CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Zulfiqar Shah Wednesday, January 25, 2012 09:26 PM

Aaqa Ka Milad Aaya
 
[CENTER][SIZE="6"][COLOR="Navy"]Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah

Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya

Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya

Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya

Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya

Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya[/COLOR][/SIZE][/CENTER]

marslanqaisar Wednesday, January 25, 2012 09:45 PM

Ya Rasool Allah (P.B.U.H) Tere Chahane Walo Ki Khair
 
[CENTER][YOUTUBE]ETvoyvOfTdw[/YOUTUBE][/CENTER]

marslanqaisar Friday, February 03, 2012 02:54 PM

Salle Ala Nabiena Salle Ala Muhammadin
 
[CENTER][YOUTUBE]Yvkg7MaAb4Y[/YOUTUBE][/CENTER]

marslanqaisar Sunday, February 05, 2012 06:31 PM

Naat by Arif lohar
 
[CENTER][YOUTUBE]TEXYPqETMQk&feature=related[/YOUTUBE][/CENTER]

Arain007 Thursday, March 08, 2012 11:53 AM

[CENTER][IMG]http://i1082.photobucket.com/albums/j374/madeel206/Arain007/Naat08-03-12.jpg[/IMG][/CENTER]

qayym Friday, April 27, 2012 03:21 PM

[CENTER][IMG]http://i47.tinypic.com/15cm52v.jpg[/IMG][/CENTER]

Farrukh Aziz Monday, July 09, 2012 08:07 PM

Zahe Muqadar
 
Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya

Yeh kohn sar se kafan lapetein chala hai ulfat ke raate par
Farishte hairat se tak rahe hein ye kohn zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadaa-e za farsh ta Arsh goonjhti hein
Har ek qurban ho raha hai zaban pe ye kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna Aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq tarapte se chorr aaya huun mein
Bulaawe ke muntazir hai lekin na subha aaya na shaam aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aayi
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam durood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya

Farrukh Aziz Saturday, July 14, 2012 03:22 PM

[COLOR="Blue"][B]Arshe HAq hai Masnade Rifaat Rasoollulah ki[/B][/COLOR]

Arshe HAq hai Masnade Rifaat Rasoollulah ki
Daikhne hai hashr mein Izzat Rasoollulah ki

LA wa Rabil Arsh jis ko jo mila Un se mila
Bat'te hai Komain mein Nihmat Rasoollulah ki

Soraj olte paon palte, Chand ishaare se ho chaak
Andhe najde dekh lay Qudrat Rasoolullah ki

Ham Bhekaari wo Kareem Un ka Khuda Un se Fazoon
Or NA kahna nahi Aadat Rasoollulah ki

Ahle Sunaat ka hai baira paar Ashabe Huzoor
Najam hein or nao hai Itrat Rasoollulahi ki

Ya RAB ik sa'at mein dhol jaen siyaakaroon kay jorm
Joos per Aa jae Aabe Rehmat Rasoollulah ki

Ay Raza khod Sahibe Quraan hai Madahe Huzoor
Tujh se kab Mumkin hai phir Midhat Rasoollulah ki

Farrukh Aziz Sunday, July 15, 2012 02:20 PM

[COLOR="Blue"]Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte[/COLOR]

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
Jo yaad e Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.

Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.

Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nehi karte.

Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin karte.

Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi karte.

Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kertay.

Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karte.

Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi karte.

Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.

Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte.

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte.

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte.

Farrukh Aziz Monday, July 16, 2012 12:29 AM

Kalam-E-Raza (R.A)

Naimatain baanta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshi e rehmat ka qalamdaan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere Mawla mere Aaqa, tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakame tamanna hi rahi
He woh dil jo tere dar se, pur arman gaya

Dil he woh dil jo teri yaad se ma'moor raha
Sar woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya

Unhe jana unhe mana na rakkha ghair se kaam
Lillah hil hamd mein duniya se musalman gaya

Aur tum par mere Aaqa ki inayat na sahi
Najdio Kalima parha ne ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki panah aaj madad maang unse
Phir na manenge Qayamat mein agar maan gaya

Jaano dil hosh o khirad sab to Madine ponche
Tum nahin chalte Raza saara to samaan gaya


09:29 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.