Sunday, April 28, 2024
08:20 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Tuesday, February 06, 2007
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default bahut dinoon kii baat hai

bahut dinoon kii baat hai

bahut dinoon kii baat hai
fizaa ko yaad bhii nahiin
ye baat aaj kii nahiin
bahut dinoon kii baat hai


shabaab par bahaar thii
fizaa bhii khush-gavaar thii
na jaane kyuun machal parraa
main apane ghar se chal parraa
kisii ne mujh ko rok kar
barrhii adaa se tok kar
kahaa thaa laut aaiiye
merii qasam na jaaiiye


par mujhe khabar na thii
maahaul par nazar na thii
na jaane kyuun machal parrhaa
main apane ghar se chal parrhaa
main shahar se phir aa gayaa
khayaal thaa ke paa gayaa
ose jo mujh se duur thii
magar merii zaruur thii


aur ik hasiin shaam ko
main chal parrhaa salaam ko
galii kaa rang dekh kar
naii tarang dekh kar
mujhe barrhii Khushii huii
main kuchh isii khushii mein thaa
kisii ne jhaank kar kahaa
paraaye ghar se jaaiiye
meri qasam na aaiiye


wahii hasiin shaam hai
bahaar jis kaa naam hai
chalaa huun ghar ko chorr kar
na jaane jaaun gaa kidhar
koii nahiin jo tok kar
koii nahiin jo rok kar
kahe ke laut aaiiye
merii qasam na jaaiiye


merii qasam naa jaaiiye............
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #2  
Old Sunday, February 18, 2007
Junior Member
 
Join Date: Sep 2006
Posts: 14
Thanks: 0
Thanked 1 Time in 1 Post
sErEnE EyE is on a distinguished road
Default

bhalay dinoun ki baat hai, bhali si ikshakal thee
na yeah kay husn tamam ho, na dekhnay main am thee
na yea kay woh chalay tu kehkishan si rahguzar lagay,
mager woh sath ho tu phir, bhala bhala safar lagay

na mudutoun juda rahe, na sath sub-o-shaam ho
na rishtaye wafa pay zid, na yea k azl-e-amm ho

koi bhi rut ho uss ki chhab faza ka rang o roop thii
woh gharmiyon ki chhaon thii woh serdion ki dhoop thii

na aisi khush libasiyan kay sadgee gila karay
na iaisi betukalafi kay aina haya karay

na iktalat main woh zum kay badmaza houn khwaishain
na is qadar superdagee kay zich karain nawazishain

na aishque janoun ki kay zindage azab ho
na is qadar khatour pan kay doosti kaharab ho

suna hai ik omer hai mamlaty dil ki bhee
visalay zan fiza tu kis firaqy jangill ki bhee

lo ik roz kia huwa
wafa pay behas chir gae
main ishq ko amar khaoun
woh mere zid say chir gae

main ishq ka aseer tha
woh ish ko qafas kahay
kay omer bhar k sath ko woh
badtaraz hawas kahay

kahaye.........

shajar hijar nahi kay hum
hamesha pama-e-gul rahain
na dhool hain kay rasiyan
galay main mustaqil rahain

main koi painting nahi
kay ik frame main rahoun
wohi jo maan ka meet ho
usi kay prem main rahoun

tumahre souch jo bhe ho main is muzaj ki nahi
mujahe wafa say bair hai yeah baat ajj ki nahi

na us ko mujh pay maan tha
na mujh ko us ko zum hi
jo ahde wafa hi na ho
tu kia ghume shikistagee

so apna apna rasta
hansi khusi badal lia
woh apni rah pay chal pari
main apni rah pay chal dia

bhalay dinoun ki baat hai
bhali si ik shakal thee
ab us ki yaad raat din
nahi.....
mager kabhi kabhi
__________________
SMILING THROUGH TEARZZ
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tum mere dil mein samao to koi baat bane qayym Urdu Poetry 0 Monday, September 22, 2008 02:43 AM
Aik baat kahoon gar suntey ho? samreen Urdu Poetry 1 Thursday, May 10, 2007 11:57 PM
...... to baat mushkil thi Last Island Urdu Poetry 0 Wednesday, January 24, 2007 03:49 AM
zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii mudassar345 Urdu Poetry 0 Monday, December 04, 2006 10:05 PM
us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa mudassar345 Urdu Poetry 1 Thursday, November 16, 2006 06:15 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.