#1
|
||||
|
||||
Gam ka wo zoar
Gam ka wo zoar ab merey andar nahi raha
Iss umar mai mai.n itna samar_war nahi raha Iss ghar mai jo kashish thi gaie unn dino.n kai sath Iss ghar ka sayia ab merey sar par nahi raha Mujh mai hii kuch kami thii ke behtar mai.n unn sai tha Mai.n shehar mai kisi kai barabar nahi raha Rahbar ko unn kai haal ki ho kiss tarha khabar Logo.n kai darmiyan wo aa kar nahi raha Wapis na jaa wahan kai terey shehar mai 'Munir' Jo jiss jagha pai tha wo wahan par nahi raha |
The Following 2 Users Say Thank You to Muskan Ghuman For This Useful Post: | ||
Last Island (Wednesday, January 23, 2008), wrfriends (Friday, January 25, 2008) |
|
|