Sunday, April 28, 2024
05:26 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Wednesday, January 31, 2007
zahid khattak's Avatar
Member
 
Join Date: Dec 2005
Location: Peshawar
Posts: 38
Thanks: 1
Thanked 0 Times in 0 Posts
zahid khattak is on a distinguished road
Default Do Ishq (faiz)

Taza Hai Abhi Yaad Main Aay Saqi-e-gulfaam
Wo Aks-e- Rukh-e-yaar Say Lahkay Hoyay Ayaam
Wo Phool Si Khilti Hoi Deedar Ki Saa-at
Wo Dil Sa Dharaktha Houa Umeed Ka Hangaam

Umeed,kay Lo Jaga Ghum-e-dil Ka Naseeba
Lo Shoq Ki Tarsi Hoi Shab,ho Gayi Aakhr
Lo Doob Gayay Dard Kay Baykhwb Sitaray
Ab Chamkay Ga Bay-sabr Nigahoo Ka Muqadar

Is Baam Say Niklay Ga Teray Husn Ka Khursheed
Us Kunj Say Phootay Gi Kiran, Rang Hina Ki
Is Dar Say Bahayga Teray Raftar Ka Seemab
Us Rah Pay Phoolay Gi Shafaq Teri Qaba Ki

Phir Dekhay Hai Wo Hijr Kay Taptay Hoay Din Bhi
Jab Fikr-e Dil-o-jaan Main Fughaan Bhool Gayi Hai
Har Shab Wo Siya Bhooj Kay Dil Bhait Ghiya Hai
Har Subh Ki Luo Teer Si Seenay Main Lagi Hai

Tanhayi Main Kia Kia Na Tujay Yaad Kia Hai
Kia Kia Na Dil-e-zaar Na Dhondi Hai Panahay
Aankho Say Lagaya Hai Kabi Dast-e-saba Ko
Daali Hai Kabi Gardan-e-mahtab Main Bhanhay

Chaha Hai Isi Rang Main Lailayay-e-watan Ko
Tarpa Hai Isi Tor Say Dil Is Ki Lagan Main
Dhoondi Hai Yunhi Shoq Main Asayish-e-manzil
Rukhsaar Kay Kham Main,kabi Kakul Kay Shikan Main

Is Jaan-o-jahan Ko Bhi Yunhi Qalb-o-nazar Nay
Hans Hans Kay Sada Di,kabi Ro Ro Kay Pukara
Poray Kiyaya Sab Harf-e-tamana Kay Taqazay
Har Dard Ko Ujyala,har Ek Ghum Ko Sanwara

Wapas Nahee Phiara Koi Farman Junoo Ka
Tanha Nahee Loti Kabi Awaz Jaras Ki
Khairiat-e-jaan,rahat-e-tan,sehat-e-damaa
Sab Bhool Gayi Maslahatay Ahl-e-hawas Ki

Is Raah Main Jo Sab Pay Guzarti Hai Wo Guzri
Tanha Pas-e-zindaa,kabi Ruswa Sar-e-bazaar
Garjay Hai Bohhut Shaikh Sar-e-gosha-mimbar
Karkay Hai Bohut Ahl-e-hakm Barsar-e-darbar

Chora Nahee Ghiaroo Nay Koi Nawak-e-dishnaam
Choti Nahee Apnoo Say Koi Tarz-e-malamat
Is Ishq Na Us Ishq Pay Nadim Hai Magar Dil
Har Daagh Hai Is Dil Main Bajuz Daagh-e-nidamat
__________________
Aghyar Wayi Chi Da Dozakh Jaba da....
Za Ba Janat Ta Da Pukhtu Sara Zam
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
sab kuchh karanaa ishq na karanaa ishq se jaan bachaanaa jii ravaila Urdu Poetry 0 Sunday, September 06, 2009 11:06 AM
Kya hai Ishq Zirwaan Khan Urdu Poetry 0 Friday, September 28, 2007 12:00 PM
ai ishq hamein barbaad na kar Wounded Healer Urdu Poetry 0 Saturday, February 17, 2007 02:12 AM
Iqbal's 'Ilm Aur Ishq' Qurratulain Urdu Poetry 0 Monday, February 27, 2006 11:12 PM
Faiz Ahmed Faiz ufsir_shah Urdu Literature 0 Tuesday, February 21, 2006 08:12 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.