|
![]() |
Share Thread:
![]() ![]() ![]() |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
||||
|
||||
![]()
ai ishq hamein barbaad na kar
ai ishq na chherrh aa aa ke hamein hum bhuule huoon ko yaad na kar pehale hii bahut naashad hain hum tuu aur hamein naashaad na kar qismat kaa sitam hii kam nahiin kuchh ye taazaa sitam, ijaad na kar yuun zulm na kar, bedaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar jis din se mile hain donoon kaa sab chain gayaa, aaraam gayaa cheharoon se bahaar-e-subah gaii aankhoon se farogh-e-shaam gayaa haathoon se khushii kaa jaam chhuutaa hoontoon se hansii kaa naam gayaa ghamgiin na banaa, naashaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar raatoon ko uth uth rote hain ro ro kar duaayein karate hain aankhoon mein tasavvur, dil mein khalish sar dhunate hain, aahein bharate hain ai ishq ye kaisaa rog lagaa jiite hain, na zaalim marte hain ye zulm to ai jallaad, na kar ai ishq hamein barbaad na kar ye rog lagaa hai jab se hamein ranjiidaa huun main, biimaar hai woh har waqt tapish, har waqt khalish be-khwaab huun main, bedaar ha woh jiine se idhar bezaar huun main marne pe udhar tayyaar hai woh aur zabt kahe, fariyaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar bedard zaraa insaaf to kar is umr mein aur maghmuum hai woh phuuloon kii tarah naazuk hai abhii taaroon kii tarah masuum hai woh ye husn sitam, ye ranj ghazab majbuur huun main, mazluum hai woh mazluum pe yuun, bedaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar ai ishq khudaaraa, dekh kahiin woh shakhs hasiin, badnaam na ho woh maah-e-laqaa, badnaam na ho woh zohraa-jabiin, badnaam na ho naamuus kaa us ko paas rahe woh pardaa-nashiin, badnaam na ho us pardaa-nashiin ko yaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar ummiid kii jhuuthii jannat ke rah rah ke na dikhlaa Khwaab hamein aaiindaa ke farzii ishrat ke waade se na kar betaab hamein kehtaa hai zamaanaa jis ko khushii aatii hai nazar kaamayaab hamein chhorr aisii khushii ko yaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar do din hii mein ahad-e-tiffalii ke maasuum zamaane bhuul gaye aankhoon se woh khushiyaan mit sii gaiin lab ke woh taraane bhuul gaye un paak bahishtii Khwaaboon ke dilchasp fasaane bhuul gaye un Khwaaboon se yuun aazaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar aankhoon ko ye kyaa aazaar huaa har jazb-e-nihaan par ro denaa aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa aawaaz-e-fughaan par ro denaa barbat kii sadaa par ro denaa mutrib ke bayaan par ro denaa ehsaas ko gham buniyaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar jii chaahataa hai ik duusare ko yuun aatth pahar ham karein aankhoon mein basaayein Khwaaboon ko aur dil ko khayaal aabaad karein khilwat mein bhii jo jalwat kaa saamaan wehdat ko duii se shaad karein ye aarazuuein ijaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar woh raaz hai ye gham-e-aah jise paa jaaye koii toh khair nahiin aankhoon se jab aansuu behte hain aa jaaye koii toh khair nahiin zaalim hai ye duniyaa dil ko yahaan behh jaaye koii khair nahiin hai zulm magar fariyaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa ghamgiin sii hai betaab sii hai ummiid yahaan ik weham sii hai taskiin yahaan ik khwaab sii hai duniyaa mein khushii kaa naam nahiin duniyaa mein khushii nayaab sii hai duniyaa mein khushii ko yaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar |
![]() |
Thread Tools | Search this Thread |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
sab kuchh karanaa ishq na karanaa ishq se jaan bachaanaa jii | ravaila | Urdu Poetry | 0 | Sunday, September 06, 2009 11:06 AM |
Kya hai Ishq | Zirwaan Khan | Urdu Poetry | 0 | Friday, September 28, 2007 12:00 PM |
Iqbal's 'Ilm Aur Ishq' | Qurratulain | Urdu Poetry | 0 | Monday, February 27, 2006 10:12 PM |