|
Share Thread: Facebook Twitter Google+ |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
|||
|
|||
main aur mayri tanhai
Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai Kartey hain basar raat main meri tanhai Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai Aa ke paas kyon door ho gaye hum se Kartey hain teri talash main aur meri tanhai Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai |
#2
|
|||
|
|||
TANHAAYI
Phir koi aaya dil-e-zaar! nahin koi nahin rahroo hoga kaheen or chala jayey gaa dhal chuki raat, bikharney laga taaroun ka ghubaar larhkharaaney lagey aewaanoun main khuwaabeeda charaagh sogayi raasta tak tak k hur ik rahguzar ajnabi khaak nay dhundlaa diyey qadmoun k suraagh gul karo shamain, barhadou may-o-meena-o-ayyaagh apnay beykhuwaab kawaarhoun ko muqaffal karlo abyahan koi nahin, koi nahin aayey gaa!! FAIZ AHMED FAIZ
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
A Tribute to Umera Ahmed | Argus | Poetry & Literature | 63 | Sunday, February 10, 2019 03:19 AM |
Mohabbat Chup Nai Rehti | The Star | Urdu Poetry | 2 | Thursday, January 08, 2009 09:05 PM |
Koi Sheher aisa basaoon main !!! | Last Island | Urdu Poetry | 2 | Thursday, December 27, 2007 09:54 PM |