CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Poetry of Ahmad Faraz (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/23205-poetry-ahmad-faraz.html)

Wounded Healer Thursday, January 18, 2007 04:05 AM

Ahmed Faraz
 
Kal shab tha ajab deed ka manzar mere agay
Duniya thi na hone ke barabar mere agay

Os waqt na thi aankh japakne ki bhi fursat
Ik sheher-e-tilismaat tha yuksar mere agay

Os waqt na thi dil ko dharakne ka bhi yara
Ik aalam-e-hairat tha sarasar mere agay

Laye koi meena-e-mae tund lapak kar
Rakh de koi tazeem se saghar mere agay

Chup chup ke koi chust kare tang kaba ko
Hans hans ke utare koi zaiver mere agay

Ik mast ada kaakil-e-meshkeen ko bikhaire
Le aaye daf-o-chung utha kar mere agay

Jaise ho mere saamne shiddaat ki jannat
Jaise ho sanam khana-e-aazar mere agay

Jaise koi gul chehra pari cham se utar aaye
Aur raqs kare naz se aa kar mere agay

Shola sa badan, zulf ki makhmal mein lapaite
Jaise ho koi khwab sa paikar mere agay

Yun jaise ke jaado sa jagata chala jaye
Ik aafat-e-jaan, fitna-e-mehshar mere agay

Yaqut sa lab, saru sa qad, raat si aankhein
Woh jaan-e-qiyamat thi mere ghar mere agay

Aye gardish-e-doraan zara aahista qadam rakh
Ye saat-e-guzraan hai garrhi bhar mere agay

Aye mausam-e-hijraan abhi kuch dai tawaqaf
Aana hai toh aa jana thahar kar mere agay

Aasudgi-e-qurb ki aaza shikni se
Hai need mein ghafil mera dilbar mere agay

Aye subah-e-judai abhi ruk ja ke sitamgar
Aise bhi na jaage thay muqaddar mere agay

Shayad FARAZ aaj kisi roop nagar se
Ayi hai qaza bhais badal kar mere agay

Wounded Healer Thursday, January 18, 2007 10:38 PM

Hain zakham aur bhi dil par mere agay
Koi na kahe os ko sitamgar, mere agay

Aafat zamane ke taaqub mein mere hain
Aur mae hai, na meena hai, na saghar, mere agay

Kyoon bigrroon farishtoon ke likhe par ke yeh hi khel
Hota raha duniya mein bhi aksar, mere agay

Sayyaad ne pehle toh rehaai ki khabar di
Phir daal diye os ne mere par, mere agay

Gumrah-e-zamana hoon magar rah-e-wafa mein
Pooche na khizar ko bhi sikandar, mere agay

Woh sahib-e-dil hoon ke meri jaan ka dushman
Taazeem se rakh deta hai khanjar, mere agay

Kis ism ki barkat hai ke aewaan-e-sukhan mein
Khulta hi chala jaata hai har dar, mere agay

At Ur Own Risk Wednesday, January 24, 2007 12:34 PM

KISI BEWAFA KI YAAD MEIN YE JANOON FARAZ KAB TALAK
jo tumhein bula chuka he ussey tum bhi bhool jao
ye judaaiyon k raaste bari door tak gaey hein
jo gatya wo phir naa aaya meri baat maan jao

Wounded Healer Tuesday, January 30, 2007 05:04 AM

[B]dost ban kar bhii nahiin saath nibhaane vaalaa [/B]


dost ban kar bhii nahiin saath nibhaane vaalaa
vahii andaaz hai zaalim kaa, zamaane vaalaa

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
sakht nadim hai mujhe daam mein laane vaalaa

kyaa kahein kitane maraasim thay hamaare is se
vo jo ik shakhs hai muunh pher ke jaane vaalaa

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
aaj tanhaa huun to koii nahiin aane vaalaa

muntazir kis kaa huun tuutii huii dehaliiz pe mein
kaun aayegaa yahaan, kaun hai aane vaalaa

mein ne dekhaa hai bahaaroon mein chaman ko jalate
hai koii khvaab kii taabiir bataane vaalaa

kyaa khabar thii jo merii jaan mein guhlaa hai itnaa
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

tum taqalluf ko bhii ikhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahiin har haath milaane vaalaa

Wounded Healer Tuesday, January 30, 2007 11:49 PM

[B]badan mein aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai [/B]


badan mein aag sii, cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-gham kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai

kahaan woh qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii khvaab jaisaa hai

magar kabhii koii dekhe koii parrhe to sahii
dil aaiinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai

woh saamne hai magar tishnagii nahiin jaatii
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm, zakhm sahii
hamein aziiz hai, khaanaa kharaab jaisaa hai

Wounded Healer Friday, February 02, 2007 01:33 AM

[B]Pehle Pehle[/B]

Saaqiyaa, ik nazar jaam se pehle pehle
hum ko jaanaa hai kahiin, shaam se pehle pehle

Khush huaa ai dil ke muhabbat toh nibhaa dii tuune
log ujarrh jaate hain, anjaam se pehle pehle

ab tere zikr pe hum baat badal dete hain
kitnii raghbat thii tere naam se pehle pehle

saamne umr parrhii hai shab-e-tanhaaii kii
woh mujhe chhorrh gayaa shaam se pehle pehle

Wounded Healer Monday, February 12, 2007 02:58 AM

[B]ye kyaa ke sab se bayaan dil kii haalatein karnii [/B]


ye kyaa ke sab se bayaan dil kii haalatein karanii
'Faraz' tujh ko na aaiien muhabbatein karnii

ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamein
shumaar abhii se judaaii kii sa'atein karnii

koii khudaa ho, ke patthar, jise bhii hum chaahein
tamaam umr usii kii ibaadatein karnii

sab apane apane qariine se muntazir us ke
kisii ko shukr, kisii ko shikaayatein karnii

hum apane dil se hain majbuur aur logon ko
zaraa sii baat pe barpaa qayaamatein karnii

milein jab un se to mubaham sii guftaguu karnaa
phir apane aap se sau-sau vazaahatein karnii

ye log kaise magar dushmanii nibhaatein hain
humiin ko raas na aaiien muhabbatein karnii

kabhii 'Faraz' naye mausamoon mein rou denaa
kabhii talaash puraanii raqaabatein karnii

Hazeleyes Tuesday, February 13, 2007 12:53 AM

zulf raaton ki c rungut hey ujalon jaisi
per tabiat hey wohi bhholnay walon jaisi

uski baatein b dil aweiz hein uski soorat ki tarah
meri sochein b pareshaan meray baalon jaisi

us ki aankhon ko kabie ghaur sey dekha hey faraz
ronay walon ki tarah jaagnay walon jaisi

Wounded Healer Tuesday, February 13, 2007 01:19 AM

hansii khushii se bicharrh jaa, agar bicharrhnaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochtaa hai aakhir tuu

'Faraz' tuune use mushkiloon mein daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu

Wounded Healer Tuesday, February 13, 2007 01:25 AM

[B]jis simt bhii dekhuun, nazar aataa hai ke tum ho [/B]

jis simt bhii dekhuun, nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaah, ye koii tum saa hai ke tum ho

ye khwaab hai khushbuu hai ke jhaunkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai, baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

is diid kii sa_aat mein kaii rang hain larazaan
main huun ke koii aur hai, duniyaa hai ke tum ho

dekho ye kisii aur kii aankhein hain ke merii
dekhuun ye kisii aur kaa cheharaa hai, ke tum ho

ye umr-e-gurezaan kahiin thehre to ye jaanuun
har saans mein mujh ko ye lagtaa hai ke tum ho

har bazm mein mauzuu-e-sukhan dil zadgaan kaa
ab kaun hai, shiiriin hai ke lailaa hai ke tum ho

ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main huun
ik mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho

woh waqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar mein tanhaa koii hum saa hai ke tum ho

aabaad hum aashuftaa saroon se nahiin maqtal
ye rasm abhii shahar mein zindaa hai ke tum ho

ai jaan-e-'Faraz' itnii bhii taufiiq kise thii
hum ko gham-e-hastii bhii gawaaraa hai ke tum ho


11:37 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.