Saturday, April 27, 2024
09:55 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #11  
Old Thursday, October 04, 2007
Zirwaan Khan's Avatar
Super Moderator
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: CE 2010Moderator: Ribbon awarded to moderators of the forum - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2007
Location: ISB/QTA
Posts: 1,097
Thanks: 367
Thanked 724 Times in 314 Posts
Zirwaan Khan is a glorious beacon of lightZirwaan Khan is a glorious beacon of lightZirwaan Khan is a glorious beacon of lightZirwaan Khan is a glorious beacon of lightZirwaan Khan is a glorious beacon of light
Default Maa

Bachchon pe chali goli
Maan dekh ke yeh boli
Yeh dil ke mere tukde
Yun royen mere hote
Mein dur khadi dekhoon
Yeh mujh se nahin hoga



Mein Dur khadi dekhun
Aur ahl-e sitam khelen
Khun se mere bachchon ke
Din-raat yahan holi
Bachchon pe chali goli
Maan dekh ke yeh boli
Yeh dil ke mere tukde
Yun royen mere hote
Mein dur khadi dekhun
Yeh mujh se nahin hoga



Meidan mein nikal aayi
Ek barq si lehrai
Har dast-e sitam kanpa
Bandooq bhi tharrai
Har simt sada gunji
Mein aati hun, mein aayee
Mein aati hun, mein aayee

Har zulm hua batil
Aur seham gaye qatil
Jab us ne zaban kholi
Bachchon pe chali goli
Us ne kaha khun-khwaro!
Daulat ke parastaro
Dharti hai yeh ham sab ki
Is dharti ko naa-dano!
Angrezon ke darbano!
Sahab ki ata-kardah
Jagir na tum jano
Is zulm se baaz aao
Bairak mein chale jao
Kyon chand luteron ki
Phirte ho liye toli
Bachchon pe chali goli
__________________
Devil-may-care
Reply With Quote
  #12  
Old Thursday, October 04, 2007
Member
 
Join Date: Jan 2007
Location: peshawar
Posts: 94
Thanks: 1
Thanked 16 Times in 14 Posts
s khan mohmand is on a distinguished road
Default

MAA


Thoo ithne dhoor q hay Maa
Batana raz kia hay Maa

May teraa hoo bulla lay thoo
Gallay phir say laga lay thoo

Teri anchal ke chaion ko
Mari neend tarastee hain

Teray yadion ke angan main
Mari ankhian barasti hain

Bullatha ho thujay aa ja
Akeela pan maray ghar ghar ka

Dewrain sab gerra dha thoo
Jhalak enhian dheka dhay thoo

Akeela dhooe raha ho main
Pareshan ho raha ho main

Bass ab bulla lay thoo
gallay mujh ko laga lay thoo

Thoo ethni dhorr q hain MAAAAAAAA
Batana raz kia hain MAAAAAAAAAAA






note: i dedicate ths to my late mother who left us in dark shadow of ths materialistic world on the mercy of ALMIGHT ALLAH .

regards

shahid khan mohmand
__________________
Mother – that was the bank where we deposited all our hurts and worries.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to s khan mohmand For This Useful Post:
Zirwaan Khan (Thursday, October 04, 2007)
  #13  
Old Thursday, November 08, 2007
sayed khan's Avatar
Member
 
Join Date: Aug 2007
Location: in HEAVEN
Posts: 49
Thanks: 0
Thanked 32 Times in 18 Posts
sayed khan is on a distinguished road
Default Maaa

i want everyone at this forum to share their feelings about MAA

i know that no one can ever explain his/her heartly feelings for MAA bt just a little bit of that.and w'll do it by dedicating a beautifull poem ,everyone know that jinty b khubssorrt ilfaz MAA ko dedicate kareen gay wo bht hee kum hoon gay

SO LETSSS START IT.....

NEEND APNI BHULA KAR SULAYA HUM KO
AANSOO APNY GIRA KAR HANSAYA HUM KO
DARD KABI NA DEENA USS KHUDA KI NAIMAT KO
ZAMANA KEHTA HAI "MAA" JISKO
Reply With Quote
  #14  
Old Thursday, November 08, 2007
sayed khan's Avatar
Member
 
Join Date: Aug 2007
Location: in HEAVEN
Posts: 49
Thanks: 0
Thanked 32 Times in 18 Posts
sayed khan is on a distinguished road
Default

Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Kai Soo Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hai Maa

Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Budhe Nazar Aati Hai Maa

Rooh Kai Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa

Kab Zarurat Ho Merai Bachay Ku Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa

Hudiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Kai Chain Ku
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa

Janai Kitne Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pai Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa

Jab Khilonai Ku Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Kai Saaz Par Bachay Ku Bhailati Hai Maa

Fiker Kai Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakreyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa

Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ku Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa

Samnai Bachoon Kai Kush Rahti Hai Her Ik Haal Main
Raat Ku Chup Chup Kai Lakin Ashk Bersati Hai Maa

Phailay Bachoon Ku Kheelati Hai Sukoon-o-Chain Sai
Baad Mai Jo Kuch Bacha Oh Shouk Sai Khati Hai Maa

Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Sai
Apnai Bachoon Kai Leye Daman Ku Phailati Hai Maa

Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pai Char Jati Hai Maa

Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharz
Be-Gharz, Be-Loos, Har Khidmat Ku Kar Jati Hai Maa

Bazuwoon Mai Kheench Kai Aajaye Gi Jaisai Kayenat
Apnai Bachay Kai Leye Bahoon Ku Phailati Hai Maa

Zindagani Kai Safar Mai Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

Pyar Khaitai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa

Safa-e-Hasti Pai Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Muktab-e-Islam Khailati Hai Maa

Us Nai Duniyan Ku Deye Masoom Rahber Ise Leye
Azmatoon Mai Sani-e-Quran Khailati Hai Maa

Ghar Sai Jab Pardesh Ja Ta Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur'an Lai Kar Dar Pai Aajati Hai Maa

Dai Kai Bachay Ku Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa

Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai Baita "Ulwida"
Samnai Jab Tak Rahe Haatoon Ku Lehrati Hai Maa

Jab Perayshani Mai Ghar Jatai Hain Hum Pardesh Main
Aansuwoon Ku Poonch Nai Khawaboon Main Aajati Hai Maa

Dair Ho Jati Hai Ghar Aanai Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machle Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Martai Dam Tak Aasaka Bacha Na Ghar Pardesh Sai
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pai Rakh Jati Hai Maa

Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

Door Ho Jati Hai Sari Omer Ki Us Dum Thakan
Bayha Kar Kai Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa
Reply With Quote
  #15  
Old Saturday, February 02, 2008
zarwa786's Avatar
Junior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: Canada
Posts: 14
Thanks: 12
Thanked 7 Times in 6 Posts
zarwa786 is on a distinguished road
Default maa

Mere hansane se jo hasti hai, mere rone se roti hai
Mere khushhaali ke sapane jo har roos dekhti hai,
Uthaati hai hazaaron gham,
Jiske pairon me janat hai
Jo mere dard ko samjhe bas ek maa hi hoti hai !
__________________
☆ ---ZARWA---☆
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to zarwa786 For This Useful Post:
qayym (Saturday, February 02, 2008)
  #16  
Old Saturday, February 02, 2008
Shumail Aijaz's Avatar
Junior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: Larkana
Posts: 26
Thanks: 2
Thanked 18 Times in 11 Posts
Shumail Aijaz is on a distinguished road
Default

jinho ne neend apni bhula ke sulaya hum ko,
jinho ne aansoo apne gira ke hasaya hum ko,
dard kabhi na un hastiyoon ko,
zamana kehta hai maa baap jin ko.
Reply With Quote
  #17  
Old Tuesday, February 26, 2008
paindu's Avatar
Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: wants be in every`s prayers
Posts: 26
Thanks: 48
Thanked 9 Times in 6 Posts
paindu is on a distinguished road
Post Maan k Naam

Its my own shairy.

is dasht-e-ajeeb main rehna jis ne sikhaya wo meri maan hai
khuda ne apna aks hai jis main dikhaya wo meri maan hai

main nadan tha kai baar rah se phatka
zamane ki thokron se jis ne bachaya wo meri maan hai

mohabat bhari nigahain,sheeren zuban,wo duaaya lahja
jo mere lie hai muqaddar ka sitara wo meri maan hai

jis ki qadmon ki matti main jannat ki khushboo
main zinagi bhar chahun jis ka saya wo meri maan hai

khuda kisi se na cheene sare jahan ki ronaq
meri kismat ho jis ki dua ae khudaya wo meri maan hai.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to paindu For This Useful Post:
Bhalla Changa (Tuesday, February 26, 2008)
  #18  
Old Friday, August 21, 2009
fatima javed's Avatar
Junior Member
 
Join Date: Aug 2009
Posts: 18
Thanks: 9
Thanked 14 Times in 12 Posts
fatima javed is on a distinguished road
Default Maa

Gardeshen loot hain meri balaen ly kar
ghar sy jab main nikalta hoon MAA ki Duaen ly kar
labon py kabhi us k bd'dua nahi hoti
ik MAA hi ha jo mujh sy khafa nahi hoti
[/FONT][/FONT][/SIZE]
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to fatima javed For This Useful Post:
ehsan ullah shahzad (Saturday, September 05, 2009), SAJID A.BALOCH (Saturday, August 22, 2009)
  #19  
Old Saturday, August 22, 2009
fatima javed's Avatar
Junior Member
 
Join Date: Aug 2009
Posts: 18
Thanks: 9
Thanked 14 Times in 12 Posts
fatima javed is on a distinguished road
Default

bohat yaad mujh ko aati ha maa
main pehron hoon roti
bohat hoon main kurhti
main dhoondti hoon us ko
mujhe bulati nahi maa
koi yaro dhoond ky la do mujhe maa
manno matti tally ja soi ha maa
main bulati hoon iss ko
nahi atti meri maa
mery dil main hain baaten
mery dil main gubar
janny kahan ja soi ha maa
main kis ko sunnaon
main kis ko pukaron
mujhe dhoond ky laa do bas meri maa
meri ankhon main har waqt sumanrad ha rehta
magar sab ny sirf mujh ko ha hansty huy dekha
kisi ny agar meri maa ko ha dekha
Khudaya bulao
ussy tum pukaro
main daman pakar lon gi, jany nahi doon gi
main us ko ghaseeton gi, kahen chuppa lon gi
mera sab kuch lay lo
bas meri maa la do
main pehron roti hoon
bohat hoon main kurhti
magar meri maa ab mujhe nahi sunttiiii....
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to fatima javed For This Useful Post:
SAJID A.BALOCH (Saturday, August 22, 2009)
  #20  
Old Saturday, August 22, 2009
fatima javed's Avatar
Junior Member
 
Join Date: Aug 2009
Posts: 18
Thanks: 9
Thanked 14 Times in 12 Posts
fatima javed is on a distinguished road
Default

Koi aur nahi sirf MAA hai woh

Tappti dhuup mai ban k saya...
har dukh se mujhay bachaya...

khud ghamuun k pahar uthaiy...
sare sukh mujh ko pohanchaiy...
insaniyat ki pechaan hai woh...
koi aur nahi sirf MAA hai woh...
achi buri har baat bataie...
haq ki sachi raah dikhaie...
kia bhala hai aur kia bura...
uss ne humain pechan karaie...
har mushkil ki dhallaan hai woh...
koi aur nahi sirf MAA hai woh...
woh jiss ki dua har dam saath rahay...
sham dhalay tak jo meri rah takay...
dil mai jo hazar armaan sajati...
apni olad ki khushiyan hai chati...
SHANN Qudrat ka inaam hai woh...
koi aur nahi sirf MAA hai woh...
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to fatima javed For This Useful Post:
SAJID A.BALOCH (Saturday, August 22, 2009)
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
People beware ! Hurriah Islam 17 Monday, January 13, 2020 09:40 AM
Eight Lies Of Mother qayym Humorous, Inspirational and General Stuff 1 Saturday, March 22, 2008 01:39 AM
I Owe My Mother Sajid Manzoor Ahmed Humorous, Inspirational and General Stuff 0 Sunday, July 02, 2006 01:48 AM
HAMLET (SHAKESPEARE) Complete Ahmad Bilal English Literature 0 Wednesday, April 26, 2006 11:34 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.