Sunday, April 28, 2024
12:37 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Monday, March 20, 2006
free thinker's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Mar 2006
Location: in graveyard
Posts: 189
Thanks: 0
Thanked 39 Times in 19 Posts
free thinker is on a distinguished road
Default Jab dard puranay ho baithay...

Jab dard puranay ho baithay..
Jab `yaad ka jugnu`raakh hua
Jab aankh main aaansoo barf huay
Jab zakhm se dil manoos hua
Jab tees ko chubhna bhool gia
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!

Jab karb ki lambi rahon main
Ahsas k baal safaid huay
Ya soch ki sarma dhoopon main
Alaam ka mevah khushk hua
Jab aankhain 'be sailaab'huin
Jab neendain Aandhi ho baithin
Jab khawabain b 'be khawab' huin
Jab chaand charha be dardi ka
jab tanhaii ka seena b
Ser rakhnay ki aagosh laga
Jab rait peh likhi yaadon ko
Be mehr hawa ne cheen lia
Jab hosh ki kachi dewarain
Tasweeron se azad huin
Jab 'yaad ruttain' be dad huin
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharakna yaad aya!!!

Tab aankhain kuch abaad huin
Jab mujh peh khula main zinda huun...
Ahsas ka bachpan jaag para
Phir jazbay be taqweem huay!!
Phir waqt ne kuch angrhaii li..
Phir soch ki qabar se dhool urhi
Phir piyas ka barzakh bhool gya!
Ik hijr se kia azad huay?
So hijr naye ejaad huay!!
Phir ik nazar siyyad bani
Ik nazar ka taair said hua
Phir ashk main darya qaid hua!!
Phir dharkan main bhonchal paray
Phir ishq ka jogi gallion main...
Taqdeer kay saamp utha laya!!

Phir hosh ka jungle sabz hua
Phir `shoq_e_darinda` jag utha..
Phir zulf ka tewar shaam banay
Us shaam main phir mehtaab charha
Phir hont ki larzish, geet bani..
Phir sans ka naam saba thehra!!
Phir sher,shaur ka wird hua..
Phir zanjeerain,zawer thehrin..
Phir taqreerain inaam huin
Phir khoon se likhay jazbon ki
Kuch tehreerain neelam huin!!
Phir dard "Zulaikhaan"ban baitha..
Phir qurb ka karb jawan hua
Phir mujh pe khula main zinda huun!!!!

Kuch wasl shabain `shab khaiz`huin
Kuch hijr ki nabzain tez huin
Jab qaid ko taza umr mili..
Us qaidi umr k bakhton ne..
Ik shaam_e-sahuur se pooch lia
Mehjuur hi rehna tha...to hamain
wo pichla hijr hi kafi tha!!
Gar qaid hi ja` apnani thi..
Kiun pichlay jaal ko chora tha??
Kis ahed peh pinjra tora tha??
Jab jaal teri qamzori thay...
Siyyad ko kiun badnaam kia??
Ik soch raha huun muddat se..
Kiun mujh pe khula main zinda huun??
KIun dil ko dharakna yaad aya??
__________________
kareiN meiN ney kesi ebaadateiN
rahi aetaqaaf mein chasm-e-num
kaeiN rath-jugouN ki dukhi huwee
na hi buth miley naa pari milee

merey charagarh mere hum-navaa
naa pari milee, na hi buth miley
naa hee en buthouN ka Khuda mila
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dil mein dard kisi Gair ke liye Zirwaan Khan Urdu Poetry 1 Tuesday, December 11, 2007 02:17 AM
Dard baaki hai... Eve Urdu Poetry 0 Saturday, June 30, 2007 10:26 PM
Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha Sureshlasi Urdu Poetry 0 Friday, June 22, 2007 07:24 PM
muskuraney se mera dard chhupa rahta hai sardarzada11 Urdu Poetry 0 Tuesday, April 04, 2006 11:21 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.