#1
|
||||
|
||||
Mujhe vida kar
Mujhe vida kar
Aey meri zaat, phir mujhe vida kar Woh log kya kahain gay , meri zaat Log, jo hazaar saal se Mere kalaam ko taras gaye Mujhe vida kar Main tere saath apne aap ke syaah GHaar main Bohot panaah le chuka Main apne haath paaon apne dil ki aag main Tapa chuka Mujhe vida kar Ke aab-o-gul ke aanso'on ke aayinon Ki be-sadaai sun sakoon Hayaat-o-marg ka salaam-e-roostaai sun sakoon Main roz-o-shab ke dast-o-pa ki narsaai sun sakoon Mujhe vida kar Bohot hi dair --- dair jaisi dair ho gayi Ke ab ghaRi main beesveen saa'i ki raat baj chuki Shajar hajar woh janwar Wo taayraan-e-Khasta-par Hazaar saal se jo haal main , zameen par Mukalmay main jama hain Wo kya kahenge, main khudaaaon ki tarah Azl ke be-vafaaon ki tarah Phir apne ahad-e-mansabi se phir gaya Mujhe vida kar, ai meri zaat Tu apne rozanon ke paas aake dekh le Ke zahan-e-na tamaam ki Masahaton main phir Haraas ki kHizaan ke barg-e-khushk yun bikhar gaye Ke jaise shahar hast main Ye nesti ki gard ki pukaar hon Lahoo ke daldalon main haadson ke zamhareer utar gaye Tu apne rauzanon ke paas aake dekh le Ke mashraqi ufaq pe aareefon ke kHwaab-----kHwaab-e-qahwa rang main Umeed ka guzar nahin Ke maghrabi ufaq pe, marg noor pe kissi ki aankh tar nahi Mujhe vida kar, magar na apne zeenoN se utar Ke zeene jal rahe hain be-hushi ki aag main Mujhe vida kar, magar na saans le Ke shayaraan-e-nau tiri sada ke saham se dubak na jaa'en Ke tu sada rasaalaton ka baar unn peh Daalti rahi Ye baar inn ka haul hai WoH dekh roshni ki doosri taraf Khayaal, kaagHzon ki baaliyaan bane huay Haroof bhaagtay huay Tamaam apnayaap hi ko chaaT-tay huay Jahaan zamana tez tez gaam-zan Wahin zamana baaz apnay khel main magan Jahaan peh baam-o-dar lapak rahe hain baaarishon ki simt Aarzoo ki tishnagi liye Wahin gumaan ke faasle hain raah-zan Mujhe vida kar Ke shahar ki faseel ke tamaam dar hain va abhi Kahin wo log so na jaayen boriyon main rait ki tarah Mujhe ai meri zaat, apne aap se Nikal ke jaane de Ke iss zabaan boorida ki pukaar, iss ki ha va hoo Gali gali sunaai de Ke shahar-e-nau ke log jaante haiN ( kaasa-e-gar sanki liye) Keh un kay aab-o-naan ki jhalak hoon main Ke unn ke tashtah baaghchon main Apne vaqt ke dhulaaye haath se Nay darakht ugaaoon ga Main unn ke saim-o-zar se , unn ke jism -o-jaan se Koltaar ke tahen haTaaoon ga Tamaam sang parah haai baraf Unn ke aastaan se main uThaaoon ga Ke unn ke shahar-e-nau ke raaste tamaam band hain Mujhe vida kar ke apne aap mein, main itne kHwaab ji chuka Ke hausla nahi main itni baar aap apne zakHm si chuka Ke hausla nahin |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Mujhe Dena | Zirwaan Khan | Urdu Poetry | 0 | Tuesday, February 17, 2009 08:26 PM |
kis liye raqs dikhaataa huu.N mujhe kyaa maaluum | Princess Royal | Urdu Poetry | 0 | Friday, January 02, 2009 10:14 PM |
Ab Apni Is Shikasta Zindagi Se Pareshani Hai Mujhe | Waqar Abro | Urdu Poetry | 0 | Friday, August 03, 2007 08:08 PM |
na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa | PlayinG | Urdu Poetry | 0 | Tuesday, December 26, 2006 02:42 AM |
Main Hoon Bewafa MUjhe Bhool Ja.... | sardarzada11 | Urdu Poetry | 0 | Thursday, April 20, 2006 12:46 AM |