Monday, April 29, 2024
12:04 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Islam

Islam Invite to the Way of your Lord with wisdom and fair preaching, and argue with them in a way that is better. Truly, your Lord knows best who has gone astray from His Path, and He is the Best Aware of those who are guided." Holy Qur'an 16:125

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #231  
Old Saturday, February 16, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Mujhey Taybah main leh jaao, Madinah yaad ayaa hai
Meray Aqa ko bulwaao, Madinah yaad ayaa hai

Terii mehfil sajataa hoon, teray main geet gataa hoon
Sar-e-mehfil chaley aao, Madinah yaad ayaa hai

Main jetaa roz marta hoon, judaa'ii seh naheen saktaa
Meray Aqa ko batlaao, Madinah yaad ayaa hai

Merii tariiki-e-dil ka madawaa teraa aanaa hai
Meray Aqa chaley aa'o, Madinah yaad ayaa hai

Chaley hain qaafley Taybah akelaa chor kar mujh ko
Mujhey Taybah main pohncha'o, Madinah yaad ayaa hai

Terii furqat ne maaraa hai, terii rehmat saharaa hai
Qariib-e-marg hoon aa'o, Madinah yaad ayaa hai

Meray mayyat ko le jaanaa, Madinah paak main yaaro
Mujhe Taybah main dafnaa'o, Madinah yaad ayaa hai

Teri ummat ko mil kar ghairon se apno ne lutaa hai
Isey kamlii main chupaao, Madinah yaad ayaa hai

Hoo'ii hai jaan kii dushman teray Tahir ki yeh duniyaa
Isey kamlii main chupaa'o, Madinah yaad ayaa hai

Yeh Tahir teraa deewanah teri ummat ka khaadim hai
Mishan is ka bhi pelaa'o, Madinah yaad ayaa hai

Gunahgaaron khataakaaron seyaahkaaron ke Aqa ho
Nah Jilaani ko thukraao, Madinah yaad ayaa hai

To Bari Umeed hai Sarkar Qadmoon men Bulaenge
Karam ki jab Nazar hogi Madine hum bhi jaenge.

Ager jana Madine men hua hum gham ke maaro ka
Makken-e-Gumbade Khazra ko Haal-e-Dil sunaenge.

Gunahgaro men khud aa aa ke shamil parsa honge
Shafi-e-Hashr jab Daman-e-Rehmat men Chhupayenge.

Qasam Allah ki hoga wo manzar deed ke qaabil
Qayamat men Rassolallah jab Tashreef layaenge.

Aur Kisi Soorat hamara ab yahan per jee Nahi lagta
hame Baad-e-Saba leja Ura ke Unke Kooche men

Jab aaye maut khaake Taiba mal ker Jism per mere
Supurd-e-Khaak ker Dena Saja kar Unke Kooche men.

Ae Mustafa Jan-e-Rehmat

Mene Mana ke Kamina Hoon mager Aap ka Hoon
Mene Mana ke Nikama hoon mager Aap ke Hoon
Is kamine ko bhi Sarkar Nibhaye Rakhna. Aur
Mere Sarkar Meri Baat Banaye Rakhna
...
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Farah Rasheed (Tuesday, April 30, 2013)
  #232  
Old Sunday, February 17, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Karam ke badal baras rahe hain, dilon ki kheti hari bhari hai
yeh kon aya ke zikr jinka, nagr nagr hai galli galli hai

Diye dilon ke jala ke rakha, Nabi ki mahfil saja ke rakhna
Jo rahat-e-dil sukun jaan hai, woh zikr zikr-e-Muhammadi hai

Jo gaaliyah sun ke dein duaein, barro ko apne galle lagaey
saraapa lutf-o-karam jo thahri woh mere aqa ki zindigi hai

Nabi ko apna Khuda na mano, Khuda se lekin juda na jano
Yeh Ahl-e-iman ka yeh aqida, Khuda Khuda hai Nabi Nabi hai

Main apni qismat pe kyoun na jhumoun, main kyoun na waliyon ke dar ko chumoun
Main naam-e-laiwa Mustafa ka, Khuda ke bandon se dosti hai

Hai dosh par jin ke kamli kali wohi to hain do jahan ke waali
koi sawali na bejha khali yeh shan mere karim ki hai

Na mangu dunya ke tum khazane Niyazi chalein Madine
ke badshah se bharh ke pyare Nabi ke dar ki ghadagari hai
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Farah Rasheed (Tuesday, April 30, 2013)
  #233  
Old Sunday, February 17, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Khaak suraj se andheeron ka izaala ho ga.
Aap aaey to mere ghar me ujaala hoga

Hashar mein unka har ik chaahne waala hoga
mere sarkar ka aalam hi niraala hoga

ishqe sarkaar ki ik shamma jalaalo dil mein
baad marne ke lahad mein bi ujaala hoga

Aap aaye...

Jab bi maango to waseele se unhi ke maango
is waseele se karam our dubala hoga

Aap aye...

hashar mein hoga wo sarkaar ke jande ke tale
meri sarkaar ka jo chahane waala hoga

aap aye...

hashar mein usko bi seene se lagayege huzoor
jis gunahgaar ko har eik ne tala hoga

aap aye....

Sila-e-naat-e-nabi bau ga jis din khalid
Wo karam dekh na tum dekhne waala hoga
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
  #234  
Old Tuesday, April 30, 2013
khalid hanif's Avatar
Senior Member
Qualifier: Awarded to those Members who cleared css written examination - Issue reason: CE 2013 - Roll no 12656Qualifier: Awarded to those Members who cleared css written examination - Issue reason: CE 2013 - Roll no 12656
 
Join Date: Mar 2012
Location: Bahawalpur
Posts: 104
Thanks: 11
Thanked 106 Times in 70 Posts
khalid hanif is on a distinguished road
Arrow

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi

Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi

Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi

Hota Hai Jaha Zikr Muhammad(SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi

Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi

Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi
__________________
Success is not final, failure is not fatal; it is the courage to continue that counts.
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to khalid hanif For This Useful Post:
Farah Rasheed (Tuesday, April 30, 2013), mahnoor fatima (Saturday, May 04, 2013)
  #235  
Old Tuesday, May 07, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Saday Wal Sohniyan Nigahwan Kadun Honiyan,
Daso Mazoor Ay Duawaan Kadun Honiyan.

Urdu Translation of the two Punjabi Naat lines above:
Hamari Taraf App Ki Nighahein Kab Houngi,
Yeh To Bata Dein Kay Yeh Duaein Kab Kabool Houn Gi.
Ik, Ik Zaray Wich Rakhiyaan Shifawan Nain,

Bosaw Teray Qadmanoo Ditay Jinhay Rahwan Nay,
Saday Naseeban Which Aoh Rahwaan Kadoon Honiyan,
Saday Wal Sohniya Nigawaan Kaddo Honia.

Ro, Roh, Sari Zindagi Judaiyaan Which Guzari Aie,
Uneh Sadi Zindagi Di Shaam Hon Walli Aie,
Maaf Mahi Sadiyaan Khatawan Kadoon Honiyaan,
Saday Wal Sohniyan Nigahwan Kadun Honiyan,
Daso Mazoor Aie Duawaan Kadun Honiyan.

Eishq Day Bemaranoo Daroo Kio Nahi Chahida,
Aina Da Ailaaj Aie, Deedar Sohnay Mahi Da,
Ishq Day Bemaranoo Shifawan Kadoon Honiyaan,
Saday Wal Sohniyan Nigahwan Kadun Honiyan,
Daso Mazoor Ay Duawaan Kadun Honiyan.

Tikhiyaan Judaian Diyaan, Tupaan Dil Sahriya,
Aeni Gal Das De Khudai Daiya Lahriya,
Tupaan Kadoon Mukniyan, Tay Chawaan Kadoon Ho Niyaan,
Saday Wal Sohniya Nigahwan Kadun Honiyan.

Aaqa Aeho Sadraan Nay Seenay Wich Palian,
Chooman Ga Main Jakay Kadoon, Rozay Dian Jalian,
Sajaan Otay Terian Aatawan Kidun Honiyaan,
Saday Wal Sohniyan Nigahwan Kadun Honiyan,
Daso Mazoor Ay Duawaan Kadun Honiyan.

__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
momo rami (Wednesday, June 26, 2013)
  #236  
Old Tuesday, May 07, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Janan e Mustafa ko hamara salaam ho.

Abbas e namdaar hain zakhmoon say choor choor
Us paikar e riza ko hamara salaam ho.

Akbar say nojwaan bhi run mein huey shahid
Hum shaklay Mustafa ko hamara salam hoo.

Bhai bhateejay bhanjay sab ho gaye nisaar
Har lal e bay baha ko hamara salaam ho.

Asghar ki nanhi jaan pay lakhoon darood houn
Mazloom o bay khata ko hamara salaam ho.

Ho kar shaheed qoum ki kishti tyra gaye
Ummat kay nakhuda ko hamara salaam ho.

Nasir wilaye shah mein kehta hai bar baar
Mehman e Karbala ko hamara salaam ho.

Sultane Karbala Ko Hamara Salam Ho!
Jaanaane Mustafa Ko hamara Salam Ho.
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
  #237  
Old Tuesday, May 07, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

و
کعبہ تو دیکھ چکے کعبے کا کعبہ دیکھو

رکن شامی سے مٹی وحشت شام غربت
اب مدینہ کو چلو صبح دل آرا دیکھو

آب زمزم تو پیا خوب بجھائی پیاسیں
آو جود شہ کوثر کا بھی دریا دیکھو

زہر میزاب ملے خوب کرم کے چھینٹے
ابر رحمت کا یہاں زور سے برسنا دیکھو

خوب آنکھوں سے لگایا ہے غلاف کعبہ
قصرمحبوب کے پردے کا بھی جلوہ دیکھو

دھو چکا ظلمت دل بوسہء سنگ اسود
خاک بوسی مدینے کا بھی رتبہ دیکھو

اولیں خانہ حق کی بھی ضیائیں دیکھیں
آخریں بیت نبی کا بھی تجلا دیکھو

غور سے سن تو رضا کعبہ سے آتی ہے صدا
میری آنکھوں سے میرے پیارے کو روضہ دیکھو

IN ROMAN TEXT

Haajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho

Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho

Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase
Aao joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho

Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho

Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho

Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho

Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye
Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho

Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho

Gaur sey sun to Raza Kaabey sey aati hai sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
  #238  
Old Tuesday, May 07, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Ya Nabi ham guna hagaaron ko

dard-e-furqat sey ab jila deyna

Ummati hein tumharey Shah-e-Umum

sabz gunbad hamein dikha deyna


Khaak-e-Taibah miley lahad key liye

kaali kamli miley kafan key liye

Waastah Aap key nawaason ka

eysee qismat meri bana deyna


Duur reh kar tumhari chowkat sey

ashk ankhon sey behtey rehtey hein

Aas ham bhi lagaey beythey hein

dil ki pyaas ab meri bujha deyna


Aap Nabiyon mey sab sey ‘alaa hein

khatam ik Aap par nabuwat hai

Ham faqeeron ko Ya Rasulullah

apni chowkat kaa aasra deyna


Laaj rakhna Shah-e-zaman

meri iltija hai yeh qalb-e-Ishrat ki

Meri hasti ko Khaak-e-Taibah mein

Ya Rasulullah
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
  #239  
Old Saturday, May 11, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Men Mai Aaun, Teri Naat Padhte Padhte
Tere Sheher Men Mai Aaun, Teri Naat Padhte Padhte

Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Mujhe Mout Aaqa Aaye, Tera Zikr Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzu Bhi Hai Koi
Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzoo Bhi Hai Koi
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Main Deewana Ho Gaya hoon, Teri Raah Takte Takte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Ke Zamana Ho Gaya Hai, Mujhe Aahen Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Mehwish Pervez (Saturday, July 13, 2013), Mohammad Ali (Tuesday, June 25, 2013)
  #240  
Old Tuesday, May 21, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Hamein bheek mangne ko Tera aastaan banaya
Tujhe hamd hai Khudaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Tumhein Haqim banaya Tumhein Qasim Aataya
Tumhein Shafe Aataya Tumhein Da'afe balaya
Koi Tum sa kon aaya?
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Wo kanwaari Pak Maryam wo Naf'ate fiya ka dam
Hai azab Nishaan-e-Aazam magar Aamina ka Jaya
Wohi sab se afzal aaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Yahi bole sidraa wale chaman-e-Jahaan kay thaale
Sabhi mein ne chan daale Teray pae ka naa paya
Tujhe yaq ne Yaq banaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya


"Fa Izaa Faraghta Fansab"(Quraanic Ayat) ye mila hai Tujh ko mansab
Jo gada bana choke ab otho waqte bakhshis Aaya
Karo qismat aataya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

"Wa Ilaa Rabika Farghab",karo arz sab kay matlab
keh Tuhein ko Takte hein sab karo un per Apna saya
Bano Shafeye Khataya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Aare Ay Khuda kay bando koi meray dil ko dhondoo
Meray paas tha abhi to abhi to abhi kya howa Khudaya
Na koi gia na Aaya

Hamein Ay Raza Teray dil ka pata chala ba mushkil
Dar-e-Rozae muqabil wo hamein nazar tou aaya
Ye na pocha kaisa paya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya...
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Mohammad Ali (Tuesday, June 25, 2013)
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
NAB ::: Psychological Test ::: HELP NEEDED MYG2010 National Accountability Bureau (NAB) 1216 Friday, September 16, 2016 06:45 PM
NAB Result Announced: Please Share Your Marks sarfaraz shami National Accountability Bureau (NAB) 240 Saturday, August 15, 2015 12:07 PM
The Holy Quran Argus Islam 9 Saturday, October 13, 2007 06:10 AM
How the Sects Can be Dissolved Sureshlasi Islam 0 Wednesday, September 12, 2007 03:27 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.