Aiteraf e Muhabbat
Lo aao k raaz_e pinhaa.n ko ruswaa_e hikayat karta hoon
damaan_e zabaan_e khamoshi ko labraiz shikayat karta hoon
ghabra k hojoom_ ghum sey aaj afshaa.n afshaa_e haqeeqat karta hoon
izhaar ki jurrat karta hoon
Main Tum Sey Mohabbat Karta Hoon
fik'r abad duniya main meri, ik masjood afkaar ho tum!
shairistaan_e hasti main meri, ik mabood asha'aar ho tum!
aur merey perastish zaar_e dill main ik but_e sheree.n kaar ho tum!
main jis ki ibadat karta hoon
main tum sey mohabbat karta hoon
mud'dat sey mohabbat karta tha, so jaan sey tum per marta tha
raatoo.n ko main rota rehta tha, raatoo.n ko main aahain bharta hoon
haan raatoo.n ko aahain bharta tha, per tum sey kehtey darta tha
aaj is ki jasarat karta hoon
main tum sey mohabbat karta hoon
tum chand sey barh kar roshan ho, zehra ki qasam, taroo.n ki qasam
tum phool sey barh kar rangee.n ho, fitrat k chaman zaroo.n ki qasam
tum sab sey hasee.n ho duniya ki, duniya k nazaroo.n ki qasam
duniya sey bhi nafrat karta hoon
main tum sey mohabbat marta hoon
is mak'r ki duniya main k jaha.n mayaar_e sadaqat kuch bhi nahi
do ashkoo.n sey barh kar sachcha aur izhaar_e mohabbat kuch bhi nahi
rota hoon tumhaari yaad main go rone ki shahadat kuch bhi nahi
paish itni shahadat karta hoon
main tum sey mohabbat karta hoon
jab raat ki bekas tanhaai main, aap ko tanha paata hoon!
main barabt_e dill sey soz_o gudaaz ishq k naghme gata hoon
itna tu bata do tum bhi mujhe, kiya main bhi kabhi yaad aata hoon!
batlaao k minnat karta hoon
Main Tum Sey Mohabbat Karta Hoon
gar huk'm do roshan taaroo.n ko main la k jhuka doon qadmoo.n per
jannat k shagufta pholoo.n ki jannat si basa doon qadmoo.n per
sajda gah_e mehr_o mah ko bhi sajdey main gira doon qadmoo.n per
na-cheez hoon himmat karta hoon
Main Tum Sey Mohabbat Karta Hoon
__________________
Dreams come true. Without that possibility, nature would not incite us to have them.
|