ab Shikasta hun sun sun kay yeh batain
teri khud sari ki batain
kisi aur ki yadain
mujh ko meri udasi hi sahi
shehr weerana hi sahi
Dil yun he bay noor sahi
teri yadain na hi sahi
ab aur teray pyar may
jeena is sang hi nahi
Ab aur teray roop may jalna
is jigre ne sehna hi nahi
teri wasl ki ratain
meray din kar gayay taareek
teri khawishun ki dunya may
ab aur nahi jeena
Khud ko teri khatir mita kay
ab aur nahi jeena
Mujh ko bas aur koi wafa ka
tarana na parhao yaro
sare bazar hay maara
wafa kay paikaro nay yaro
mujh ko ab aur hosh nahi
wafa ka na hiwas ka
mujh ko koi yun chupa kay
in say ab cheen lo yaro
may thak chuka hun sun kay wafaun ki batain
dil ki yadain, duaun ki batain
By Vsvsr