Tuesday, May 14, 2024
06:57 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Tuesday, January 03, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Post *Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata*

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata


Nazia Niazi

Last edited by Argus; Thursday, January 05, 2006 at 03:13 AM.
Reply With Quote
  #2  
Old Wednesday, January 04, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Default *Humko kiske gam ne mara yeh kahani phir sahi*

Humko kiske gam ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara yeh kahani phir sahi

Dil ke lutne ka sabab pucho na sabke samne
naam aayega tumhara yeh kahani phir sahi

Nafrton ke teer kha kar doston ke shahar mein
humne kis kis ko pukara yeh kahani phir sahi

Kya batayen pyar ki bazi wafa ki raah mein
kaun jita kaun hara yeh kahni phir sahi




Nazia Niazi
Reply With Quote
  #3  
Old Thursday, January 05, 2006
Leonidas's Avatar
Administrator
 
Join Date: Mar 2000
Location: Islamabad
Posts: 556
Thanks: 330
Thanked 1,084 Times in 209 Posts
Leonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud ofLeonidas has much to be proud of
Default

Aha... excellent stuff... I think the first one i.e (Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata) is written by Noshi Gilani

I would like to add the following lines in the beginning of the second one.. here are they:

Dil ke chotoon nay kabhi chain say rehnay na diya
Jab chali sard hawa may nay tujhay yaad kia

Is ka rona naheen kyoon tum nay kia dil barbad
Is ka gham hay kay bohat dair may barbaad kia

__________________
So which of the favors of your Lord would you deny?
Reply With Quote
  #4  
Old Thursday, January 05, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Default Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay

Dil ke chotoon nay kabhi chain say rehnay na diya
Jab chali sard hawa may nay tujhay yaad kia

Is ka rona naheen kyoon tum nay kia dil barbad
Is ka gham hay kay bohat dair may barbaad kia

Tidus! mar dia hay...........



Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay

Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana

Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay

Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay

Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay

Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena

Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi

Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke

sari zindagi tanhaai k liy ajj ki ratt bahut hay




Nazia Niazi
Reply With Quote
  #5  
Old Saturday, January 07, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Post kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uu.Ngii

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uu.Ngii


kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uu.Ngii
mai.n apane haath se us kii dulhan sajaa_uu.Ngii

supurd kar ke use chaa.Ndanii ke haatho.n
mai.n apane ghar ke a.Ndhero.n ko lauT aa_uu.Ngii

badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa
mai.n dil me.n rouu.Ngii aa.Nkho.n me.n muskuraa_uu.Ngii

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
mai.n kis se ruuTh sakuu.Ngii kise manaa_uu.Ngii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahii.n lekin
mai.n ab bhii us ke ishaaro.n pe sar jhukaa_uu.Ngii

bichhaa diyaa thaa gulaabo.n ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabo.n kii raakh uThaa_uu.Ngii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
mai.n kis kii nazm akele me.n gun_gunaa_uu.Ngii


javaz Dhuu.NDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke mai.n us ko bhuul jaa_uu.Ngii


sama'ato.n me.n ghane jangalo.n kii saa.Nse.n hai.n
mai.n ab kabhii terii aavaaz sun na paa_uu.Ngii



Nazia Niazi
Reply With Quote
  #6  
Old Saturday, January 07, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Post aaj to be-sabab udaas hai jii

aaj to be-sabab udaas hai jii


aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii

vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar
is bhare shahar me.n hai ek galii

chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii

ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii

aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii

ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii

tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii




Nazia Niazi
Reply With Quote
  #7  
Old Saturday, January 07, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Post jahaa.N phuulo.n ko khilanaa thaa vahii.n khilate to achchhaa thaa

Here is one of my favourite.................

jahaa.N phuulo.n ko khilanaa thaa vahii.n khilate to achchhaa thaa


jahaa.N phuulo.n ko khilanaa thaa vahii.n khilate to achchhaa thaa
tumhii.n ko ham ne chaahaa thaa tumhii.n milate to achchhaa thaa

ko_ii aakar hame.n puuchhe tumhe.n kaise bhulaayaa hai
tumhaare Khat ko ashko.n se shab-e-Gam me.n jalaayaa hai
hazaaro.n zaKhm aise hai.n agar silate to achchhaa thaa

tumhe.n jitanaa bhulaayaa hai tumharii yaad aa_ii hai
bahaar-e-nau jo aa_ii hai vo hii Khushbuu laa_ii hai
tumhare lab merii Khaatir agar hilate to achchhaa thaa

milaa hai lutf bhii ham ko hasii.n yaado.n kii jhil-mil me.n
kaTatii hai zindagii tum bin magar itanii sii hai dil me.n
agar tum aate to achchhaa thaa agar milate to achchhaa thaa



Nazia Niazi

Last edited by marwatone; Monday, July 12, 2010 at 07:26 PM.
Reply With Quote
  #8  
Old Sunday, January 08, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Post bhale dinoN ki baat hai

A poem by Ahemad Faraz:

bhale dinoN ki baat hai
bhali si aik shakl thi
na ye ki husn-e-taam ho
na dekhne mein 'Aam si

na ye ki woh chale to kahkashaaN si rahguzar lage
magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage

koi bhi rut ho us ki chchab
fiza ka rang-o-roop thi
woh garmiyoN ki chchaaoN thi
woh sardiyoN ki dhoop thi

na muddatoN judaa rahe
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-'Aam ho

na aisi Khush libasiyaaN
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare

na iKhtilaat mein woh ram
ki bad-mazah hoN KhwahisheN
na is qadar supurdigi
ki zach kareN nawazisheN

na aashiqi junoon ki
ki zindagi 'azaab ho
na is qadar kaThor pan
ki dosti Kharaab ho

kabhi to baat bhi Khafi
kabhi sukoot bhi suKhan
kabhi to kasht-e-z'AfraaN
kabhi udaasiyoN ka ban

suna hai aik 'Umr hai
mu'Amilaat-e-dil ki bhi
visaal-e-jaaNfiza to kya
firaaq-e-jaaNgusal ki bhi

so aik roz kya hua
wafa pe bahas chchiD gayi
maiN ishq ko amar kahooN
woh meri zid se chiDh gayi

maiN ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
woh bad-taraz-hawas kahe

"shajar hijr nahin ki ham
hamesh pa ba gul raheN
na Dhor haiN ki rassiyaaN
gale main mustaqil rahaiN

mohabbatoN ki vus'AtaiN
hamare dst-o-pa meiN haiN
bas aik dar se nisbateiN
sagaan-e-bawafa meiN haiN

maiN koi painting nahiN
ki aik frame meiN rahooN
wahi jo man ka meet ho
usi ke praim meiN rahooN

tumhari soch jo bhi ho
maiN is mizaaj ki nahiN
mujhe wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahiN"

na us ko mujh pe maan tha
na mujh ko us pe za'Am hi
jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi

so apna apna raasta
hansi Khushi badal diya
woh apni raah chal paDi
main apni raah chal diya

bhali si aik shakl thi
bhali si us ki doosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar "kabhi kabhi"



Nazia Niazi
Reply With Quote
  #9  
Old Monday, January 09, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Post ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii

ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii


ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii
'Faraz' tujh ko na aa_ii.n muhabbate.n karanii

ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hame.n
shumaar abhii se judaa_ii kii sa'ate.n karanii

ko_ii Khudaa ho ke patthar jise bhii ham chaahe.n
tamaam umr usii kii ibaadate.n karanii

sab apane apanee qariine se muntazir us ke
kisii ko shukr kisii ko shikaayate.n karanii

ham apane dil se hai.n majabuur aur logon ko
zaraa sii baat pe barpaa qayaamate.n karanii

mile.n jab un se to mubaham sii guftaguu karanaa
phir apane aap se sau-sau vazaahate.n karanii

ye log kaise magar dushmanii nibhaate.n hai.n
hamii.n ko raas na aa_ii.n muhabbate.n karanii

kabhii 'Faraz' naye mausamo.n me.n ro denaa
kabhii talaash puraanii raqaabate.n karanii


Love this one very much..

Nazia Niazi

Last edited by marwatone; Monday, July 12, 2010 at 07:16 PM.
Reply With Quote
  #10  
Old Tuesday, January 10, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Post *us ne kahaa sun *

us ne kahaa sun


us ne kahaa sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hai.n
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aa.Nkho.n me.n Duubo
jis dil me.n bhii utaro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau
itanii tez aur itanii uu.Nchii ho jaaye
jab dil rode
tab lauT aanaa



Nazia Niazi
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Add Funny Poetry Here!!!! Najabat Urdu Poetry 118 Tuesday, April 15, 2014 11:24 AM
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete Princess Royal Urdu Poetry 0 Thursday, March 20, 2008 08:16 AM
Lamhey nahi aaya kertey Sureshlasi Urdu Poetry 0 Monday, March 17, 2008 01:34 PM
Dard phail jaye to ... Last Island Urdu Poetry 0 Saturday, January 13, 2007 05:28 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.