Friday, April 26, 2024
12:01 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #21  
Old Saturday, March 15, 2008
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: UTOPIA
Posts: 215
Thanks: 4
Thanked 46 Times in 35 Posts
habibrahet is on a distinguished road
Default محسن نقوی

ذکر شب فراق سے وحشت اسے بھی تھی
میری طرح کسی سے محبت اسے بھی تھی


zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

مجھھ کو بھی شوق تھا نئے چہروں کی دید کا
رستھ بدل کے چلنے کی عادت اسے بھی تھی


mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii

اس رات دیر تک وھ رھا محو گفتگو
مصروف میں بھی کم تھا، فراغت اسے بھی تھی


us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii

سناتا تھا وہ بھی سب سے پرانی کہانیاں
تازہ رفاقتوں کی ضرورت اسے بھی تھی


sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N
taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii

مجھ سے بچھڑ کے صہر میں گھل مل گیا وھ شخص
حالانکھ شہر بھر سے رقابت اسے بھی تھی


mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii


وھ مجھھ سے بڑھ کھ ضبط کا عادی تھا جی گیا
ورنھ ہر اک سانس قیامت اسے بھی تھی


vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii
__________________
________________________________________________________________________________________________

My GoaL is to be a Failure! If I reach my GoaL, I'll be Successful and if I don't reach my GoaL, I'll still be Successful.
________________________________________________________________________________________________
Habibrahet
Reply With Quote
  #22  
Old Thursday, March 20, 2008
Hurriah's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Oct 2007
Location: I live in ukaat!
Posts: 461
Thanks: 122
Thanked 250 Times in 142 Posts
Hurriah will become famous soon enoughHurriah will become famous soon enough
Default

Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi
Qaatil k haath mein to hina ki lakeer thi

Khush hoon k waqt-e-qatl mera rang surkh tha
Mere laboN pe harf-e-dua ki lakeer thi

Main kaarvaaN ki raah samajhta raha jise
Sehra ki reit par wo hawa ki lakeer thi

Sooraj ko jisne shab k andheron mein gum kia
Mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi

Guzra hai shab ko dasht se shaayad wo parda-daar
Har naqsh-e-pa k saath rida ki lakeer thi

Kal uska khat mila k saheefa wafa ka tha
Mohsin har ek satr haya ki lakeer thi
__________________
Time is the longest distance between two places.
Reply With Quote
  #23  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default Mohsin Naqvi`s Eloquence

Safar tanha nahi karte
Suno! Aisa nahi karte,
Jisse shaffaf rakhna ho,
Usse maila nahi karte,
Teri ankhein ijazat dein,
To hum kya kya nahi karte,
Bohat ujre huye ghar per,
Safar jiska muqaddar ho,
Usse roka nahi karte,
Jo mil ker khud se kho jaye,
Usse ruswa nahi karte,
Chalo tum raaz ho apna,
Tumhein afshan nahi karte,
Yeh unche peid kaise hain,
Kahin saya nahi karte,
Jo dhun ho kar guzar ne ki,
To phir socha nahi karte,
Kabhi hasne se darte hain,
Kabhi roya nahi karte,
Seher se pooch lo *MOHSIN*
KE hum soya nahi karte..................
Reply With Quote
  #24  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default

Umar Guzari Azaab'bay'jan Sehtey

Dhoop Main Zea'ray'Asmaa Rehtey

Hum Hain Son'saan Raston K Shajar

Jo Kisi Ko Bhi Kuch Nahi Kehtey...!!
Reply With Quote
  #25  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default

kahan ye bus main k hum khud ko hosla dete
yehi bohut tha k her ghum pe muskera dete

hawa ke door ulajhti jo ungliyon say kabhi
hum aasman pe tera naam tak saja dete

humare aks main hoti jo zakhm-e-dil ke jhalak
hum aynay ko bhi apni terha rula dete

humain bhi jo roshniyon pe dastras hoti
kabhi cheraagh jalate, kabhi bujha dete

humaray paon hawaon ke zad main thay werna
guzerti umer ko ruk ruk k hum sada dete

ab is ke yad say us ka badan terashtay hain
woh khuab bhi to na tha k hum bhula dete

is waste mohsin` kahi hai taza ghazal
hum us ke salgirah pe ab aur kia dete..!!
Reply With Quote
  #26  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la
Bujhta hua diya na muqaabil hawa kay la

Darya ka inteqaam dabo day na ghar tera
Saahil say roz roz na kankar utha kay la

Samaan wafa kay baandh magar soch soch kar
Is ibteda mai yun na sakhat inteha kay la

Thori si aur mauj mai aa, ayee hawa-e-gul
Thori si uskay jism ki khushboo chura kay la

Gar sochna hai ehl-e-mashiyaat kay hauslay
Maidan say ghar mai ek mayyat utha kay la

*Mohsin* ab uska naam hai sab ki zabaan par
Kis nay kaha tha usko ghazal mai saja kay la?--
Reply With Quote
  #27  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default

qattal chuptay thay kabhi sung ki dewaar k beech
ab to khulnay lagay hain muqtil bharay bazar k beech

apni poshak k chin janay ka afsos na kar
sar salamat nahi rehtay yaha dastar k beech

jis ki choti pay basaya tha qabeela mai nay
zalzalay jag uthay hain usi kohsar k beech

rizq, malboos, qarz, marz, dawa
munqasim ho gaya insaan inhi afqaar k beech

dekhay jatay na thay meray aansoo jis say mohsin
aaj hanstay hoye dekha usay aghyaar k beech!!
Reply With Quote
  #28  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default

Cherey Perhta, Aankhain Likhta Rehta Hoon
Main Bhi Kaise Batain Likhta Rehta Hoon ?

Saray Jism Darakhtoon Jaise Lagtay Hain
Or Bahoon Ko Shakhain Likhta Rehta Hoon

Tujh Ko Khat Likhnay K Taiwar Bhool Gayee
AArhi Tirchee Satrain Likhta Rehta Hoon

Tere Hijr Main Or Mujhe Kia Karna Hai
Tere Naam Kitabain Likhta Rehta Hoon

Tujh Se Mill Kar Saray Dukh Dhoraoon Ga
Hijr Ki Sari Batain Likhta Rehta Hoon

Sookhay Phool, Kitabain, Zakham Judai ke
Teri Sab Soghatain Likhta Rehta Hoon

Us Ki Bheegi Palkain Hansti Rehti Hain
MOHSIN Jab Tak Ghazlain Likhta Rehta Hoon..!!
Reply With Quote
  #29  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?--
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina

Tum mera badan odh kay phirtay raho-LEKIN
Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina

Ek taaza ghazal azn-e-sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina
Reply With Quote
  #30  
Old Sunday, January 18, 2009
AmBrosiaL EloQuence's Avatar
37th Common
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2008
Location: Isles ov attainable dreamz
Posts: 160
Thanks: 150
Thanked 209 Times in 104 Posts
AmBrosiaL EloQuence will become famous soon enoughAmBrosiaL EloQuence will become famous soon enough
Default

Falak pe ek sitara reh gaya hai....
Mera saathi akela reh gaya hai....

Yeh keh ker phir palat aayi hawayein....
Shajar pe ek patta reh gaya hai....

Har ek rutt mein tera gham hai salamat.....
Yeh mausam ek jaisa reh gaya hai....

Hamare baad kya guzri azeezon!
Sunao sheher kaisa reh gaya hai....

Baras kuch aur aye awara badal....
Ke dil ka sheher pyasa reh gaya hai.....

Khuda wandh sambhal apni amanat....
Bashar duniya mein tanha reh gaya hai....

Hawadas kis liye dhondheinge duniya mein mujhe ko?
Mere daman mein ab kya reh gaya hai?

Sitare baantta phirta hoon *Mohsin*
Magar ghar mein andhera reh gaya hai....!!!!
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
عظمت آدم! Mohsin Naqvi Predator Urdu Poetry 0 Wednesday, October 31, 2007 05:10 PM
Jawed Naqvi mtgondal News & Articles 8 Monday, October 29, 2007 11:14 AM
I Am Possible,Qurratulain and Mis Naqvi amjad777 Discussion 22 Sunday, January 14, 2007 11:31 PM
My Own Ghazal(dedication To Mohsin Naqvi) RUBAAB*EXOTIC EYES* Urdu Poetry 0 Friday, October 06, 2006 08:04 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.