CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Share your favourite shair (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/1571-share-your-favourite-shair.html)

sara soomro Saturday, January 19, 2008 12:09 AM

lafzun ki justajo mein sab kuch ganwa dia,
wo chal diye mein tarz e ada dhoondta raha
us ko kisi ne RAB se lia maang or mein,
sajday mein gir k harf e dua dhoondta raha .....

[I][COLOR=#008400][/COLOR][/I]
[I][COLOR=#008400][/COLOR][/I]
[I][COLOR=#008400]Rubba mairay haal da mehram toon!
andar toon hain, bahir toon hai, room room vich toon
toon hain tana, toon hain bana, sab kuh maira toon
kahay hussain faqir numana, mein nahain, sab toon[/COLOR][/I]

irum Sunday, January 20, 2008 04:30 AM

Na pOoch Apni Aana Kii Bghawatien "mOhsin "
Dar e QabOol Sey Bach K dUa gUzarti hAi

---------------------------------------

Amjed wo ankhyeen gheel si gehri tu hain magar
Un main koi bhi aks teray naam ka nahin



ab kis say kahein aur kon suney jo haal tumhare baad hua
iss dil ki jheel si aankhon mein ik khwaab bohat barbad hua

Nonchalant Monday, January 21, 2008 04:43 AM

[B]phir usii raahguzar par shaayad
ham kabhii mil sakeN, magar shaayad

jo bhii bichhRe haiN kab mile haiN “Faraz”
phir bhii tuu intizaar kar shaayad[/B]

sara soomro Monday, January 21, 2008 11:55 AM

[I][COLOR=#840000][/COLOR][/I]
[I][COLOR=#840000][/COLOR][/I]
[I][COLOR=#840000]Udaas raaton main, taiz coffee ki talkhiyon main
Wo kuch ziyada hi yaad aata hai sardiyon main
Mujhey ijazat nahin hai us ko pukaarney ki
Jo goonjta hai lahu main seeney ki dharkanon main[/COLOR][/I] ....

mariam_ji Tuesday, January 22, 2008 12:21 AM

tere hisar se bahir nikal gai hun main
tu theek kehta hy shayed badal gai hun main
ye paon jante hain waqt-e-hijar kaisa hy
qadam qadam ksi pathar mein dhal gai hun main

Zirwaan Khan Tuesday, January 22, 2008 09:01 PM

[B]ham bhii kabhii aabaad the aise kahaa.N bar_baad the
bifikr the aazaad the masaruur the dil_shaad the
vo chaal aisi chal gayaa ham bujh gaye dil jal gayaa
nikale jalaa ke apanaa ghar mai.n aur merii aavaaragii[/B]

Muskan Ghuman Tuesday, January 22, 2008 09:02 PM

[B][COLOR="Purple"]Akhlas-o-mohabat, mehr-o-wafa sab rismi rismi batai.n hain
Har shakhs huddi kii masti main bass apni hatir jeeta hai.....[/COLOR][/B]

Zirwaan Khan Tuesday, January 22, 2008 09:22 PM

[B]vo maah-e-vash vo maah-e-ruuh vo maah-e-kaamil huu_ba_huu
thii.n jis kii baate.n kuu_ba_kuu us se ajab thii guftaguu
phir yuu.N huaa vo kho ga_ii aur mujh ko zid sii ho ga_ii
laaye.nge us ko Dhuu.ND kar mai.n aur merii aavaaragii[/B]

Muskan Ghuman Tuesday, January 22, 2008 09:35 PM

[B][COLOR="Purple"]Wo agar mill kai bicharta tou koi batt bhi thi
Jiss ko paiea hii nhin ussay khona kesa....!![/COLOR][/B]

amy Tuesday, January 22, 2008 09:40 PM

[U]Kuch Visaal akhir tak Mo'atbar nahi hotey...
Saath chalne wale bhi Hamsafar nahi hotey...
Kuch kahey bina aksar bolti hai Khamoshi...
Ghuftagu ke sab Lamhe Hurf Gar nahi hote...
Kitna khouf hota hai shaam ke andheron mein...
Pooch un parindon se jin ke ghar nahi hote...[/U]

Zirwaan Khan Tuesday, January 22, 2008 09:44 PM

[B]Mein Zindagi Ka Saath Nibhatha Chala Gaya
Har Fiqr ko Dhooeen mein UUdaata Chala GAya[/B]

Muskan Ghuman Tuesday, January 22, 2008 09:46 PM

[B][COLOR="Purple"]Meri duao.n mai tera wajood rehta hai..
Ess sai barh kar mera aietraaf kia ho ga!![/COLOR][/B]

Zirwaan Khan Tuesday, January 22, 2008 09:53 PM

[B]AAj Uss ne Dard bhi apne Alaheda kar liye
AAj mein Roya tho Mere Saath woh Roya na Tha[/B]

Muskan Ghuman Tuesday, January 22, 2008 09:58 PM

[B][COLOR="purple"]Ho sakay tou hudd mai paida kar kashish
Hasrat sai kissi ko dhaikha nhin kartay!!
Har shakhs nhin hota har shakhs kai kabil
Har shakhs ko apnay liay parkha nhin kartay![/COLOR][/B]

Sureshlasi Tuesday, January 22, 2008 10:02 PM

[B][I][COLOR="Red"]Ashk ankhon main kab nahien ata
Lahoo ata hay jab nahien ata

dil say rukhsat haoway hay koi khawahish
garia kuch bay sabab nahien ata

sabar tha aik mons-e- hijran
so wo mudat say ab nahien ata

door baitha ghubar-e-meer us say
ishaq bin yeh adab nahien ata
[/COLOR][/I][/B]

Muskan Ghuman Tuesday, January 22, 2008 10:03 PM

[B][COLOR="Purple"]Dosti baies-e-aazar bann na jaiey kahin
Dil lagi rah kii deewar bann na jaiey kahin
Tum nai jiss shakhs ko be-moal samjh rakha hai
Wo tumhara hii hareedaar bann na jaiey kahin[/COLOR][/B]

Sureshlasi Tuesday, January 22, 2008 10:14 PM

[COLOR="DarkRed"][B][I]KHUSHI MILLI TO KAYI DERD MUGH SE ROOTH GAYE
DUA KERRO KE MEIN PHIRR SE UDDAS HO JAOON[/I][/B][/COLOR]

Zirwaan Khan Tuesday, January 22, 2008 10:21 PM

Sorry suresh bhai yeh Dua hum nai karsakte
[B]
Kitna Dilkash hai tho Kitna DilJoon hoon Mein
Yeh Khabar Sach hai ke Hum [COLOR="Blue"]MARR[/COLOR] jaaen Ge[/B]

sara soomro Tuesday, January 22, 2008 11:51 PM

[B][COLOR=darkred]ketni dilkash hai os ki khamoshi [/COLOR][/B]
[B][COLOR=#8b0000]sari baten fazol ho jesay ....[/COLOR][/B]

------------------------

[B]Udas honton par muskurahat ke phool aye to jaan lena
ki dil ke andar ki kuch udaasi bahot udaasi me dhal rahi hai...[/B]

ThE L@$T Le@F Wednesday, January 23, 2008 09:36 PM

[SIZE="3"][COLOR="Blue"]Ek shakhs ko kho daine ka darr kion nahi jata
ye booj mere dil se uttar kion nahi jata
manzil pa pohonch k bhi usse khona parega
ye pata hai phir b shoq-e-safar kion nahi jata[/COLOR][/SIZE]

Zirwaan Khan Wednesday, January 23, 2008 09:51 PM

[B]Zindagii tujh pe buhuut ghoor kiya mein ne
Thu faqqat Rang hai rangoon ke siwa kuch bhi nahi[/B]

marwatone Wednesday, January 23, 2008 10:01 PM

[FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][COLOR="DarkSlateBlue"]zindagii jab bhii terii bazm mein laatii hai hamein
ye zamiin chaand se behatar nazar aatii hai hamein
har mulaaqaat kaa anjaam judaa_ii kyuun hai
ab to har vaqt yahii baat sataatii hai hamein[/COLOR][/SIZE][/FONT]

sara soomro Thursday, January 24, 2008 01:09 AM

Rat Beeti to Ginay Ablay ur Phir Socha!
Kon tha baeesay Aghaze Safar Sham kay Bad
tu hai Sooraj Tujhy Maloom Khana Rat ka Dukh
tu Kisi Roz meray Ghar main Utar sham kay Bad

Shali Thursday, January 24, 2008 11:46 AM

[B][I][COLOR="Blue"]Dil Ka Dard Dil Torney Wale Kia Janein
Mohabbat Ka Rivaj Ye Zamaney Wale Kia Janein
Dard To Ander Hota Hei Kabar Mein
Ye Upper Se Aa Ker Phool Rakhney Wale Kia Janein...[/COLOR][/I][/B]

sara soomro Friday, January 25, 2008 08:38 PM

[B][COLOR=#00eeee][/COLOR][/B]
[B][COLOR=#00eeee]Ana ki qaid se nikle muqabla to karey
Wo mera saath nibhaney ka faisla to karey
Kabhi na tootney wala hisaar bun jaun
Wo meri zaat me rehney ka faisla to karey................[/COLOR][/B]



[I][COLOR=#0000ff][/COLOR][/I]
[I][COLOR=#0000ff][/COLOR][/I]
[I][COLOR=#0000ff]ab kis sey kahin aor kon suney jo haal tumharey baad hoa

is dil ki jheel si aankhoon main ik khawb boht barbaad hoa

us shehar mai kitney chahrey they?kuch yaad nhi sab bhool gia

ik shakhs kitaboon jesa tha wo shakhs zubani yaad raha [/COLOR][/I]

sayed khan Friday, January 25, 2008 09:25 PM

chaha na uss nay mujhy bas dekhta rha
meri zindigi say wo iss tarha khelta rha
na utra kabhi meri zindagi ki jheel mei
bas kinary per betha pathar phenkta rha

Sureshlasi Saturday, January 26, 2008 02:23 AM

[SIZE="3"][B][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="DarkSlateBlue"]
Sirf ye lafz nahin dil ke zakhm bhi kehte hain
Dard jo seene me kaid hai usse amanat samajh te hain

Kuchh paane ki umeed se kabhi kabhi bahut kuchh kho dete hain
Yehi to woh silsila hai jise hum zindagi kehte hain..
[/COLOR][/FONT][/B][/SIZE]

Astute Accountant Saturday, January 26, 2008 03:54 PM

[B]Ronay se kia hasil aay dil-e-soudai
Ankhoon ki bhi ruswai, daaman ki bhi ruswai
Hum log samandar k bichary huay sahil hain
Iss opar bhi tanhai, uss par bhi tanhai...[/B]

sara soomro Saturday, January 26, 2008 05:39 PM

[B][COLOR=#000084]Hai dunya k hangamo main rangeenee bhi ranaaiee bhi,
Hur cheez yahan ki piyaree hai, mehroomi bhi, ruswaiee bhi.[/COLOR][/B][B][COLOR=#000084]
Sub log yahan par qismat kay bai tor thapairay sehtay hain,
Par jeetay hain aur jeenay ki ik aas say chimtay rehtay hain.[/COLOR][/B]

Afshan Monday, January 28, 2008 03:13 PM

Wo jo milta hai to sb kuch bhula deta hai
jainai kis baat pai dil us ko dua deta hai
wo mujhai pyar sai rotai mai hansanai wala
Yad ata hai to hanstai mai rula deta hai

ismail_aims Monday, January 28, 2008 03:34 PM

Kal thky haary prindon ne nasihet ki mujhy
shaam ho jay tu tum b ghr chly jaya kro

azix_zee Monday, January 28, 2008 03:39 PM

[SIZE="6"][CENTER][FONT="Arial Black"][COLOR="Red"]شاعر کا تخیل ہے یہ ایک باز نہیں ہے۔
تھک جائے اُڑن میں وہ شہباز نہیں ہے۔
دب جاتے ہیں جو لوگ زمانے کی روش سے۔
دل میں نہ اُتر جائے وہ آوا ز نہیں ہے۔[/COLOR][/FONT][/CENTER][/SIZE]

saitzaz Tuesday, January 29, 2008 10:13 AM

Ye Alag Baat K Taabeer Na De Saath Mera
Khwab To Jitnay Bhi Aaey Wo Suhaanay Aaey!!!

Afshan Tuesday, January 29, 2008 10:23 AM

Har ek jazbat ko zubaan nahi milti
Har ek arzoo ko Dua nahi milti
Muskan banaye rakho to dunya hai saath
Ansuo ko to ankhon mai bhi panah nahi milti

saitzaz Tuesday, January 29, 2008 10:49 AM

Wo Mujhay Yaad To Kerta Hai Magar Yun Jesay
Ghar Ka Darwaza Kisi Raat Khula Reh Jaaey...!

Muhammed Usman Tuesday, January 29, 2008 12:20 PM

tu b jana haad kertay ho
mera tu kuch kam ha aisa
ghantoon ghar say bahar reh ker
logoon say milna perta ha
loogon say kaam ki batain
kertay kertay thaak jaoon tu
hooti hain phir apni pani jaan ki batain
jaan samjhatay ho na jana
phir b mugh pay shaak kertay ho
tumb jana haad kertay hoo

Shali Tuesday, January 29, 2008 12:23 PM

[B][I]Kisi ki Ankh jo pur-nam nahin hai
na samjho yeh keh us ko gham nahin hai

sawad-e-dard main tanha khara hon
palat jaon magar mausam nahin hai[/I][/B]

mariam_ji Tuesday, January 29, 2008 08:07 PM

main chahta hi na thi lajawab karna tumhain
warna jawab mere pas her sawal ka tha
tumhari jeet se hamain khushi hoti hy
yahi jawaz mere pas apni haar ka tha

sara soomro Tuesday, January 29, 2008 08:29 PM

[I][COLOR=#0000ff]wahi kaaravaan wahi raaste wahi zindagi wahi marhale
magar apne-apne muqaam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin[/COLOR][/I]
[I][COLOR=#0000ff]na wo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na wo rang-e-qahar-e-itaab hai
dil-e-beqaraar pe in dino hai sitam yahi ki sitam nahin ......[/COLOR][/I]

Zirwaan Khan Tuesday, January 29, 2008 11:02 PM

[B]Yehi Hay Ada-e-Dil-bari , keh Jo DIL mein tha WO kaha nahi
hamein jiss DIL ki Talash thee, Wo Mila Tu tha, per Mila nahi[/B]


08:40 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.