Saturday, April 27, 2024
02:07 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Islam

Islam Invite to the Way of your Lord with wisdom and fair preaching, and argue with them in a way that is better. Truly, your Lord knows best who has gone astray from His Path, and He is the Best Aware of those who are guided." Holy Qur'an 16:125

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #21  
Old Saturday, September 05, 2009
Senior Member
 
Join Date: Jan 2009
Location: :-)
Posts: 265
Thanks: 252
Thanked 286 Times in 158 Posts
happy ending will become famous soon enoughhappy ending will become famous soon enough
Default Madine ka Safar hay ........... !

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda

Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda

Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna
Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida

Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Samat uthte hey Magar Duzdeda Duzdeda

Ghulaman E Mohammad Dour Sey Pehchany Jaty Hein
Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda

Madine Jaa Key Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida Sanjida

Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hey
Madina Hum Ney Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda

Wohi Iqbal jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji Par
Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda
__________________
"You were born an original. Don't die a copy."
John Mason
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to happy ending For This Useful Post:
momo rami (Wednesday, June 26, 2013)
  #22  
Old Sunday, September 06, 2009
ravaila's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: city of miTTi kaTTA
Posts: 877
Thanks: 1,549
Thanked 798 Times in 436 Posts
ravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of light
Default

Kalaam = Sheikh Sa'adi/Alahazrat

Balaghal Ula Baykamalayhi Kashafadduja Bayjamaalayhi
Hasunat Jame'eo Khisualayhi Sallu Alaih-e-Wa Aalayhi

Woh Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hai Ke Gumaan-e-Naks Jaha Nahi
Yehi Phool Khaar Se Door Hai Yehi Shama'a Hai Kay Dhuan Nahi

Mein Nisaar Teray Kalaam Per Milee Youn Tou Kiss Ko Zubaan Nahi
Woh Sukhan Hai Jiss Mein Sukhan Na Ho Wo Bayan Hai Jiss Ka Bayan Nahi

Ba Khuda Khuda Ka Yehi Hai Dar Nahi Aur Koi Maffar Maqqar
Jo Waha Say Ho Yaheen Aakay Ho Jo Yahan Nahi Tou Wahan Nahi

Teray Aagay Youn Hain Dabbay Lachay Fusaha Arab Ke Barray Barray
Koi Jaanay Moo Mein Zubaan Nahi Nahi Balkay Jism Mein Jaan Nahi

Sar-e-Arsh Per Hai Teri Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teri Nazar
Malakoot-o-Mulk Mein Koi Shay Nahi Woh Jou Tujh Pe A'ayan Nahi

Karoon Teray Naam Pe Jaan Fida Na Bus Aik Jaan Do Jahaan Fida
Do Jahaan Say Bhi Nahi Jee Bhara Karoon Kiya Karrorro Jahaan Nahi

Karoon Madh-e-Ahle DoAl Raza Parray Iss Balaa Mein Meri Balaa
Mein Gadaa Hoon Apnay Kareem Ka Mera Deen Para-e-Naa Nahi
__________________
Jo ALLAH karay c .. o sohna karay c
jab bhi kaam aaya mera PARVARIGAAR kaam aaya
Reply With Quote
  #23  
Old Monday, September 07, 2009
Red Flower's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Apr 2009
Location: In The Garden
Posts: 1,050
Thanks: 337
Thanked 957 Times in 527 Posts
Red Flower has a spectacular aura aboutRed Flower has a spectacular aura about
Default

Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Kohey Shahe Arab ka Bana Kar Mujhy Faqeer
Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya

Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey
Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy
Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Rashke Falaq hey Mery Muqadar Ki Rifatein
Mujh Ko Ghulam un Ka Khuda Ney Bana Diya

Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz
Deedar Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
__________________
Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall.
Reply With Quote
  #24  
Old Monday, September 07, 2009
ravaila's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: city of miTTi kaTTA
Posts: 877
Thanks: 1,549
Thanked 798 Times in 436 Posts
ravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of light
Default

Chamak Tujh Say Paatay Hai(n) Sub Paanay Waalay
Meyra Dil Bhee Chamkaday Chamkanay Waalay

Barasta Nahi(n) Deykh Kar Abray Rehmat
Ba(dd)on Per Bhee Barsaaday Barsanay Waalay

Madeenay Kay (Kh)ittay (Kh)uda Tujh Ko Rakhay
(Gh)areebou(n) Faqeero(n) Kay T(eh)ranay Waalay

Tu Zinda Hae WAllah Tu Zinda Hae WAllah
Meyree (Ch)asm-e-A’alam Say (Ch)up Jaanay Waalay

Mey(n) Mujrim Hoo(n) Aaqa Mujhay Saath Leylo
Keh Rastay Mey(n) Hay(n) Jaa Bajaa Thaanay Waalay

Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Kay (Ch)alna
Array Sarr Ka Mauqa Hae O Jaanay Waalay

Ab Aa-ee Shafa’at Kee Saa’at Ab Aa-ee
Zara Chayn Lay Meyray Ghabranay Waalay

Raza Nafs Du(sh)mun Hae Dum May(n) Naa Aana
Kaha(n) Tum Nay Deykhay Hay(n) (Ch)undra-Nay Waalay
__________________
Jo ALLAH karay c .. o sohna karay c
jab bhi kaam aaya mera PARVARIGAAR kaam aaya
Reply With Quote
  #25  
Old Tuesday, September 08, 2009
Red Flower's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Apr 2009
Location: In The Garden
Posts: 1,050
Thanks: 337
Thanked 957 Times in 527 Posts
Red Flower has a spectacular aura aboutRed Flower has a spectacular aura about
Default

Sunehri Jalion Ko Ab Nazar Aney Ka Muqa Do
Faqeeroon Ko Shahey Badeha Udher Aney Ka Muqa Do

Dilon Mey karwatein Leti Hoi Bekal Tamanaey
Ye Kehti Hein Key Qadmoon Mey Bikhar Jany Ka Muqa Do

Tumhara Zikar Hum Athoon Pehar Karty Hein Roo Roo Kar
Hamari Akibat Ko Bhi Sanwar Jany Ka Muqa Do

Takaza Akhri Hey Aap Sey Ya Shafa E Mehshar
Hamy Bhi Ab Madine Mey Utar Jany Ka Muqa Do

Lipat Jay Ga Ishrat Bhi Dare Athar Key Jalwoon Sey
Usey Bhi aap Key Jalwoon Mey Ghir Jany Ka Muqa Do

Faqeeroon Ko Shahe baduha Udher Aney ka Muqa Do
Sunehri Jalion Ko Ab Nazar Aney Ka Muqa Do


Hamy Bhi ab Madine May Utar Jany Ka Muqa Do
__________________
Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Red Flower For This Useful Post:
ravaila (Tuesday, September 08, 2009)
  #26  
Old Tuesday, September 08, 2009
ravaila's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: city of miTTi kaTTA
Posts: 877
Thanks: 1,549
Thanked 798 Times in 436 Posts
ravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of light
Default

Kalaam = Syed Nazmi Mian

Ka'abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat
Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat

Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa
Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A'la Sadaa Faqat

Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein
Duffan Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat

Duniya Kee Saari Ne'ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon
Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na'lein-e-Mustafa Faqat

Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein
Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat

Naza'a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho
Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat

Na'at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat
Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat
__________________
Jo ALLAH karay c .. o sohna karay c
jab bhi kaam aaya mera PARVARIGAAR kaam aaya
Reply With Quote
  #27  
Old Thursday, September 10, 2009
Red Flower's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Apr 2009
Location: In The Garden
Posts: 1,050
Thanks: 337
Thanked 957 Times in 527 Posts
Red Flower has a spectacular aura aboutRed Flower has a spectacular aura about
Default

Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
Ber Aayen Mere Dil ke Bhi Armaan Ya Rasool

Sadqa Darood-e-Pak ka Niklon Jo Qabr Se
Jaari Meri Zuban Se Ho Quran Ya Rasool

Dunya se Aur kuch Nahi Matloob Hai Mujhe
Le Jaaon Apne Saath Main Emaan Ya Rasool

Iss Shauq Main Ke Apke Daman se Ja Mile
Main Chak kar Raha hon Gir-e-Ban Ya Rasool

Kafi hai Yeh Waseela Shafa'at ke Waste
Aasi tu Hon Magar hon Pashemaan Ya Rasool

Mushkil Kusha Hain Ap aur Main Apki Gulam
Ab Meri Mushkilen bhi Assan hon Ya Rasool
__________________
Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall.
Reply With Quote
  #28  
Old Thursday, September 10, 2009
Red Flower's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Apr 2009
Location: In The Garden
Posts: 1,050
Thanks: 337
Thanked 957 Times in 527 Posts
Red Flower has a spectacular aura aboutRed Flower has a spectacular aura about
Default

MEH MADINE CHALA

Meh Madine chala, me Madine chala
Phir karam hogaya, meh Madine chala

Saaqiya meh pilaa, me Madine chala
Masto be khud bana, me Madine chala

Kaif-sa chaa gaya, me Madine chala
Jhoomta jhoomta, me Madine chala

Kya bata-o mili, dil ko kayse kushi
Jub ye mujhda suna, me Madine chala

Muskuraane lagi, mere dil ki gali
Guncha guncha kila, me Madine chala

Phir ijaazat mili, jub khabar ye suni
Dil mera jhoomta, me Madine chala

Ashke tumpte nahi, pau jhamte nahi
Lar karata huwa, me Madine chala

Laaj rakhna Khuda, me Madine chala
Ay shajar ay hajar, tum bi shamso kamar

Dheko dheko zara, me Madine chala
Dekh thare mujhe, ye nazare mujhe

Tum bi dheko zara, me Madine chala
Rooh he muztar teher, tu nikalna udhar

Itni jaldi he kya, me Madine chala
Haath uthe rahe, mujh ko dethe rahe

Woh talab se siwaa, me Madine chala
Mere Akaa ka ghar, wo gapeshe nazar

Chaahiye aur kya, me Madine chala
Mere Siddique Umar, wo Salaam aap par

Aur rehmat saada, me Madine chala
Woh Uhud ki zamin, jis ke andar makin

Mere Hamza piyaa, me Madine chala
Ghumbade subse par, jub paregi nazar

Kya suroor aayega, me Madine chala
Unke Minaar par, jub pare gi nazar

Kya suroor aayega, me Madine chala
Mimbare noor par, jub uthe gi nazar

Kya suroor aayega, me Madine chala
Mustapha ke Huzoor, apne sare qusoor

Baksh wale chala, me Madine chala
Kya karega idhar, pand rakhte safar

Chal Ubaid-e Raza, me Madine chala
Kya he tune kaha, ai Ubaid-e Raza

Sonch to kuch zara, me Madine chala
Lutf to jub mile, mere Murshid kahi

Chal Ubaid-e Raza, me Madine chala
Rehmat-e jhoom kar, barse ataar par
Behre Ahmad Raza, meh Madine chala
__________________
Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall.
Reply With Quote
  #29  
Old Saturday, September 12, 2009
Senior Member
 
Join Date: Jan 2009
Location: :-)
Posts: 265
Thanks: 252
Thanked 286 Times in 158 Posts
happy ending will become famous soon enoughhappy ending will become famous soon enough
Default

http://www.youtube.com/v/G-oW8BGjh0g


Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door say
Raaste mein agar paon thak jayengay.

Hum Madinay mein tanha nikal jayengey,
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey.

Hum wahan jakey wapas nahin ayengay.
Dhoondtay dhoondte loog thak jayengey.

Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega,
Bandagi ka kareena badal jaye ga.

Sar jhukane ki fursat milay gi kisey.
Khud hi palkon say sajdey tapak jayengey.

Naam e Aaka jahan bhi liya jayega,
Zikr unka jahan bhi kiya jayega.

Noor hi noor seeno mein bhar jayega,
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey.

Aie Madinay kay zahir KHuda ke liye,
Dastaan e safar mujko yoon mat suna.

Baat bhar jayegi dil tarap jayega,
Meray mohtat ansoo chalak jayegay.

Unki chashme karam ko hai iski khabar,
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar.

Humko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aaqa kay darbar tak jayegeney.

Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey .
__________________
"You were born an original. Don't die a copy."
John Mason
Reply With Quote
  #30  
Old Saturday, September 12, 2009
Red Flower's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Apr 2009
Location: In The Garden
Posts: 1,050
Thanks: 337
Thanked 957 Times in 527 Posts
Red Flower has a spectacular aura aboutRed Flower has a spectacular aura about
Default

Main muddat se is aas par jirahi hoon
kabhi to sunega duaen wo meri
kabhi to sunega sadaen wo meri

Jo logon say sun sun kay nakhse hain khenche
haqiqat may honge manazir wo kaise
kabhi jake dekhon khud aankhon se apni
main muddat se is aas par jirahi hon

Khuda ne utara jishe asman se
kiya nasb tha jisko Paighambaron ne
ushi Hajre Aswad ka bosa me lelon
main muddat se is aas par jirahi hon

Mere samne ho wo Qabe ki cokhat
wo rukne yahmani wo mizabe rehmat
me sehne haram me karon jake sajde
main muddat se is aas par jirahi hon

Wo shehre haram wo Madine ki galiyan
wo arafat ka din minah ki wo ratain
Muyasar kabhi hon hame sare jalwe
main muddat se is aas par jirahi hon

Mere samne ho wo Gunbade khizran
wo roze ki jaali wo jannath ka gosha
kabhi chuom lon jake khake madina
main muddat se is aas par jirahi hon

Nehi hay bharosa koi zindegi ka
ushi ko khabar hay wohi janta hay
bulalega hamko wo marne se pehle
bulalijiye mujhko marne se pehle

main muddat se is aas par jirahi hon
khuda kab bulalain mujhe apne ghar me
main muddat se is aas par jirahi hoon...
__________________
Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall.
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
NAB ::: Psychological Test ::: HELP NEEDED MYG2010 National Accountability Bureau (NAB) 1216 Friday, September 16, 2016 06:45 PM
NAB Result Announced: Please Share Your Marks sarfaraz shami National Accountability Bureau (NAB) 240 Saturday, August 15, 2015 12:07 PM
The Holy Quran Argus Islam 9 Saturday, October 13, 2007 06:10 AM
How the Sects Can be Dissolved Sureshlasi Islam 0 Wednesday, September 12, 2007 03:27 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.