CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Poetry of Ahmad Faraz (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/23205-poetry-ahmad-faraz.html)

Sureshlasi Tuesday, February 13, 2007 03:34 AM

tere hote hue mahafil mein jalaate hain chiraaG
 
[B][COLOR="DarkSlateGray"]
tere hote hue mahafil mein jalaate hain chiraaG
log kyaa saadaa dain suuraj ko dikhaate hain chiraaG

apanii maharuumiyon pe sharmindaa hain
Khud nahiin rakhte to auron ke bujhaate hain chiraaG

bastiyaan chand sitaaron pe baasne vaale
kurraa-e-arz bujhaate jaate hain chiraaG

kyaa Khabar hai un ko ke daaman bhii bhaDak uThate hain
jo zamaane kii havaaon se bachaate hain chiraaG

aisii taariikiiyaaN aaNkhon mein basaii hain 'Faraz'
raat to raat ham din ko jalaate hain chiraaG

[/COLOR][/B]

Sureshlasi Tuesday, February 13, 2007 03:39 AM

wafaa ke Khuwaab muhabbat kaa aasara le jaa
 
[COLOR="DimGray"][B]
wafaa ke Khuwaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa

maqaam-e-suud-o-ziyaaN aa gayaa hai phir jaahaaN
ye zaKhm mere sahii tiir to uThaa le jaa

yahii hai qismat-e-saharaa yahii karam teraa
ki boond boond utaa kar ghaTaa ghaTaa le jaa

Guruur-e-dost se itanaa bhii dil shikastaa na ho
phir uTh ke saamane daaman-e-iltajaa le jaa

nadaamatein hoon to sar baar-e-dosh hotaa hai
'Faraz' jaaN ke awwaaz aabaruu bachaa le jaa

[/B][/COLOR]

Sureshlasi Tuesday, February 20, 2007 03:26 AM

aaNkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
 
[B]
aaNkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de dooN
main nahiin koi to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

[/B]

Wounded Healer Monday, February 26, 2007 04:04 AM

[B]is qadar musalsal thiin shiddatein judaaii kii[/B]


is qadar musalsal thiin shiddatein judaaii kii
aaj pehalii baar main ne us se bevafaaii kii

wernaa ab talak yuun thaa khwaahishoon kii baarish mein
yaa to tuut kar royaa, yaa ghazal saraaii kii

tajj diyaa thaa kal jin ko hum ne, terii chaahat mein
aaj un se majabuuran taazaa aashnaaii kii

ho chalaa thaa jab mujh ko ikhtilaaf apane se
tuune kis gharrhii zaalim merii hum navaaii kii

turk ker chukay qasid koye namuradaan ko
kaun ub khabar laaway sheher e Aashnaii kii

tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar hain naaseh ke
aap se koii puuchhe hum ne kyaa buraaii kii

phir qafas mein shor utthaa qaidiyoon kaa aur sayyaad
dekhnaa urrhaa degaa phir khabar rihaaii kii

dukh hua jub us dar per kal "Faraz" ko dekha
kaakh eib thay usmein khoo na thee gidayii kii

Wounded Healer Friday, March 02, 2007 04:40 AM

[B]mein marr mita toh woh samjha ye inteha thii merii[/B]


mein marr mita toh woh samjha ye inteha thii merii
ose khabar hii na thii, khaaq kimiya thii merii

mein chup hua toh woh samjha baat khatam huii
phir us ke baad toh awaaz ja-baja thii merii

jo taana-zan tha merii poshish-e-dareeda par
osii ke daush pa rakhii huii qabba thii merii

mein us ko yaad karoon bhii toh yaad aata nahien
mein us ko bhool gaya hoon, ye hii saza thii merii

shikast de gaya apna hii gharoor us ko
wagarna us ke muqaabil bisaat kiya thii merii

kahien dimaagh, kahien dil, kahien badan hii badan
har ik se dostii yarii, judaa judaa thii merii

koi bhii ko-e-mohabbat se phir nahien guzra
toh shehar-e-ishq mein kiya aakhrii sadaa thii merii?

jo ab guhmund se sar ko uthaye phirta hai
is tarhaan kii toh makhlooq khaaq-e-pa thii merii

mein us ko dekhta rehta tha hairatoon se FARAAZ
ye zindagii se taaruf kii ibtada thii merii

Wounded Healer Saturday, April 07, 2007 05:11 PM

[B]kyaa rukhsat-e-yaar kii garrhii thii [/B]


kyaa ruhsat-e-yaar kii garrhii thii
hanstii huii raat, ro parrhii thii

hum khud hii hue tabaah, varnaa
duniyaa ko hamaarii kyaa parrhii thii

ye zakhm hain on dinon kii yaadein
jab aap se dostii, barrii thii

jaate toh kidhar ko tere vehashii
zanjiir-e-junuun karrii parrhii thii

gham thay, ke 'Faraz' aandhiyaan thiin
dil thaa ki 'Faraz', pankhurrhii thii

Wounded Healer Tuesday, April 10, 2007 06:00 PM

[B]na shab-o-rauz hii badle hain[/B]

na shab-o-rauz hii badle hain, na haal achcha hai
kis brahman ne kaha tha keh yeh saal achcha hai

hum keh donoon ke geriftaar rahe, jaante hain
daam-e-duniya se kahien zulf ka jaal achcha hai

mein ne poocha tha keh aakhir yeh taghaafil kab tak?
muskurate hue bole ke sawaal achcha hai

dil na maane bhi toh aisa hai ke gaahe gaahe
yaar-e-be-faiz se hulka sa malaal achcha hai

lazzatein qurb-o-judaai kii hain apni apni
mustaqil hijr hii achcha, na wasaal achcha hai

rehrawaan-e-rah-e-ulfat ka muqaddar maloom
un ka aaghaaz hii achcha, na maal achcha hai

dostii apni jagaah, par yeh haqeeqat hai FARAZ
terii ghazloon se kahien tera ghazaal achcha hai

Wounded Healer Tuesday, April 10, 2007 06:30 PM

[B]na tera qurb na baada hai, kia kiiya jaye[/B]

na tera qurb na baada hai, kia kiiya jaye
phir aaj dukh bhi ziyada hai, kia kiiya jaye

humein bhi arz-e-tamanna ka dhab nahien aata
mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kia kiiya jaye

kuch apne dost bhi tarkash badoosh phirte hain
kuch apna dil bhi kushaada hai, kia kiiya jaye

woh meharbaan hai magar dil kii hirrss bhi kam ho
talb, karam se ziyada hai, kia kiiya jaye

na os se tarq-e-taaluq kii baat kar payein
na humdamii ka irada hai, kia kiiya jaye

saluk-e-yaar se dil doobne laga hai FARAZ
magar yeh mehfil-e-aada hai, kia kiiya jaye

Wounded Healer Tuesday, April 24, 2007 08:45 PM

[B]karun na yaad agar kis tarhan bhulaon ose [/B]


karun na yaad agar kis tarhan bhulaaon ose
ghazal bahaanaa karun aur gungunaaon ose

woh khaar-khaar hai shaakh-e-gulaab kii maanind
main zakhm-zakhm hoon phir bhii gale lagaaon ose

yeh log tazkare karte hain apne logoon se
main kaise baat karun aur kahaan se laaon ose

magar woh zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuth jaaye agar yaad kuch dilaaon ose

wahii jo daulat-e-dil hai wahii jo raahat-e-jaan
tumhaarii baat pe ai naasiho ganwaaon ose

jo hum safar sar-e-manzil bichharr rahaa hai 'Faraz'
ajab nahiin ki agar yaad bhii na aaon ose

Wounded Healer Wednesday, May 09, 2007 06:58 PM

mein ne aaghaaz se anjaam-e-safar jaana hai
 
mein ne aaghaaz se anjaam-e-safar jaana hai
sab ko dau chaar qadam chal ke tehhar jaana hai

gham woh sehra-e-tamanna keh bagaulay ki tarhaan
jis ko manzil na mili, os ko bikhar jaana hai

teri nazroon mein mere dard ki qeemat kiya thi
mere daaman ne to aansoo ko gehar jaana hai

ab ke bichre toh na pehchan sakein gey chehre
meri chahat, tere pindaar ko marr jaana hai


06:22 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.