|
Share Thread: Facebook Twitter Google+ |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
||||
|
||||
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hoon na mujhse ban saka chhota sa ghar,din raat rota hoon khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
mujhy teri muhabat ne,Bohat buzdil bana dala | arsa | Urdu Poetry | 0 | Thursday, March 26, 2009 09:54 PM |