CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Saturday, August 25, 2012 08:27 PM

[B][COLOR="Purple"]Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Humpe Chalte hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Humpar,Aane Waale Azab Tallte Hain.

Woh Hi Bharte Hain Jholiyan Sabki Woh Samajhte Hain Boliyan Sabki
Aao Bazar-e-Mustafa Ko ChaleinGham Khushi Main Wahin Pe Dhalte Hain.

Apni Auqat Sirf Itni Hai Kuch Nahi Baat Sirf Itni Hai
Kal Bhi Tukron Pe Unke Palte They, Ab Bhi Tukron pe Unke Palte Hain.

Aur Ab Humain Kiya Koi Giray Ga, Har Sahara Gale Lagaye Ga
Humne Khuda Ko Gira Diya Hai Wahan, Girne Wale Jahan Sambhalte Hain.

Ghar Wohi Mushkbaar Hote Hain, Khuld se Humkinaar Hote Hain
Zikr-e-Sarkar Ke Hawalon se Jin Gharon main Chirag Jalte Hain.

Zikr-e-Sarkar ke Ujalon ki, Benihayat Hain Rifa'atain Khalid
YeH Ujale Kabhi na Simtain Gay,Yeh woh Suraj nahi Jo Dhalte Hain.

Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Humpe Chalte hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Humpar,Aane Waale Azab Tallte Hain.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Saturday, August 25, 2012 08:32 PM

[COLOR="Blue"][SIZE="4"]Har waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho[/SIZE][/COLOR]


[B][COLOR="Blue"]Har waqt Tasaw'wur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas'sar woh ghari ho

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhari ho

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho


AQA ka gada hoon ai jahan'nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

Sadqa mere murshid ka karo door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

Attar hamara hai saray hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chit'thi mili ho[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Sunday, August 26, 2012 10:13 AM

[B][COLOR="Green"]Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah


Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon
Hoor-o-gulmaan ki poori hoii arzoo
Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam
Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh
Phir khuda ne khaha mere mahboob tum
Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah



Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya
Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya
Amena dekh kar muskuraney lageen
Hawwa Mariyam bhi khoshiyaan banaaney lageen
Amena bibi sub se kehney lageen
Duaa hogaii kabool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah



Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
Laaey tashreef doniyan main khair-ul-waraa
Aasi ummat ki kismal sawarney lagii
Barishain rehmatoon ki barasney lageen
Ay Haleema teri looriyoon keyliye
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
Allahi Allah Bolo Allahi Allah
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah



Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey
Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey
Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
Zikr Ahmed main mashgool Allahi Allah
Bibi Amena ke Phool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah



Shaadiyaaney khoshi ke bajaaey gaaey
Shaadi ke naghmey sab ko sonaaney gaaey
Har taraf shoor Sall-e-Allah hogaya
Aaj paida Habib-e-Khuda hogaya
Phir tu Jibreel ne bhi ye Ayhlaan kiyaa
Ye Khudaa ke hain Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Allahi Allah bolo Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah



Chehra Quraan ki tafseer hai
Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai
Mussaf-e-Mustafa ke oojaalon ke rung
Rehmatoon se sajii ek tasveer hai
Jaane kaunay ju hai Shafee-ul-waraa
Aysey piyaare hain rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Sunday, August 26, 2012 10:18 AM

[B][COLOR="Blue"]Mere dil mein he yaad-e-Muhammad
Mere ho’ton pe zikr-e-Madinah
Tajdaar-e-haram ke karam se
Aagaya zindagii ka qareena

Mein ghulaam-e-ghulaamaan-e-Ahmad
Mein sag-e-aastaan-e-Muhammad
Qaabil-e-fakhar he mawt mere
Qaabal-e-rashk he mera jeena

Har khataa par mere chashm poshi
Har talab pe ataaon ki baarash[COLOR="Purple"][/COLOR]
Muj gunahgaar pe kis qadar hein
Mehrbaan tajdaar-e-madinah

Dil shakasta he mera to kya gham
Is mein rehte hae Shah-e-doh aalam
Jab se mehmaan huwe hein wo dil mein
Dil mera ban gayaa hein Madinah

Mujh ko tuufaan ki mojuun ka kyaa gham
Wo guzar jaaye gaa rukh badal kar
Na khuda hein mere jab Muhammad
Kese duube gaa mera safeena.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Monday, August 27, 2012 10:49 AM

[B][COLOR="Purple"]Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke, Maqsad Bhi Zubaan Par Aaya Nahi
Bin Maange Diya Aur Itna Diya, Daaman Mein Hamaare Samaaya Nahi

Eemaan Mila Un Ke Sadqe, Quran Mila Un Ke Sadqe
Rehmaan Mila Un Ke Sadqe, Woh Kya Hai Jo Ham Ne Paaya Nahi

Aawaaz Karam Deta Hi Raha, Thak Haar Gaye Lene Waale
Mangto Ki Hameshaah Laaj Rakhi, Mehroom Kabhi Lautaaya Nahi

Un Ka To Shiyaar Karimi Hai, Maa-Il Ba Karam Hi Rehte Hai
Jab Yaad Kiya Aey Salle Ala, Woh Aahi Gaye Tadpaaya Nahi

Khurshid Qiyaamat Ki Tapish, Maana Ke Qiyaamat Hi Hogi
Ham Un Ke Hain Ghabraaein Kyon, Kya Ham Pe Nabi Ka Saayaah Nahi

Us Mohsane Azam Ke Yu(N) To, Khalid Pe Hazaron Ehsaan Hain
Qurbaan Magar Is Ehsaan Ke, Ehsaan Bhi Kiya To Jataaya Nahi[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Tuesday, August 28, 2012 11:33 AM

[B][COLOR="DarkRed"]Bigri banaao Makki Madani, Dar peh bulaao Makki Madani

Iss mey muqadas noorani, ankho ka tara Makki Madani

Deed teri hai eid meri, jalwa dikhaao Makki Madani

Ham hai gunaho mey dobay huway, jeysay hai nibhaao Makki Madani

Mehshr mai ho lab peh yahi,ham go bachaao Makki Madani

Dootay dilon ki daanis hai, naam thumhara Makki Madani

Sadaqah apnay nawasown ka, dukhray mitaao Makki Madani

- O one from Makkah and Madinah

I am in difficulty, help solve my problems
O one from Makkah and Madinah
Call me to your house
O one from Makkah and Madinah

Your name is noble and shining with light
The star of our eyes
O one from Makkah and Madinah
It is like Eid when I gaze upon you
Bless me with your vision
O one from Makkah and Madinah

We are all lost in sin
However we are, accept us
O one from Makkah and Madinah
Your name is a lustre for broken hearts
O one from Makkah and Madinah

On the Day of Judgement, it will be on our tongues
‘Come and save us’
O one from Makkah and Madinah
For the sake of your grandchildren, solve our problems
O one from Makkah and Madinah[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Tuesday, August 28, 2012 11:34 AM

[B][COLOR="Green"]Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain
Jo Sarware Alam Ka, Milad Manate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai
Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali
Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain
Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Me-khwaro Chaley Jana, Me-khwanae Sarwar Mein
Woh Jamey Talab Sab Ko; Bhar, Bhar Ke Pilate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Allah Ke Khazanon Ke, Malik Hain Nabi Sarwar
Yeh Sach Hai Niyazi, Hum Sarkar Ka Khate Hain

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, August 29, 2012 11:50 AM

[SIZE="3"][COLOR="Blue"][B]Bakht-E-Khufta Ne Mujhe Rauzay Pe Jaanay Na Diya
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Diya

Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Diya

Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadi Dil Mein
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Diya

Ab Kahan Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Diya

Mere A’mal Ka Badla To Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Diya

Nafs-E-Badkaar Ne Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chhupanay Na Diya

Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Parho Aey Noori
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Diya..[/B][/COLOR][/SIZE]

Farrukh Aziz Wednesday, August 29, 2012 11:57 AM

[B][SIZE="3"][COLOR="Purple"]Main lab kusha nahi hoon aur mehre ilteja hu
main mehfil e haram ke aadaab jaanta hu

Koi to aankh waala guzrega is taraf se
Taibah ke raaste me main muntazir khada hu

Ye roshni si kya hai, khushboo kahan se aayi
shayad main chalte chalte ROUZE tak aa gaya hu

Taibah ke sab bhikari pehchante hain mujhko
mujhko khabar nahi thi main is kadar bara hu

Doori o haazri mein ek baat mushtarak hai
kuch khwaab dekhta tha kuch khwaab dekhta hu

Iqbaal mujhko ab bhi mehsus ho raha hai
ke ROUZE ke saamne hu aur naat parh raha hu.
[/COLOR][/SIZE][/B]

Farrukh Aziz Thursday, August 30, 2012 12:59 PM

[COLOR="DarkSlateBlue"][SIZE="3"][B][COLOR="DarkRed"]Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Sud Shukar Mein Phir Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Rad Kaisay Bhala Hogi Ab Koi Dua Meri
Mein Rub Ko Pukar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Kuch Kehne Se Pehle Hee Puri Hoi Har Khuwahish
Jo Socha Wohi Paaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Kuch Lamhay Huzoori Ke Paaye Tou Ye Lagta Hai
Ik Umar Guzaar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Mujh Jaisa Tahee Damaan Kiya Nazar Ko Lejaata
Ik Naat Suna Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Yaad Aayei "Sabih" Apni Har Aik Khata Mujh Ko
Amaal Pe Sharmaaya Sarkaar Ke Qadmon Mein..[/COLOR][/B][/SIZE][/COLOR]


12:49 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.