CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Share your favourite shair (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/1571-share-your-favourite-shair.html)

nazia niazi Sunday, December 24, 2006 02:48 AM

[B]Minzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha[/B]
[B]Ek mein akela tha, Khafila bhi uska tha[/B]
[B]Sath-sath chalne ki soch bhi uski thi[/B]
[B]Phir raasta badlne ka faisla bhi uska tha[/B]
[B]Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai[/B]
[B]Log to uske thy....[/B]
[B]Kya KHUDA bhi uska tha [/B]

[B]-----------------------------------[/B]

[B]Neeyat-e-Shouq bhar na jaye khain[/B]
[B]tu bhi dil se utar nah jaye kahin[/B]

[B]nah mila kar udas logon se[/B]
[B]husn tera bikhar na jaye khain[/B]

[B]aao kuch dair ro hi lain nasir[/B]
[B]phir yeah dariya utar nah jaye khain [/B]

atifch Sunday, December 24, 2006 02:54 AM

bohat khoob g.

usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e haal tha
woh jo us ki subh e urooj thi wohi mera waqt e zawal tha
kaha jao gay mujh ko chor k main yeh pooch pooch thak gaya
woh jawab mujh ko na dey saka woh tou khud sarapa sawal tha
woh mila tou sadion k baad bhi meray lab pay koi gila na tha
usay meri chup nay rula dia jisay guftugooo main kamal tha

atifch Sunday, December 24, 2006 03:01 AM

awaz k hamrah sarapa bhi tou daikhoon
aye jan e sukhan main tera chehra bhi tou dekhoon
dastak tou kuch aisi hay kay dil choonay lagi hay
is habs main barish ka jhonka bhi tou dekhoon
sehra ki tarha rehtay huye thak gain aankhain
dukh kehta hay main ab koi darya bhi tou dekhoon
yeh kia k jab chahay woh mujhay cheen lay mujh say
apnay liye woh shakhs tarapta bhi tou dekhoon



@ Nazia: nai masha allah aap ka zoq bohat aala hay ..v nice

I M Possible Sunday, December 24, 2006 08:14 AM

[B]Ya rab na wo samjhay hain na samjhain gay meri baat
de un ko dil aur jo na de mujh ko zuban aur[/B]

Wounded Healer Sunday, December 24, 2006 06:49 PM

hmmm............arz kiya hai

mujh tak kab us ki bazm mein aata tha daur-e-jaam
saqi ne kuch mila na iya ho sharab mein........

PlayinG Sunday, December 24, 2006 11:39 PM

ik dil walon ki basti thee,jahan chand aor suraj rehtay thay..
kuch suraj maan ka pagal tha,kuch chand bi shokh chanchal tha..
basti basti pirtay thay, har pal hanstay rehtay thay
pir eik dono rooth gye,or saray sapnay toot gey..
abb chand bi uss wakt ata hay,suraj jab soo jata hay..
badil shub se kehtain hain,suraj ulja sa rehta hay..
chand ke sath sitray hain par.. suraj tanha rehta hay...

riz2006 Tuesday, December 26, 2006 01:25 AM

piyar ki quad may rah kar geena kasa hai
gham kay aansu chup chup keh pina kasa hai
phalay phal wo toot kay milna kasa tha
zakmay judai aab uoon shana kasa hai.

At Ur Own Risk Tuesday, December 26, 2006 10:47 PM

favorite
 
[COLOR="DarkRed"][/COLOR][FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="DarkRed"][/COLOR][/SIZE][/FONT]
dil hi to he na k sung-o-khisht dard se bhar na aaye kyon
baithe hein rahguzar pe hum koi hamein uthaey kyon
qaid-e-hayat o band-e-gham asal mein dono ek hein
maut se pehle aadmi gham se nijat paaey kyon



salam to every body in the forum

atifch Tuesday, December 26, 2006 11:07 PM

wah
ghalib kay baghair konsay karobaar band hain
roye zaar zaar kia kejiye haye haye kiun...

PlayinG Thursday, December 28, 2006 02:41 AM

Dil ki choot,tu nai khabi,chain se rehnay na diya
jab chali sard hava ,main nai tujay yaad kiya

iss ka rona nahin ,ku tum nai kiya dil barbad
iss ka gham hai, k bhut dair mai barbad kiya......


12:54 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.