CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Share your favourite shair (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/1571-share-your-favourite-shair.html)

I M Possible Thursday, December 28, 2006 03:09 PM

Milla na kader daan iss zamaaney main
Sheesha toot gaya dikhaney dikhaney main

-----------------------------------------

Kabhi Na Socha Tha Hum Ne Qateel uss K Liye
Keray Ga Hum Pe Sitam Woh Bhi Her Kissi Ki Tarah

Muhammad Adnan Thursday, December 28, 2006 06:02 PM

Dear...... its last i will share two of shairs of this nice ghazal

[B]chaha tha ham nay jisay zindagi ki tara
wo ashna b milla ham ko ajnabi ki tara

Barha k pias ous nay mera haath chor dia
wo kar raha tha murawat b dil lagi ki tara[/B]

I M Possible Thursday, December 28, 2006 07:00 PM

roz roz mar mar k mujha jeenay ko kehtay kion ho
milnay aatay ho to phir laut k jaatay kion ho

ainaain Thursday, December 28, 2006 07:41 PM

Agar taalash karoo to mil hi jaye ga
magar kon tumhari tarha mujh ko chahay ga
tumhay zaroor koi chahtoo say daykhay ga
magar wo ankhay hamari si kha say laye ga
tumharay sath ya mosam gulabo jaysa
tumharay bad ya mosam bohat rulay ga
(kaisa laga bateya ga zaroor plz )

At Ur Own Risk Thursday, December 28, 2006 09:47 PM

Farz karo hum ahl-e-wafa hon farz karo deewane hon........
farz karo ye dono baatein jhooti hon afsaane hon..............

Farz karo ye gee ki bipta gee se jor sunai ho...................
Farz karo abi aur ho adhi, adhi hum ne batai ho...............

Farz karo ye khel ho jhoota, jhooti pareet humari ho.........
Farz karo is pareet k rog mein jaan b hum pe bhaari ho.....

Farz karo tumhein khush karne k dhoonde hum ne bahane hon
Farz karo ye nain tumhare such much k maikhaane hon........

Farz karo ye jog majog ka dhong hi hum ne rachaya ho........
Farz karo bas yehi ho haqeeqat baqi sub kuch maaya ho......



EK AUR SHAIR

Insha jee utho ab kooch karo is shehr mein jee ka lagana kia
Wahshi ko sakoon se kia matlab, jogi ka nagar mein thikana kia

-------------------------------------

Do lafz bi na likhe tere naam safar mein
Mein bhool gea ek yehi kaam safar mein

Ghar apna banata mein kisi shehr mein kese
Guzrey hei meri zeest ke ayyam safar mein

Ik roz safar mein jo mujhe chor gea tha
Aya he boht yaad har gaam safar mein

nazia niazi Tuesday, January 02, 2007 05:38 PM

[quote=ainaain]Agar taalash karoo to mil hi jaye ga
magar kon tumhari tarha mujh ko chahay ga
tumhay zaroor koi chahtoo say daykhay ga
magar wo ankhay hamari si kha say laye ga
tumharay sath ya mosam gulabo jaysa
tumharay bad ya mosam bohat rulay ga
(kaisa laga bateya ga zaroor plz )[/quote]

u hv shared here my al time fav poetry
keep sharing


[B]Aizaz yeh hasil hay tu hasil hay zameen ko[/B]
[B]Aflaak pay tu GUNBAD-e-KHAZRA nahi koi[/B]

Wounded Healer Wednesday, January 03, 2007 12:43 PM

jaati hui mayyat dekh ke bhi, lillah, tum uth kar aa na sake
do chaar qadam toh dushmin bhi takleef gawara karte hain

ab niza ka aalam hai mujh par, tum apni mohabbat wapis lau
jab kashti doobne lagti hai toh baujh utara karte hain

nazia niazi Thursday, January 04, 2007 04:21 PM

[B]Koi malaal, koi aarzuu nahi karta,
Tumharay baad ye dil guftugu nahi karta !! [/B]

At Ur Own Risk Thursday, January 04, 2007 09:10 PM

[quote=nazia niazi]Thanx

[B]abhi se kehne laga hai humain alwida[/B]
[B]abhi se wakeef e anjaam ho raha hai woh[/B]

[B]phir ansuaon se lia kaam us ne marham ka[/B]
[B]humare dil ka har daag dho raha hai woh[/B]

[B]dikhai detay nhi us ki aankh main ansoo[/B]
[B]magar laho main sitare bo raha hai woh[/B]

[B]tamaam shehr ka moauzoo e guftagu hai wahi[/B]
[B]usay kaho k bht AAM ho raha hai woh [/B][/quote]


very nice

Mujhe aisa lutf ata kia jo na hijr tha na wisaal tha
Mere mosamon ki mizaj daan tujhe mera kitna khayal tha
Kabhi mosamon k saraab mein kabi baam-o-dar k azab mein
Mein ne umar wahan guzaar di jahan saans lena muhaal tha

------------------------------------------------------

ab kis ko sunain aur kon sune jo haal tumhaare baad hua
is shahr ki jheel si aankhon mein ek khawab boht barbaad hua
is shehr mein kitne chehre they sab bhool gaey kuch yaad nahi
wo shakhs kitaabon jaisa tha wo shakhs zubaani yaad hua

nazia niazi Friday, January 05, 2007 12:18 AM

[B]itnii muddat baad mile ho
kin sochon mein gum rahate ho

tez havaa ne mujh se puuchhaa
ret pe kyaa likhate rahate ho

kaun sii baat hai tum mein aisii
itane achchhe kiyon lagate ho [/B]


11:29 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.