|
Share Thread: Facebook Twitter Google+ |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
||||
|
||||
Mujhay zaat kay ista'aron main rakna
Mujhay apnay lafzon ki khusbo'on main rakhna
Mujhay zaat kay ista'aron main rakna Mujhay apnay aangan main jhuktay huay chand taron main rakhna Meray chund khut hain jinhain main nay Apnay lahoo ki sadaqat say likha tha tum ko Meray chund lamhay hain jin main Sada'on ki pakeezgi say pukara tha tum ko Meray chund lehjay hain jin main Tumhari hi tarz-e-takhatub ka rung aa chala tha Meray chund jumlay hain jin ki Sama'at liye ab tumhain ik muddat hui Meri kuch pasandeedah batain bhi hain Jin ko hasil tumhari pasandeedgi thi Meri kuch kitabain hain Jo tum nay shaid yunhi mang li theen Mera ik mazi hai Jis ko tumhari rafaqat nay mazi ka mafhoom bakhsha Mera ik aaindah tha Jis kay aaina khanon mai Aks aashna thay tumharay tarasheeda abroo, hijr si jabeen aur khaabon si aankhain Meri chund khushiyan theen jin pe tumhari Qamat ka saya-e-afreen tha Woh aik phool jis ko kabhi tum nay Saaray phoolon say chun ker rukh liya tha Unhain aur kuch aur baton ko bhi Apni yadon main rakhna Unhain guftogoo kay kinaron main rakhna Isharon main rakhna Unhain zaat kay ista'aron main rakna |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
A Tribute to Umera Ahmed | Argus | Poetry & Literature | 63 | Sunday, February 10, 2019 03:19 AM |
Mere rooh main jo utar sakain wo muhabbatain mujhay chaheye | arsa | Urdu Poetry | 0 | Wednesday, May 06, 2009 11:18 PM |
Mohabbat Chup Nai Rehti | The Star | Urdu Poetry | 2 | Thursday, January 08, 2009 09:05 PM |
Koi Sheher aisa basaoon main !!! | Last Island | Urdu Poetry | 2 | Thursday, December 27, 2007 09:54 PM |