CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Saturday, February 09, 2013 03:42 PM

[SIZE="3"][B][COLOR="Blue"]aibah rashk e jinah khuld zaar Allah Allah Allah
Jis tarah dekhiye hai bahar Allah Allah Allah

Yahan raat deen hai farishte utarte
Mazar E Nabi per salam arza karte
Merhaba Roza E Tajdar Allah Allah Allah

Tabassum may unke hai jannat ki kunji,
Ishare may unke shafa-at ki kunji
Shafa-o-maunis-o gamgushar Allah Allah Allah

Sana unki aayat e qur-an may aayi,
Unhi ke liye rab ne duniya banayi,
Hai wohi rehmat-e-kirdigar Allah Allah

Shafa-at ka shehra bandha unke sar per,
Kiya rab ne unko ataa houz-e-kausar,
Unka hai khuld per ikhtiyar Allah Allah Allah

Sabhi ambiya ko hai haajat unhi ki,
Hai bakshish ka saman inayat unhi ki,
Mere aaqa ki hai sab bahar Allah Allah Allah

Unhe gaib ka ilm rab ne diya hai,
Khazano ka MUKHTAR unko kiya hai,
Hai wohi QASIM E ROZGAR Allah Allah Allah

Woh mairaajwale, Wohi raajwale,
Woh minhaajwale, Wohi taajwale,
Jannato ke wohi sehr-e-yaar Allah Allah Allah

Sadaqat unhi ki, adalat unhi ki,
Sakhawat unhi ki, Shuja-at unhi ki
Hai wohi taajwar taajdar Allah Allah Allah

Wohi sarwar-e-kishwar-e-mursala hai,
Woh mamdooh-e-qur-an, Woh ima-n ki jaan hai,
Unke awsaf hai beshumar Allah Allah Allah

Woh ikhlaswale, woh ikhlaqwale,
Woh ejazwale, woh misaqwale ,
Shan-e-rabzi hashma bawaqar Allah Allah Allah

Fashat may yakta balagat may yakta
Nabuwat may yakta, risalat yakta,
Aap hai yaka-e-rozgar Allah Allah Allah

Padho NAZMI unki sana padhte jao,
Har ek saans salle ala padhte jao,
Wajda may jhoomkar bar-bar Allah Allah Allah[/COLOR][/B][/SIZE]

:ph34r:

Farrukh Aziz Saturday, February 09, 2013 03:43 PM

[B][SIZE="3"][COLOR="Purple"]Tere ishq di dolat mil jae,
Dunya di dolat ki karni

Tere dar di gadai lab jawe,
Shaahi di shokat ki karni?

Eho arzu mere seene wich,
marra jiwa shehr Madine wich

Bane qabr Madine wich meri
Etho di turbat ki karni

Mil jawe Madine diya galiyan,
Ja rob kashi leyi je mainu

Aisi khidmat wich barri azmat hai,
Shahaa di khidmat ki karni

Rabbe mere laba te Teri sana
Mera dil wi labe Tera madha saraa,

Parha Naata Teriya harr welle,
Kisi haur di midhat ki karni

Jidi naal Tu raazi, Rabb raazi,
Jidi naal khafa, Rabb di khafa

Teri chaahat andar sab kuch hai,
Kisse haur di chaahat ki karni

Eho aarzu ik riyaz diye, eho aarzu puuri ho jae,
Kara dhikr tera, karda har dam
kisse wele di fursat ki karni

Tere dar di gadai lab jawe
shahi di shaukat ki karnia[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Monday, February 11, 2013 01:13 PM

[SIZE="2"][B][COLOR="Green"]Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor ka
Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka

Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle
Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka

Nabiyouen mein jaise afzal-o-A'ala hai mustafa
Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka

Jab se qadam pare hai risalat ma'aab ke
Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka

Har zara zara apni jagga ma'ahataab hai
Kya jagma'ga raha hai Madina huzoor ka

Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq
Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka

Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par
Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka[/COLOR][/B][/SIZE]

Farrukh Aziz Monday, February 11, 2013 01:15 PM

[B][SIZE="3"][COLOR="Blue"]Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna

Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna

Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Meri sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna

Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna

Meri sarkar meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Tuesday, February 12, 2013 12:01 PM

[COLOR="Purple"][B][SIZE="3"]Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa'n
koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur'an wohi ha furqa'n
wohi hai rab jiska hai sama khaa'n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan
hai arsh bhi jispe naaza'n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai
wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa'n ghulam-o-aaqa
buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra
badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa
jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala't aisi sa'adat aisi
riya'zat aisi 'iba'da't aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa'n
koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa
Azal ki khushboo[/SIZE][/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Tuesday, February 12, 2013 02:42 PM

[B][SIZE="3"][COLOR="Green"]Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi
Nazron mayn mustafa ki gali thi abhi abhi

Seenay mayn ruk gya tha mayra dam iss liay
Teba say dil ddoar hili thi abhi abhi

Itna karam huaa kay muqaddar badal ga-ay
Un kay karam ki baat chali thi abhi abhi

Maaloom kar rahay thay farishton say jibraiil
Kiss ki zubaan pay naat e nabi thi abhi abhi

Shabbiir chashm e tar ki haqiiqat na poochhiay
Maah e arab say aankh mili thi abhi abhi.[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, February 13, 2013 02:16 PM

[B][SIZE="3"][COLOR="RoyalBlue"]Fazl-E-Rabbul ula aur kya chaahi-ye
Mil ga-ay mustafa aur kya chaahi-ye

Daaman e mustafa jiss kay haathon mayn he
Uss ko roz e jaza aur kya chaahi-ye

Gunbad e sabz khuabon mayn aanay laga
Haazri ka sila aur kya chaahi-ye

Bheek kay saath hii un kay darbaar say
Mil rahii he dua aur kya chaahi-ye

Yay jabeen aur riyaaz ul jannah ki zameen
Ab qaza kay siwa aur kya chaahi-ye

He sikandar sana khuan shaah e umam
Izzat o martaba aur kya chaahi-ye..[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, February 13, 2013 02:17 PM

[B][SIZE="3"][COLOR="Teal"]gham hogaye be shumar aaqa
banda tere nisar aqa

bigra jata hai khel mera
aqa aqa sanwar aqa

majboor hai ham to fikr kia hai
tum ko to hai iqtiyaar aaqa

mai dur hoo tum to ho mere paas
Sun lo meri pukaar aqa

mujh sa koi gham zada na hoga
tum sa koi gham gusar aqa

manjhdaar pe aake naw tuti
de haat ke hoo mai paar aqa

halka hai agar hamara palla
bhari hai tera viquar aqa

tuthi jaati hai pith meri
lillah ye boj utar aqa

jis ki marzi khuda na taali
mera hai wo namodar aqa

kiya bhul hai inke hote kehlaen
duniya ke ye tajidaar aqa

un ke adna gada pe mit jayen
aise aise haazar aqa

itni rahmat RAZA pe karlo
la yaqrubu hul bawar aqa.

[U]Alahazrat Imam Ahmed Raza Khan (R.A)[/COLOR][/SIZE][/B][/U]

Farrukh Aziz Thursday, February 14, 2013 10:51 AM

[B][SIZE="3"][COLOR="Blue"]Taajdaare haram ae shahanshaahe deen
aap pe hardam karooro duroodo salaam

Ho nigahe karam hum pe sultan-e-deen
Door reh kar na dam toot jae kahi
Kaash taiba mein ae meri maahi mubeen
Dafn hone ko mil jae do gaaz zameen

Aap pe hardam karooro duroodo salaam...

Koi husne amal paas mere nahi
Phas na jau Qayamat mein mola kahi
Ae shafiye umam laaj rakhna meri

Aap pe hardam karooro duroodo salaam...

Teri yaadon se mamuur sina rahe
Samne mere har dam madina rahe
Bas mein deewana ban jau sultaa-e-deen

Phir bulalo madine mein attar ko
Yeh tarapta hai tayba ke deedar ko
Aur is ke siwa aarzoo hi nahi
aap pe hardam karooron duroodo salaam

Taajdaare haram a shahanshahe deen
Aap pe hardam karooro duroodo salaam...[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Friday, February 15, 2013 04:42 PM

[B][SIZE="3"][COLOR="Purple"]Waadi Waadi Basti Basti Deewano ka Naara
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Saani na Koi Mere Sohne Nabi Lajpaal Da
Lab ke liyawan kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Shaana'an Odhiyan Uchiyan Te Rutba Kamaal Da
Lab ke Lia'awaan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Kiun Na Sohne Diyan Sifta'an karan Main
Dam Dam Odha Kiun na Zikar Karan Main
Rab Ne Banaya Odha Rutba Kalam Da
Lab ke Lia'awaan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Sarkar ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Aaqa ki Amad Marhaba, Data ki Amad Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Pyaare ki Amad Marhaba
Dildar ki Amad Marhaba Manthar ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Pyaare ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Jaanan ki Amad Marhaba Zeeshan ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhab

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Mera Te Emaan Ae Tussi Mere Kool Ho
Aap Hi Rabb De Akhri Rasool Ho
Rabb Ne banarya Nahi Koi Tere Naal Da
Main Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Aida Sohna Nabi Koi Duniya Te Aaya Nahi
Yaar Aiho Jaya Koi Rabb Ne Banaya Nahi
Deed Mere Nabi Di Ae Rabb Da Nazaara

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Kar Ke Ishara Sohna Suraj Non Morda
Aape Chan Torda Te Aape Chan Jorda
Bigri Banawe Mere mere Nabi Da Ishaara

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Dainde Ne Gawahi Zarre Zarre Kohe Toor De
Wekhde Naseeba'an Wale Jalwe Huzoor De
Chaudwin da Chan Te Arshaan Da Taara

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Kehndi Ae Haleema Mukh Wekh Lajpaal De
Kehndi Ae Haleema Mukh Wekh Lajpaal De
Main Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da
Main Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Noori Noori Chehra Te Zulfa'an Ne Kaliyan
Sohna Uchcha Seena Te Akhiyan Ne pyaariyan
Shaana'an Odhiyan Uchiyan Te Rutba Kamal Da
Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Sarkar ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Aaqa ki Amad Marhaba, Data ki Amad Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Pyaare ki Amad Marhaba
Dildar ki Amad Marhaba Manthar ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Pyaare ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Jaanan ki Amad Marhaba Zeeshan ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhab

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar[/COLOR][/SIZE][/B]


12:34 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.