CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Thursday, August 02, 2012 03:56 AM

Na kaleem ka tasawwur Na khiyaal-e-tur-e-sinaa
 
[SIZE="4"][COLOR="SeaGreen"][COLOR="DarkOrchid"]Na kaleem ka tasawwur Na khiyaal-e-tur-e-sinaa
meri aarzu Muhammad meri justuju Madinah

main gadaae Mustafa hun meri azmatein nah poocho
mujhe deykh kar jahannam ko bhi aa geya paseenah

mujhe dushmano nah cherho mera koi hai jahaan main
main abhi pukaar lun ga naheen dur hai Madinah

main mareez-e-Mustafa hun mujhe cherho nah tabibo
meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Madinah

meray dubne main baqi nah koi kasar rahi thi
kahaa "almadad Muhammad" tho ubhar geyaa safinah

siwaa is ke meray dil mein koi aarzu nahein hai
mujhe mowt bhi jo aaey tho ho saamne Madinah

kabhi aey Shakeel dil se nah mite khiyaal-e-Ahmad
isi arazu mein marna isi arazu mein jeena.[/COLOR][/COLOR][/SIZE]

Farrukh Aziz Friday, August 03, 2012 04:11 AM

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
 
[COLOR="Green"][SIZE="5"]Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna[/SIZE]

[B]Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa'aat Kya Kehna

Hai Sar Par Taaj Nabuwwatka, Jora Hai Tan Pe Karamat Ka
Sehra Hai Jabin Par Shafa'aat Ka, Ummat Pe Hai Rehmat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa'aat Kya Kehna

Mairaj Hui Ta Arsh Gaye, Haqq Tum Se Mila Tum Haqq Se Miley
Sab Razey Fa Awha Dil Pe Khuley, Yeh Izzato Hashmat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa'aat Kya Kehna

Sab Misle Hatheli Peshe Nazar, Har Ghaib Ayan Hain Sine Par
Yeh Noore Nazar Yeh Chashm-o-basar, Yeh Ilmo Hikmat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa'aat Kya Kehna

Siddique-o-umar, Usman-o-ali Aur Unke Siva Ashabey Nabi
Qurban Rahey Aqa Pe Sabhi, Ki Khub Rifaqat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa'aat Kya Kehna

Ankhon Se Kiya Dariya Jari Aur Lab Pe Dua Pyari, Pyari
Ro-ro Ke Guzari Shab Sari, Aey Hamiye Ummat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa'aat Kya Kehna

Shohrat Hai Jamil Itni Teri, Yeh Sab Hai Karamat Murshid Ki
Kehte Hain Tujhe Madda-hey Nabi, Sab Ahley Sunnat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa'aat Kya Kehna.[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Friday, August 03, 2012 04:14 AM

Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge
 
[COLOR="Green"][SIZE="3"][B][LEFT]Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge[/LEFT]
Karam ki jab nazar ho gi Madine hum bhi jayenge

Agar jaana Madine mein huwa hum gham ke maaron ka
makeene Gumbad-e-Khazra ko haal-e-dil sunayenge

Kasam Allah ki ho ga woh manzar deed ke qabil
Qayamat mein Rasulallah jab tashreef layenge

Qayamat tak jagayenge na phir Munkar Nakeer usko
Lahad mein wo jisse apna Rukh-e-Zaiba dikhayenge

Gunahgaron mein khud aa aa kar shamil parsaa honge
Shafi-e-Hashr jab Daaman-e-Rehmat mein chupayenge

Gham-e-Ishq-e-Nabi se hoga jab maamoor dil nayyar
Tere zulmat kade mein bhi sitare jagmagayenge.[/B][/SIZE][/COLOR]

Farrukh Aziz Saturday, August 04, 2012 03:19 AM

[COLOR="Purple"][SIZE="5"]Ser-e-Gulshan Kohn Dekhe[/SIZE]

[B]Ser-e-gulshan kohn dekhe dasht-e-Taiba chor kar
Sooe Jannat kohn jaaye dar tumhara chor kar

Sar guzasht-e-gham kahoon kise tere hote huwe
Kis ke dar pe jaauun tera aastana chor kar

Mar hi jaaoon mein agar is dar se jaaoon do qadam
Kyaa bache bimaar-e-gham qurb-e-maseehaa chor kar

Bakhshwana mujh se aasee ka rwaa hoga kise
Kis ke daaman mein chupon daaman tumhara chor kar

Hashr mein ik ik mun jo takte phirte hain ‘udo
Aafton mein phans gaye inka sahara chor kar

Mar ke jeete hain jo unke dar pe jaate hain Hassan
Jii ke marte hain jo aate hain Madinah chor kar[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Saturday, August 04, 2012 03:21 AM

[SIZE="6"][COLOR="Green"]Ye Dare Habib ki Baat he[/COLOR][/SIZE]

[B][B][COLOR="Green"]Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he

Jisse chaha darpe bula liya, jisse chaha apna bana liya
Ye bare karam ke he faisle, ye bare naseeb ki baat he

Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he

Woh khuda nahin ba khuda nahin, woh magar khuda se juda nahin
Woh hein kya magar woh he kya nahin, ye muhib Habib ki baat he

Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he

Mein buron se lakh bura sahi, magar unse he mera waasta
Meri laaj rakhle mere Khuda, ye tere Habib ki baat he

Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he

Tujhe e munawware be nava, dare Shah se chahiye aur kya
Jo naseeb ho kabhi saamna, to bare nasib ki baat he

Na kahin se duur hein manzilen, na koi qarib ki baat he
Jisse chahe usko nawaaz de, ye dare Habib ki baat he.[/COLOR][/B][/B]

Farrukh Aziz Sunday, August 05, 2012 04:03 PM

[COLOR="Green"][SIZE="6"]Bhar Do Jholi Meri[/SIZE]

[B]Shah-e-Madeena suno ilteja Khuda ke liye
Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye
Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye
Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye

Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lautkar main na jaaunga khaali

Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi
Bekason ke madadgaar ho ya nabi
Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Hum hain ranj-o-museebat ke maare hue
Saqt mushkil mein hain gham se haare hue
Ya nabi kuchh Khudaara humein bheek do
Dar pe aaye hain jholi pasaare hue

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaein hum
Haalat-e-bekasi kisko dikhlaaye hum
Hum tumhaare bhikaari hain ya Mustafa
Kiske aage bhalaa haath phailaayein hum

Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena

Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lautkar main na jaaunga khaali
Kuchh nawaason ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hoon bankar sawaali

Haq se paayi wo shaan-e-kareemi
Marhaba dono aalam ke waali
Uski qismat ka chamka sitaara
Jis pe nazr-e-karam tum ne daali

Zindagi bakhsh ki bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali
Wo Muhammad ka pyara nawaasa
Jisne sajde mein gardan kataali

Jo ibn-e-murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani-e-Hussain ka anjaam khoob hai
Khurbaan ho ke Fatema Zehra ke chain ne
Deen-e-Khuda ki shaan badhaayi Hussain ne
Bakhshi hai jisne mazhab-e-Islam ko hayaat
Jitni azeem hazrat-e-Shabbir ki hai zaat
Maidaan-e-Karbala mein shah-e-khush khisaal ne
Sajde mein sar kataa ke Mohammad ke laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali
Wo Muhammad ka pyara nawaasa
Jisne sajde mein gardan kataali

Hashr mein unko dekhenge jis dam
Ummati ye kahengey khushi se
Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Mehshar ke roz pesh-e-Khuda hongey jis ghadi
Hogi gunahgaaron mein kis darjaa bekali
Aate hue nabi ko jo dekhenge ummati
Ek doosre se sab ye kahengey khushi khushi
Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Sar-e-mehshar gunahgaaron se purzish jis ghadi hogi
Yaqeenan har bashar ko apni bakhshish ki parhi hogi
Sabhi ko aas us din kambli waale se lagi hogi
Ke aise mein Mohammad ki sawaari aa rahi hogi
Pukaarega zamaana us ghadi dukh dard ke maaron
Na ghabraao gunahgaaron na ghabraao gunahgaaron
Aa rahey hain wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Aashiq-e-mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar thha
Sachaa ye waaqiya hai azaan-e-Bilaal ka
Ek din rasool-e-paak se logon ne yun kahaa
Ya Mustafa azaan ghalat dete hain Bilaal
Kahiye huzoor aapka is mein hai kya khayaal
Farmaaya Mustafa ne ye sach hai to dekhiye
Waqt-e-sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne jo azaan-e-sahar na di
Khudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar hui
Aaye Nabi ke paas kuchh as'haab-e-baasabaa
Ki arz mustafa se ay Shah-e-ambiya
Hai kya sabab sahar na hui aaj Mustafa
Jibreel laaye aise mein payghaam-e-Kibriya
Pehle to Mustafa ko adab se kiya salaam
Baad as salaam unko Khuda ka diya payaam
Yun Jibraeel ne kahaa khair ul anaam se
Allah ko hai pyar tumhaare ghulaam se
Farmaa raha hai aap se ye Rabb-e-Zuljalaal
Hogi na subha dengey na jab tak azaan Bilaal
Aashiq-e-mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar thha
Arsh waale bhi sunte thhey jisko
Kya azaan thi azaan-e-bilaali

Kaash purnam se aaye nabi mein
Jeete ji ho bulaawa kisi din
Haal-e-gham Mustafa ko sunaaoon
Thhaam kar unke rauze ki jaali

Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lautkar main na jaaunga khaali[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Sunday, August 05, 2012 04:06 PM

[SIZE="4"][COLOR="Purple"]Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar

Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar

Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii

Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar

Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei

Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar

Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha'aar kitna

Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar

Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri

Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar

Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein

Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar

Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid

Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar.[/COLOR][/SIZE]

Farrukh Aziz Tuesday, August 07, 2012 01:10 PM

Shahe Madina
 
[SIZE="4"][B][COLOR="Green"]
Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah
The Shah of Madinah, the Shah of Madinah
The protector of good, all prophets seek answers at your door
The Shah of Madinah, the Shah of Madinah

Jalwe he sare tere hi dam se, aabad aalam tere karam se
Baqi har ek she, naqshe khayali, sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah
All attractions are due to you, the world progresses due to your efforts
All other aspects are imaginary images, all prophets seek answers at your door
The Shah of Madinah, the Shah of Madinah

Tere liye hi duniya bani he, neele falak ki chaadar tani hai
Tu agar na hota, duniya thi khali, sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah
For you is this world created, this blue sheet of the sky spread out,
Without you the world would be empty, all prophets seek answers at your door
The Shah of Madinah, the Shah of Madinah

Tune jahan ki mehfil sajai, taarikiyon mein shamma jalayi
Kandhe pe tere kamli he kaali, sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah
You decorated the intimate gathering of this world, lit up the paths of history
Heaven rests on your shoulders, all prophets seek answers at your door
The Shah of Madinah, the Shah of Madinah

Mazhab hei tera sab ki bhalayi, maslak he tera mushkil kushayi
Dekh ke apni ummat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali
Your religion says that all should be advantaged, your laws make all difficulties disappear,
Seeing the benefits of it on your people, all prophets seek answers at your door

Hai noor tera shamso qamar mein, tere labon ki laali sahar mein
Phoolon ne teri khushbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali
Your light is in the suns and moons, the redness of your lips in the dawn,
Flowers have stolen your fragrance, all prophets seek answers at your door.

Kaba ka kaba tera hi ghar he, tere karam pe sab ki nazar hai
Dikhlade hum ko darbare aali, sare nabi tere dar ke sawali
The Kabah of Kabah is your home, all eyes are on your grace,
Show us the way, wise one of the Court, all prophets seek answers at your door

Hain ap dukhiyon ke aaqa sahare, Taaje shafa’at hai sar pe tumhare
Hum ko aata ho rawze ki jaali, sare nabi tere dar ke sawali
You are the soother of those in distress, the crown of healing is on your head
Grant us the ability to visit your beloved Tomb, all prophets seek answers at your door

Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah
The protector of good, all prophets seek answers at your door
The Shah of Madinah, the Shah of Madinah[/COLOR][/B][/SIZE]

Farrukh Aziz Tuesday, August 07, 2012 01:13 PM

Hai Bari Shaan Wala Hamar Nabi
 
[B][COLOR="Blue"]Sab se awla wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Mawla ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash'ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe hayaat
Hai woh jaane maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rasul
Aur Rasulon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka tumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai us oonche se ooncha hamara Nabi

Gham zadoh ko Raza muzda dije kahe
Be kason ka sahara hamara Nabi.

Do Jahan ka Ujala Hamara Nabi
Hai Bari Shaan wala hamara Nabi.

Apne har Umati ko karega Atta
Aab-e-Kausar ka Piyala Hamara Nabi.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, August 08, 2012 10:15 AM

Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da
 
[B][B][COLOR="Blue"]Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da
Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da

Soneya daroood peche, rab teri zaat nu, mukh tera noor wande, saare kainaat nu
Shedaey zamaana, tere husnu jamaal da,

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da
Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da

Makke reen waaleya, madine or waalea, kethe khaan walia nu, sinne laan waaleya
Tere bina dighe anu, koina sambaal da

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da
Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da

Terian te sifta daan, koiwi saamb nei, du te kithe tereaa, ghulama da jawab nahi.
Hu raata i roob wande, abshii bilal da

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da
Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da

Ho kapeya dewee tere, sacheya piyaara da, joondaye zahoori naa. laike tere yaaran da
Golaye tera, tere dard da, tere yaal da

Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da
Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da.[/COLOR][/B][/B]


04:27 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.