|
Share Thread: Facebook Twitter Google+ |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
||||
|
||||
badal gaya to kiya huwa
badal gaya to kiya huwa..ke dil ka woh bura nahin
usay yoon bad'dua na do...woh shakhs bay wafa nahin hikayatain meri sabhi... na sun sako gay humnasheen yeh dastan hai dard ki...yeh dil ka maajra nahin ajab hii zaabtay rahay..nazar ke is dayaar main jo aik bar gir gaya...toh phir say woh utha nahin na kholna yahan ke dar..ke dil nagar ajeeb hai jo zakhm ban geya yahan...wuh umr bhar bharah nahin kiyon manzilain alag huween? juda huwe kiyoon rastay? ya main ulajh gaii kahin...ya wuh samajh saka nahin..! baghair jiske aik pal bhi kaatna muhaal tha umar huwi ke uska ab..koi ata pata nahin... hathailiyoon main aaj tak usi ka naam darj hai main kaisay maan loon bhala..? mera woh ab raha nahin nahin kaho isay ana...yeh aajzi ka zau'm hai main toot kar bikhar gaii...magar yeh sar jhuka nahin khabar kiya ho sakay tujhe...ke main hoon kis azaab main! tu bay rukhi ki aag main..meri tarha jala nahin mehaz yeh farq reh gaya .. muhabbatoon ki dorr main main uski ho gaii magar.....woh mera ho saka nahin |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Bewafaai Ki Mehek Se Rooh Na-paak Kar Gaya | The Star | Urdu Poetry | 1 | Wednesday, February 11, 2009 06:26 PM |
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya | Sureshlasi | Urdu Poetry | 0 | Thursday, May 31, 2007 08:00 PM |
vo badal gaya achaanak meri zindagi badal kar | WishfulThinker | Urdu Poetry | 6 | Sunday, December 25, 2005 09:31 PM |