CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   New Bait baazi (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/8935-new-bait-baazi.html)

nazia niazi Friday, April 13, 2007 12:39 AM

New Bait baazi
 
a.o.a
I am starting a new topic. choose a word from above shaher and give next shaher which contain that word.

[B]Abi qadam uthay na thay kay safar tamam hoa
Ghazab hai safar ka itna bhi mukhtasir hona [/B]

umm ummm now one can choose aby word from the above sher
like,

[B]NA[/B]

[B]Na [/B]tha kuch toh, Khuda tha, kuch na hota toh Khuda hota
diboya mujhko hone ne, na hota main toh kya hota .

abb next baari kis ki hayy:thinking

amy Friday, April 13, 2007 10:53 AM

[B]teray baghair kabhi tou ghaneemat hai zindagi
khud ko ganwa k kaun teri justuju karey
[COLOR="Red"]----Faraaz[/B][/COLOR]

nazia niazi Friday, April 13, 2007 06:15 PM

[B]Zindagi

Bahut pehly say un qadmon ki aahat jan laiaty hain
tughy aay zindagi hum door say pehchan laiaty hain[/B]

KhayaL Friday, April 13, 2007 08:40 PM

[B]Abi qadam uthay na thay kay safar tamam hoa
Ghazab hai safar ka itna bhi mukhtasir hona
[/B]

Really Nice...bohat acha shair hai...nice

KhayaL Friday, April 13, 2007 08:48 PM

[B]yea mujh sey pochiye kya justajuu main lazzat hai
fazaa-e-dahar main tahaliil ho gayaa hoon main
[/B]

nazia niazi Saturday, April 14, 2007 12:10 AM

[QUOTE=KhayaL][B]Abi qadam uthay na thay kay safar tamam hoa
Ghazab hai safar ka itna bhi mukhtasir hona
[/B]

Really Nice...bohat acha shair hai...nice[/QUOTE]

Thanx
Nice 2 c u after along time.
kee sharing

nazish ali Thursday, April 19, 2007 03:36 PM

kis udasi sa muja us na mubarak di hai
jasa acha na laga ho mer aacha hona
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
jis terah log khasara main boht sochta hain
aaj kal hum tera bara main boht sochta hain

PEERLESS Thursday, April 19, 2007 04:07 PM

bholay hain rafta rafta unhain mudatoon ke baad
qistoon mein khudkushi ka maza hum se poochiye

nazia niazi Sunday, April 29, 2007 12:05 PM

[QUOTE=PEERLESS]bholay hain rafta rafta unhain mudatoon ke baad
qistoon mein khudkushi ka maza hum se poochiye[/QUOTE]

nice sher..kee sharing

but this is a diffrent toic..
above sher say koi lafz select kar k next sher likhna hay
so lz khyal rakheey...dont break the rules of NEW BAIT BAAZI...shukria.

from above sher i m choosing lafz ...
[B]HUM[/B]

Na thi jisko meray pyaar ki Qadar
Itefaaq se usi ko chah rahay thay hum
Usi diye nay jalaya meray haathon ko
Jisko hawa se bacha rahay thay hum

nazia niazi Monday, April 30, 2007 08:48 PM

choosing HAWA from above sher

[B]Hawa

Raston pay na betho , hawa tang karay gi
ghuzartay hoay logon ki sada tang karay gi

Mat toot kay chaho ussay aaghaz-e-safar main
bicharay ga tu eik eik ada tang karay gi. [/B]

nazia niazi Friday, May 04, 2007 10:49 PM

[B]SAFAR[/B]

SAFAR tanha nahi kartay
suno! asa nahi kartay
jisay shafaaf rakhna hu
usay maila nahi karaty

Dual Personality Saturday, May 05, 2007 10:31 AM

from safar

ik shakhs kay kho janay ka dar kyo nahi jata
ye khof meray dil utr kyo nahi jata
manzil pay pahanch ker b to usay khona paray ga
ye tay hai to phir shokay safar kyo nahi jata

Dual Personality Saturday, May 05, 2007 10:33 AM

shakhs

bichray to janay kya ho
wo shakhs jo abi mila he nahi

Dual Personality Saturday, May 05, 2007 10:34 AM

bichray

jatay huway khud ko yahi chor gaya
us ko to bichrnay ka saleeka b na aya

nazia niazi Saturday, May 05, 2007 05:17 PM

[QUOTE=Dual Personality]bichray

jatay huway khud ko yahi chor gaya
us ko to bichrnay ka saleeka b na aya[/QUOTE]

@Dual Personality
gud one..keeP sharing.


[B]Na

Na tha kuch toh, Khuda tha, kuch na hota toh Khuda hota
diboya mujhko hone ne, na hota main toh kya hota [/B]

At Ur Own Risk Sunday, May 06, 2007 09:57 PM

@main

main dil zada hoon agar, dil figaar wo bhi hein
ke jurm-e-ishq k ab daawe daar wo bhi hein

Waseemtabish Sunday, May 06, 2007 10:40 PM

Baat teray siwa Aur bhala kiss say karain
tu jafa karta hai tu wafa kiss say karain
Aina samney rakhain, tu Nazar aye tu...
tujh say jo baat chupani hoo, kaha kiss say karain
haath uljhay howay Raisham main phansa baithay hain ..
Ab bata.. koan say dhagey ko juda kiss say karain
tu nahin hai tu phir aye husn saz bata
iss bharey sheher main hum jaisay mila kiss say karain
tu nay tu apni si karni thee soo kar li
Mas'la yeh hai keh hum iss ka gila kis say karain ?

Nosheen Sunday, May 06, 2007 10:46 PM

gila
gila fazool tha ehde wafa k hotey howey
so chup rahey sitam-e-narawa k hotey howey

nazia niazi Monday, May 07, 2007 08:33 PM

[QUOTE=At Ur Own Risk]@main

main dil zada hoon agar, dil figaar wo bhi hein
ke jurm-e-ishq k ab daawe daar wo bhi hein[/QUOTE]

wah!

[B]Isqh.

Yeh ishq nahee asaan.
bus itna samjh lijiay.
aik aag ka darya hay
aor doob k jana hay[/B].

nazia niazi Monday, May 07, 2007 08:38 PM

[QUOTE=Nosheen]gila
gila fazool tha ehde wafa k hotey howey
so chup rahey sitam-e-narawa k hotey howey[/QUOTE]

good sher on [B]gila[/B] dear Nosheen:)

[B]Wafa[/B]

Sare Jahan ki Khushyan, Us k Naseeb Karde
Hansta Rahay Sada Woh, Use Khush Naseeb Karde

Kabhi Dil na Uska toote, Kabhi Choat Woh na khae
Usko [B]Wafa[/B] k Ya Rab, itna Qareeb karde

PEERLESS Tuesday, May 08, 2007 04:21 PM

KHUSHYAAN

Khushiyaan sabhi hamaarii sar-e-daar tak gayiin
rusvaiyaan bhii kuuchaa-o-baazaar tak gayiin

tum ne jalaayaa meraa nasheman to Gam nahin
chingaariyaan udin gul-o-gulazaar tak gayiin

nazia niazi Friday, May 25, 2007 07:58 PM

Gham

Gham Hay Ya Khushi Hay Tu
Meri Zindagi Hay Tu
Main Khizan Ki Sham Hoon
Rut Bahar Ki Hay Tu

nazia_malik Friday, May 25, 2007 08:07 PM

nice topic

Hazeleyes Saturday, May 26, 2007 02:25 AM

zindagi


zindagi tuj ko mananay niklay
hum b kis darjaa deewanay niklay

kuch to dushman thay mukhaalif suff mein
kuch meray dost puranay niklay
[COLOR="DarkRed"]
nazar andaaz kiyya hey us ney
khud sey milnay k bahaanay niklay[/COLOR]

bey basarat hey yeh busti yaaro
aiina kis ko dikhaanaya niklay

in andheron mein jio gey kub tuk
koi to shamma jalanay niklay

nazia niazi Sunday, May 27, 2007 07:26 PM

zindagi

zindagi tu nain lahoo lay k dia kuch bhi nahi
mere wasaty kia tere ass kuch bhi nahi

Eve Monday, May 28, 2007 12:30 PM

zindagi

zindagi main to sabhi pyar kia kartay hain
main to mar kar b meri jan tujay chahun ga

Hazeleyes Monday, May 28, 2007 05:54 PM

its like this

Zindagi tu ney lahuu ley k diyya kuch b nahin
teray daman mein meray waastay kia kuch b nahin
meray hathon ki chahay to talashi ley lo
meray haathon mein lakeeron k siwaa kuch b nahin


[QUOTE=nazia niazi]zindagi

zindagi tu nain lahoo lay k dia kuch bhi nahi
mere wasaty kia tere ass kuch bhi nahi[/QUOTE]

nazia niazi Monday, May 28, 2007 09:20 PM

@hazel eyes
yes u r right!




Har Ik Shab Mere Tazah Azab Mai Guzri

tumharay baad tumharay hi khawab mai guzri

mai ik phool hon woh mujhay rakh k bhool gya

tamam umar ussi ki kitab mai guzri

PEERLESS Tuesday, May 29, 2007 10:34 AM

Hum Lafz Dhoond Dhoond Ke Thak Bhi Gaye "adam"
Wo Phool De Ke Baat Ka Izhaar Kar Gaye !!!!!!!!!!!!

Eve Tuesday, May 29, 2007 11:50 AM

Hum bhe zindagi say yunhe aik chaal chal gaye
Bazahir rahay zinda aur andar say mar gaye...

nazia niazi Wednesday, May 30, 2007 06:07 PM

@ peerless and Eve!
nice asharss...

Mar.

zinda rahain tu kia hay jo Mar jain hum tu kia
dunia say khamushi say guzar jain hum tu kia.....

Eve Wednesday, May 30, 2007 07:42 PM

Mar.

Jee k dekha Mar k dekha,Dil dewana kar k dekha
Per kahin Dil na laga,oh Raba oh Dil na lagay...

nazia niazi Wednesday, May 30, 2007 08:02 PM

Dil

Dil hi tu hay na sang o khisht dard say bhar na aay kio
roain gay hum hazaar baar,koi humain sataay kio

Eve Wednesday, May 30, 2007 08:18 PM

Dil

Dil ke batain hain pocho to bataian gay
Aisay Mousam phir kab aian gay...

nazia niazi Thursday, May 31, 2007 01:51 AM

Mousam

yoonhi mousam ki ada dekh k yad aaia hay
kis kadar jald badal jatay hain insan n jana n

PEERLESS Thursday, May 31, 2007 09:05 AM

Mujh se kehtay hain yeh ahbab bhula doon tumko
Jaisay ho kaam yeh meray liye asaan janaan!!!!!!
Naam tak bhool gaya hoon mein junoon mein tera
Ab to hoonton pe sada rehta hai janaan janaan!!

mtgondal Thursday, May 31, 2007 10:25 AM

[B]BHULA[/B]

Aap samajhti hein
Hum ne aap ko
Bhula rakha hai
Aap nahi janti
Dil me basa rakha hai
Dekh na le koi
Aap ko hamari ankho'n me
Is kadar palkon ko
Jhuka rakha hai

Hazeleyes Thursday, May 31, 2007 04:32 PM

KOI


[COLOR="DarkRed"]
[SIZE="4"]

koi Ankhon mein gulaabon ki Tarah Rehta hey
Mein rota hon to Ashkon sey Mehak aatii hey



[/SIZE]


[/COLOR]

Eve Friday, June 01, 2007 06:46 PM

Raiit bari ha Ankhon main tum Ashkon say dho laina
Koi sokha pair milay to iss say lipat kar roo laina,

Main nay draiya say sikhee ha parda dari
Uper uper say hastay rehna aur andhar say roo laina...

nazia niazi Friday, June 01, 2007 06:51 PM

[QUOTE=Hazeleyes]KOI


[COLOR="DarkRed"]
[SIZE="4"]

koi Ankhon mein gulaabon ki Tarah Rehta hey
Mein rota hon to Ashkon sey Mehak aatii hey



[/SIZE]


[/COLOR][/QUOTE]

nice one


[B]Ankh


Ankh main raha , dil main uthar kar nahi dekha
kashti kay musafir nay kabi samandar nahi dekha

jis din say chala hon meri manzil par nazar aiye
aankh nay kabhi meal ka patar nahi dekha [/B]


03:28 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.