CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   New Bait baazi (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/8935-new-bait-baazi.html)

Eve Friday, June 01, 2007 07:54 PM

Dil

Jo Dil manga to woh bholay zara thehro,
Aik zara see cheez the na jany kahan rakh dee

Hazeleyes Friday, June 01, 2007 11:16 PM

Dil

dil ajab gumbad k jis mein ik kabutar bhii nahiin
itanaa viraaN to murdaaron kaa muqaddar bhii nahiin


Duubtii jaatii hain mittii mein badan ki kashtiyaaN
dekhane mein ye zameen koi samandar bhi nahiin

Rehana kousar Saturday, June 02, 2007 12:01 AM

Doori
 
A small tear in my eyes
A little pain in my heart
Its nothing
but it is to much
________________________
Yan tera tazkra kre her shaksh
yan koi mujh se guftogo na kre

Eve Saturday, June 02, 2007 07:15 PM

Doubna

Jo Doubna chaho to itnay sakoon say Doubo
Kay ass pass ke lahroon ko be pata na lagay...

nazia niazi Sunday, June 03, 2007 02:09 PM

[B]SAKOON

Sadd shukar us Rab e zuljalal k liy
sakoon bakhshta hay jo jheel ko kanwal k liy[/B]

Rehana kousar Sunday, June 03, 2007 11:33 PM

ye zara zara si baat pe, tarha tarha k azab kyun?
jo kisi se bnhi khafa na ho, mujhe us KHUda ki talash hy

Mujhy larzashon pe har ghari koi tokta hay ba bar?
jisay kar k dil ko dukh na ho, Mujahy us GUNSh ki talash hay

Bina humsafar k kab talak koi musafton men laga rahay?
jahan koi kisi se juda na ho, mujhe us khan ki talash hay

nazia niazi Tuesday, June 05, 2007 07:34 PM

[B]khuda

khuda hum ko asi khudai na day
k apnay siwa kuch dikhai na day[/B]

Dilrauf Wednesday, June 06, 2007 12:27 AM

Dikhai
 
Dikhai diey yoon ke bekhud kia
humein aap se bhee juda ker chaley

Dilrauf Wednesday, June 06, 2007 12:52 AM

Adab,
Can anyone tell me ke yeh kiss ke ghazal y a nazam hei>>>
Benishan sawalon pe unglian ghumata hoon
dairey banata hoon, dekhta hee jaata hoon
zindegi ke parchaey ke sub sawal mushkil hein and so on....
Regards

Eve Wednesday, June 06, 2007 07:15 PM

@ Dilrauf
dear yeh "Amjad Islam Amjad" ke nazam ha.

[B]zindagi[/B]

Zindagi k mailay main,
Khawahisho k railay main,
Tum say kia kahain jana,
Iss kadar jamailay main...


07:17 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.