#491
|
||||
|
||||
Bat bazi with bait bazi is bad bazi
Yaar yeh bait bazi k saath bat bazi sharoo ho gai hay. Now this is Bad Bazi.
Waisay to kehnay walay keh gaye hain k Jab bazi ishq ki bazi ho, jo chahey laga do, darr kaisa? Jo jeet gaye, to kya kehna! Haarey bhi to bazi maat nhi KHair khair, aap logon k liye arz hai kia hay : Yeh jo hijr mein hum dar-o-diwar daikhtay hain Kabhi Saba ko, kabhi namabar ko daikhtay hain Wo aaye ghar mein humaray, Khuda ki Qudrat hain Kabhi hum unko, kabhi apney ghar ko daikhtay hain "Aadaab", arz hai ! |
#492
|
||||
|
||||
Yeh jo hijr mein hum dar-o-diwar daikhtay hain
Kabhi Saba ko, kabhi namabar ko daikhtay hain Wo aaye ghar mein humaray, Khuda ki Qudrat hai Kabhi hum unko, kabhi apney ghar ko daikhtay hain (Corrected) |
#493
|
||||
|
||||
yeh jo diwanay sey do chaar nazar aatay hain
in mein kuch sahib-e-israar nazar aatay hain |
#494
|
||||
|
||||
Quote:
ek shax saray shahrr ko veeran karr gaya.
__________________
BACON,S.F Studies serve for delight,for ornament,and for ability. |
#495
|
||||
|
||||
@ Sir Francis Bacon
Quote:
Phir Kaheen Khushk Mera Daaman-e-Tar Ho Shaayed
__________________
Freedom Ltd. |
#496
|
||||
|
||||
wohee aazaar wohi pa-on ki gathh-ree sir par
kaun sa naql makaani say nikal aaey hein uss nay to dil say nikaala tha magar chupkay say ham dabay pa-on kahani say nikal aaey hein |
#497
|
||||
|
||||
nikalti kiun nahin soorat, koi milnay milaanay ki
wo aisa kaun sa koh-e-sulemaani mein rehta hay hisaar-e-zaat say bahir koi rasta nahin jaata wagarna kaun iss aafat ki weerani mein rehta hay |
#498
|
||||
|
||||
yaqee-n kar to lia hay sab nay anhoni k honay ka
bara-e-duniya-daari ab yeh hairaani zaroori hay samaj-tay kiun nahin aakhhir taqaazay aadmiyyat k Farishton mein zara c khu-e-insani zaroori hay |
#499
|
||||
|
||||
yahi tashweesh shab bar chaand ko sonay nahin deti
sitaara toot kar phhir keh-ka-shan say mil to sakta hay |
#500
|
||||
|
||||
yeh sar-sari c malamat meray zameer ki hay
faqeeri saari ki saari yahan lakeer ki hay Faseel-e-jaan mein kahin b panah nahin miltee Dil-o-nazar pay hukoomat usi ameer ki hay |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Faiz Ahmed Faiz | Mazher | Urdu Poetry | 37 | Thursday, November 22, 2018 11:50 AM |
Role of Pakistan Bait ul Mal in Poverty Reduction | Usman Naseer | News & Articles | 3 | Saturday, May 31, 2008 01:55 PM |
Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi | Last Island | Urdu Poetry | 0 | Wednesday, August 29, 2007 06:53 AM |
New Bait baazi | nazia niazi | Urdu Poetry | 51 | Thursday, June 07, 2007 05:06 PM |
Virtues of the Ahlul Bait | Last Island | Islam | 1 | Saturday, May 05, 2007 09:46 PM |