Sunday, May 12, 2024
01:03 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Sunday, January 13, 2008
sara soomro's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default Shahsawaar -e- Karbala

libaas hai phata hua, ghubaar meiN ata hua
tamaam jism e naazneeN, chida hua, kata hua
yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai
ke hai hazaaroN qaatiloN ke saamne data hua

yeh bilyaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorEy ain hai

ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se
kai shaqi girEy huEy, taRap rah’e haiN karb se
ghazab hai teighaEy do-sarr, ke eik eik waar par
uthi sadaa’e alamaaN, zabaan e sharq o gharb se

yeh bilyaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorEy ain hai

yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai
ke jiske saamn’e koi, buland hai na pUst hai
udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai

yeh bilyaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorEy ain hai

aba bhi taar taar hai, tO jism bhi figar hai
zameeN bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai
magar ye mard e teigh zann, ye sAff shikan, falak figan
kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai

yeh bilyaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorEy ain hai

dilawari meiN fArd hai, baRa hi sheir e mard hai
ke jiske dabdab’e se dushmanoN ka rAng zard hai
habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
jabhi tO iske saamney, ye fauj gard bard hai

yeh bilyaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorEy ain hai

udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai
udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai
magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
ke jis taraf uthi hai neigh, bAs Khuda ka naam hai

yeh bilyaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorEy ain hai
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
People beware ! Hurriah Islam 17 Monday, January 13, 2020 09:40 AM
The Battle of Karbala sara soomro Islam 3 Friday, January 11, 2008 05:26 PM
Relevence of Karbula Muskan Ghuman Islamiat 0 Friday, February 10, 2006 08:21 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.