Tuesday, May 07, 2024
09:48 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #11  
Old Monday, December 04, 2006
nazia niazi's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Default

salam

@Muskan...very nice collection...keep sharing

@yousafzai...wel done ....gudd jobbb


here from my side by Gailb

Bazeecha-e- Atfal hay dunia mere agay
hota hay shab o roze tamasha mere agay
mat pooch k kia hal hay mera tere peechay
tu dekh k kia rang hay tera mere agay
eiamann mughy rokay hay jo kheencahy hay mughy kufr
kabba mere peechay hay,kaleesa mere agay
go hath ko junbash nahi,ankhon main tu daam hay
rehnay do abhi saghir o meena mere agay
__________________
Main Ishq_e_kaainat main zanjeer hu sakoon
Mugh ko Hisar-e_zaat k Shar say Rehai day !

-------------------------------------------

Nazia Niazi
Reply With Quote
  #12  
Old Monday, December 04, 2006
Junior Member
 
Join Date: Dec 2006
Posts: 4
Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
naveed niazi is on a distinguished road
Default

tum bhi koi peepal ke darakht ho
or mere dil ki dewar pr og ai ho
Reply With Quote
  #13  
Old Thursday, December 21, 2006
Mazher's Avatar
Banned
 
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 390
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 82 Posts
Mazher is on a distinguished road
Default

mein unhein chhedon, aur kuchh na kahein
chal nikaltay jo may piay hotay

------

qehr ho, ya bala ho jo kuchh ho
kaash k tum meray liay hotay

------

meri qismat mein gham gar itna tha
dil b ya Rab kai diay hotay

------

aa he jata wo raah par ghalib
koi din aur b jiay hotay

------
ishq mujh ko nahin wehshat he sahi
meri wehshat teri shohrat he sahi

------

qat-aa kijay na ta-alluq ham say
kuchh nahin hay to adawat he sahi

------

apni hasti he say ho jo kuchh ho
aag-hi gar nahin ghaflat he sahi

------

ham koi tark-e-wafa kartay hein
na sahi ishq museebat he sahi

------

ham b taslim ki khoo dalein gay
bay niazi teri aadat he sahi

------

Ibn-e-Maryam hua karay koi
meray dard ki dawa karay koi

------

shar-o-aa-een par madaar sahi
aisay qatil ka kia karay koi

------

kia kia khizr nay sikandar say
ab kisay rah-nu-ma karay koi

------

jab tawaqqao he uthh gai ghalib
kiun kisee ka gila karay koi

------

jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hein
khayaban khayaban iram dekhtay hein

------

teray sar-o-qaamat say ik qad-e-aadam
qayamat k fitnay ko kam dekhtay hein

------

bana kar faqeeron ka ham bhes ghalib
tamasha-e-ehl-e-ekaram dekhtay hein

------

dil-e-nadan tujay hua kia hay
aakhir iss dard ki dawa kia hay

------

ham hein mushtaq aur wo bayzar hein
ya elahi yeh maajra kia hay

------

mein b moonh mein zuban rakhta hoon
kash poochho k mudda-aa kia hay

------

jab k tujh bin nahin koi maujood
phhir yeh hangama aey khuda kia hay

------

yeh pari chehra log kaisay hein
ghamza-o-ishqa-o-ada kia hay

------

sabza-o-gul kahan say aaey hein?
abr kia cheez hay hawa kia hay

------

ham ko unn say wafa ki hay ummeed
jo nahin jaan-tay wafa kia hay

------

haan bhala kar tera bhala ho ga
aur darwesh ki sada kia hay

------

jaan tum par nisar karta hoon
mein nahin janta dua kia hay

------

mein nay maana k kuchh nahin ghalib
muft haathh aaey to bura kia hay

------

bazicha-e-atfal hay dunia meray aagay
hota hay shab-o-roz tamasha meray aagay

------

ik khhel hay aurang-e-suleman meray nazdeek
ik baat hay ejaz-e-maqseeha meray aagay

------

juz naam nahin soorat-e-aalam mujay manzoor
juz wehm nahin hasti-e-ashya meray aagay

------

hota hay nihan gard mein sehra meray hotay
gista hay jabeen khak pay daria meray aagay

------

mat poochh k kia haal hay mera teray peechhay
tu dekhh k kia rang hay tera meray aagay

------

sach kehtay ho khud been-o-khud aara hoon, na kiun hon
baithha hay but aaina-e-seema meray aagay

------

phhir dekhiay andaz gul afshani-e-guftaar
rakhh day koi paimana-e-sahba meray aagay

------

eeman mujay rokay hay jo khheenchay hay mujay kufr
kaaba meray peechhay hay kaleesa meray aagay

Last edited by Princess Royal; Sunday, March 23, 2008 at 06:05 AM.
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mirza Galib Sureshlasi Urdu Poetry 20 Saturday, September 12, 2009 10:23 PM
Mirza Ghalib Faraz_1984 Urdu Literature 1 Friday, September 19, 2008 11:38 AM
Dialouge between Nasir Kazimi and Ghalib about a Cricket Match... Khuram Urdu Poetry 0 Wednesday, February 01, 2006 01:43 PM
Mirza Ghalib - A creative Biography sibgakhan Urdu Literature 0 Monday, January 23, 2006 01:25 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.