Thursday, April 25, 2024
01:37 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Islam

Islam Invite to the Way of your Lord with wisdom and fair preaching, and argue with them in a way that is better. Truly, your Lord knows best who has gone astray from His Path, and He is the Best Aware of those who are guided." Holy Qur'an 16:125

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Friday, September 05, 2008
simple_sa_jalal's Avatar
Member
 
Join Date: Jul 2008
Location: Mardan
Posts: 53
Thanks: 4
Thanked 27 Times in 14 Posts
simple_sa_jalal is on a distinguished road
Thumbs up Demise of Hazrat Fatima (RA) in Ramadan

Nabi Kareem(S.A.W.) ki chahetee sahib zadee Ramazan kay Mahenay may dunya say ruhsat howee.

Hamary pyary Nabi Hazrat Muhammad(S.A.W) ki ladle aor Chahetee sahib zadee Hazrat Fatima tu Zuhra (R.A) ki wiladat ba sadat maky may howee. Tarh e Alam is Azeem khatoon ki missal paish nahi kar saktee. App umat e muslimaki khawateen kay laye bahtareen aor qabil e taqleed namona hain.Nihayat mutaqee aor prazgar thee.

Hazrat Fatima hama waqat Allah ki ibadat may munhamik, dunya ki khahishat say door rehtee thee.Janab e Syeeda (R.A) ki Aala sifat ki buyad pr app kay mutadad alqabat hai jin may ail "BATOOL" b hai.

Islamee Tareh ki kutb may lika hai k app ka laqab Batool is lay tha k app apny Denee Shuraf aor Pakeza muqam ki waja say tamam oratoo say mufarid aor yagana thee. Is kay ilawa app kay alqabat "SAYEEDA, SAYEEDA TU NISA, AHLUL JINAH " b Mashoor hai.App ka aik laqab TAHIRA b hai.

Imam muhamamd Baqir nay lika hai k Hazrat Fatima tu Zuhra(R.A) Aala Ahlaq ki hamil thee aor nihayat Pak thee is laye Tahira Kihlayee.

Khatoon Janat Hazrat Fatima tu Zuhra (R.A) kay bachpan ka zamana hi dr Asal Aaghaz e Islam ka zamana hai. Ya wo dor tha jab musalmano pr kuppar ka tashdud aor zulam wo sitam pory zoe pr tha. Is katan dor may Qurash nay Bano Hasham pr arsa e hayat tang kar raka tha. Is doran Bani Hasham teen sal tak Shuab abi Talib may rahy aor Nihayat tang Dastee say Zandagee Ghuzaree. Bibi Fatima nay b kam sinee may Bhok aor pyas ki tamam takleefian apny Walid Nabi e Rahmat(S.A.W) kay sat bardasht kee. Umul Momeneen Hazrat Hadeja tu Kubra(R.A) ki Rahlat ka Sadma Bibi Zuhra kay layee bara Jan guraz tha jisy app nay bary hoslay say bardasht kya. Bachpan may app aksar hamosh raha kartee thee. Hozor e Akram(S.A.W) Aksar Islam ki tableegh o ishat may masroof rahthy thy magr jb fursat miltee to batee ki dil darazee prmaty unhy dlasa daity aor in ki taleem o tarbiyat kay layee unhay nasihat b karty thy.

Hozor e Akram (S.A.W) nay bate ki kifalat is tarh ki thee k Bibi Fatima tamam Malkotee sifat say Arasta o Pirasta ho gayee. App apni halq zat o sifat hidayat o itaat aor qol o fail may Rasool e Akram(S.A.W) say sab say zyada mashaba thee. Bachpan hi say batene kamal may apni hm umro may mumtaz thee. Zamana e tafoleyat Am larkiyo ki tarh khail kod kar nahi guzara. Kabi Zid nahi ki.App ko Zawor ka shoq tha na bano singhar ki fiqar the. App zahree taqalup aor banwat say pak thee.
Hazrat Fatima tu Zuhra bachpan hi say Pak baz thee, Fahum o tadabur, mehman nawazee, shram o haya sabr o tawakal zuhd o qinat aor tawaz o khatsaree app ka shaar tha.

Jab ap sun baloghat ko pohanchee to Sardaran e Arab nay Shadee kay laye pegham bajay. Likin Hozor e Akram (S.A.W) nay in may say kisi ka pegham qabol nahi kya. Pir jab Hazrat Ali (R.A) nay Hozor(S.A.W) ki hidmat may hazir ho kar mudaa bayan kya to Allah kay Habib (S.A.W) nay ya pegham manzoor prma lya.

Is moga pr Hozor(S.A.W) nay Hazrat Ali say dryaft prmaya k "Tmhary pass Haq mehir ada karny k layee kuch hai?" Hazrat Ali nay Hidmat nabawee may iraz kya " Aik zra aor ghory k sewa kuch aor kuch nahi hai"

Hozor (S.A.W) nay irshad prmaya " Ghora to larayee kay layee Zaroree hai. Zra ko piroht kar kay is ki qimat lay Ao" Hazrat Ali nay ya Zra firoht kay layee sahaba (R.A) kay samny paish ki. Hazrat Usman Zul Noreen (R.A) nay 480 drham may wo zra haride aor pir bator e hadya Hazrat Ali ko day dee. Hazrat Ali(R.A) ya raqm lay kar Hozor ki Hidmat may Hazir howey aor sara waqiya byan kya. Is Doran Allah kay Rasool apni Lahd e jigar Hazrat Fatima tu Zuhra (R.A) ki razamandee hasil kar chukay thy.

Raqam kay bary may Hozor(S.A.W) nay Hazrat Ali say irshad prmaya " Tihayee raqam Khushbo waghera pr sarf karo aor aik tihayee Shadee kay saman aor degar ishyae hana daree pr"

Aik rewayat may hai k Hazrat Fatima ruhsatee kay bad apny ghar may pohanchee to Hozor(S.A.W) Hazrat Ali kay ghar tashreef lay gye ail bartan may pani talab prmaya aor wazoo kya. Pir pane pr kuch Duwain paree aor wo Pani Sayeeda Fatima(R.A) aor Hazrat Ali(R.A) pr charka aor Apnee batee say muhatib ho kar irshad prmaya " A Fatima(R.A) May nay Apny Khanadan may sab say Afzal Shahs say tumhara nikah kya hai."

Seyeeda Fatima tu zuhra(R.A) ki sahawat o isar ki manzal ya thee k aik martaba kisi orat nay app say pocha " agr kisi kay pas chalees(40) oont ho to in pr kitnee zakat wajib hai?"

Bibi Fatima nay irshad prmaya " agr mery pas ho to chalees kay chalees aor agr kisi aor kay pass ho to chalees may say aik (1) !"

Aik martaba Sarwar e Kainat Hazrat Muhammad (S.A.W) Hazrat Fatima kay ghar Tashreef lay gaye aor deka k unho nay oont kay balo ka ail mota sa kapra pehan raka hai. App(S.A.W) nay irshad prmaya " A Fatima! Aj is dunya ki mushaqat aor tangee maash pr sabr karo ta k qayamat may Jannat ki nimat mily"

Hazrat Anus abin Malik prmaty hai k Sahaba Karam (R.A) Bargha e Risalat may hazir thy k Allah kay Rasool nay in say dryaft prmaya "Orat ki behtareen Sifat Kya hai?"
Sawal Sun kar Sb Chakra gaye kisi say b is sawal ka jawab na ban para. Jab Hazrat Ali (R.A) apny ghar gayee to unho nay Sayeeda Fatima say yahi sawal deraft kya ya sun kar Sayeeda Fatima nay Irshad frmaya " na wo kisi ghair mard ko dekay aor na koyee ghair Mard is ko dakey"

Ya jawab sun kar Hazrat Ali(R.A) Hidmat Aqdas(S.A.W) may hazir howey aor Fatima ka qol Duhraya. Nabi Pak nay ya sun kar irshad prmaya " Fatima Mere Laht e jigar hai aor is ki rayee mere rayee hai"

Hazrat Aaiha say rewayat hai k Hozor e Akram (S.A.W) Fatima say bohat Muhabat karty thy Jab Fatima in kay pad aatee to App (S.A.W) kary ho jaty thy aor in kay layee iba(Chadar) bicha daity thy. Isi tarh jb Hozor (S.A.W) in kay pas tashreef lay jaty to Azeem batee b Azeem Bap kay Ihteam may Karee ho jatee aor chadar bicha daitee. Hozor(S.A.W) jb Shehar say bahir jaty to sab say mil kar jaty magr is mulaqat may sab say Akhir may Fatima (R.A) kay ghar jaty albata jab wapis tashreef laty to sab say pehlay Fatima kay ghar aaty aor unhay koyee na koyee tuhfa b daity thy.

Sunat e Nabawe ki pairwe Bibi Fatima ka nasb ul Ain tha. App sabr o raza ka paikar thee. Khuda ki Ibat app ka behtareen Aamal tha. App ghar kay tamam omor khana daree khud injam daitee thee. Ghar ki safayee khud kartee Chaki piecetee aor pani ka mashkeza bhar kar latee jis kay bais hato may nishan parh gye thy likin App Zindagee bahr Sabir aor Shahkir rahee. Janab Fatima tu Zuhra apnee zindagee kay tamam adwar may Aala sifat khatoon nazar aate hai.Apmy Walid Garamee kay layee App aik misalee olad thee. Janab Fatima (R.A) apny shohar kay aik muhruban sahirk e hayat aor moans madadgar thee. App aik aisee Maa thee jin ki Aaghosh may IMAM E HASSAN (R.A), IMAM E HUSSAIN(R.A), ZAINAB (R.A) Aor UM E KALSOM(R.A) jaisee Olady perwan charee. Janab Fatima tu Zuhra (R.A) Islam may Khawateen kay Martaby ki azmat aor refat ki mazhar hai.

Hozor e Akram (S.A.W) kay wesal kay Chey(6) maa bad 3 Ramzan ul Mubarik 11 hijree ko Hazrat Fatima (R.A) b Wafat pa gayee. Is waqat App ki Umar sirf 28 sal thee .

Hazrat Abas (R.A) nay nimaz e janaza parayee aor App ki wasiyat kay mutabiq Jannat ul Baqi may rat kay waqat Sufard e khak kya gya
__________________
ALLAH PARMATA HAI

A ABN ADAM TO MERY TORY DIAY SY RAZEE HO JAO. QAYAMAT K DIN MAY TERY TORY KIAY SY RAZEE HO JONGA.

Last edited by Princess Royal; Friday, September 05, 2008 at 11:13 PM.
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Did Hijab cause hurdle in woman success? mubshara ali Discussion 62 Tuesday, May 17, 2011 12:19 AM
The Greatest Lady Hazrat Fatima (R.A.) sara soomro Islam 1 Wednesday, June 10, 2009 02:46 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.