CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Monday, August 13, 2012 03:16 PM

[COLOR="Purple"][SIZE="5"]Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Han[/SIZE]

[B]Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Han, Shar-he Wash-shamso Zuha Karte Hain
Unki Hum Madd-ho Sana Karte Hain, Jinko Mahmood Kaha Karte Hain


Maahe Shak Gashta Ki Soorat Dekho, Kaap Kar Mehr Ki Raj'at Dekho
Mustafa Pyare Ki Qudrat Dekho, Kaise Ayjaz Hua Karte Hain


Tu Hai Khursheed E Risalat Pyare, Chup Gaye Teri Ziya Me Taare
Ambiya Aur Hai Sab Mah-Paare, Tujhse Hi Noor Liya Karte Hain


Ay Balaa Be Khirdi-E Kuffar Rakhte Hai Aise Ke Haq Se Inkaar
Ki Gawahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaa(n) Bol Utha Karte Hain


Apne Maula Ki Hai Bas Shaan E Azeem, Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta'azeem
Sang Karte Hai Adab Se Tasleem, Ped Sajde Me Gira Karte Hain


Rif'ate Zikr Hai Tera Hissa, Dono A'alam Me Hai Tera Charcha
Murge Firdous Pas Az Hamde Khuda Teri Hi Madho Sana Karte Hain


Ungliya Paayi Wo Pyari-Pyari, Jinse Dariya E Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai Jab Gamkhwari, Tishne Sairaab Hua Karte Hain


Haa Yahi Karti Hai Chidiya(n) Fariyaad, Haa Yahi Chahti Hai Hirni Daad
Isi Darr Par Shutrane-Naashaad Gil-E Ranjo Ana Karte Hain


Aasti Rehmat E A'alam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe
Girne Waalo Ko Kucha E Dohzakh Se Saaf Alag Kheench Liya Karte Hain


Jab Sabaa Aati Hai Taibah Se Idhar Khilkhila Padti Hai Kaliya(n) Yaksar
Phool Jaama Se Nikal Kar Baahar Rukhe Rangi Ki Sana Karte Hain


Tu Hai Wo Badshah E Kouno Makaa(n) Ki Malak Haft Falak Ke Har Aa(n)
Tere Maula Se Shahe Arsh Aywa(n) Teri Daulat Ki Dua Karte Hain


Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba(n) Ma'adane Noor Hai Uska Damaa(n)
Hum Bhi Us Chand Pe Ho Kar Kurbaa(n) Dil E Sangi Ki Jila Karte Hain


Kyo Na Zeba Ho Tujhse Taajwari Tere Hi Dam Ki Hai Sab Jalwa Gari
Malako Jinno Bashar Huuro Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hain


Toot Padti Hai Balaye Jin Par, Jinko Milta Nahi Koi Yaavar
Har Taraf Se Wo Pur Armaa(n) Fir Kar Unke Daaman Me Chupa Karte Hain


Lab Par Aa Jaata Hai Naam E Janaab Muh Me Ghul Jaata Hai Shahde Nayab
Wajd Me Ho Ke Hum Ay Ja(n) Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Hain


Lab Pe Kis Muh Se Ghum E Ulfat Laye(n) Kya Bala Dil Hai Alam Jiska Sunaye
Hum To Unke Kafe Paa Par Mitt Jaye Unke Darr Par Jo Mita Karte Hain


Apne Dil Ka Hai Unhi Se Aaram Soupe Hai Apne Unhi Ko Sab Kaam
Lou Lagi Hai Ke Ab Us Darr Ke Ghulam Chara-E Dard E Raza Karte Hain[/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Wednesday, August 15, 2012 04:27 AM

[B][COLOR="Purple"]Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Meri Aankh Main Samana, Madni Madeenay Walay
Meri Aankh Main Samana, Madni Madeenay Walay
Banne Dil Tera Thikana, Banne Dil Tera Thikana,
Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Meray Sub Aziz Chootay, Subhi Yaar Bhi To Roothay
Meray Sub Aziz Chootay, Subhi Yaar Bhi To Roothay
Kahin Tum Na Rooth Jaana, Kahin Tum Na Rooth Jaana, Madni Madeenay Walay
Kahin Tum Na Rooth Jaana, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Main Agarchay Hoon Kamina, Tera Hoon Sahay Madina
Mujhay Seenay Say Lagana, Madni Madeenay Walay
Mujhay Seenay Say Lagana, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Yeh Mareez Mar Raha Hai, Tere Hath Mein Shifa Hai
Yeh Mareez Mar Raha Hai, Tere Hath Mein Shifa Hai
Ae Tabib Jald Anna, Ae Tabib Jald Anna, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Kahon Kis Say Aah Ja Kar, Sunay Kaun Mairay Dilbar
Kahon Kis Say Aah Ja Kar, Sunay Kaun Mairay Dilbar
Mairay Dard Ka Fasana, Mairay Dard Ka Fasana, Madni Madeenay Walay
Mairay Dard Ka Fasana, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Main Gharib Baisahara, Kahan Aur Hai Guzara
Main Gharib Baisahara, Kahan Aur Hai Guzara
Mujhay Aap Hi Nibhana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Ye Karam Barha Karam Hai, Terya Haath Main Bharam Hai
Ye Karam Barha Karam Hai, Terya Haath Main Bharam Hai
Saray Hashr Bakhswana, Saray Hashr Bakhswana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Mujhay Aafatoon Nay Ghaira, Hai Museebatoon Ka Dira
Mujhay Aafatoon Nay Ghaira, Hai Museebatoon Ka Dira
Ya Nabi Mada Ko Aana, Ya Nabi Mada Ko Aana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Tere Saadgi Pay Lakhoon, Tere Aajzi Pay Lakhoon
Tere Saadgi Pay Lakhoon, Tere Aajzi Pay Lakhoon
Ho Salam-E-Aajizaana, Ho Salam-E-Aajizaana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Teray Naam Par Ho Qurban, Mairee Jan-E-Jaanan
Teray Naam Par Ho Qurban, Mairee Jan-E-Jaanan
Ho Naseeb Sar Katana, Madni Madeenay Walay
Ho Naseeb Sar Katana, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mere Aanay Wali Naslain, Tere Ishq Hi Main Machlain
Mere Aanay Wali Naslain, Tere Ishq Hi Main Machlain
Unhain Naik Tum Banana, Unhain Naik Tum Banana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Mere Aanay Wali Naslain, Tere Ishq Hi Main Machlain
Mere Aanay Wali Naslain, Tere Ishq Hi Main Machlain
Unhain Naik Tum Banana, Unhain Naik Tum Banana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay
Tere Ghum Main Kaash Aghtar, Rahay Har Gharhi Griftar
Tere Ghum Main Kaash Aghtar, Rahay Har Gharhi Griftar
Ghum-E-Maal Se Bachana, Ghum-E-Maal Se Bachana, Madni Madeenay Walay
Madni Madeenay Walay, Madni Madeenay Walay
Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Mujhe Dar Pe Phir Bulana, Madni Madeenay Walay
Maay-e Ishq Be Pilaana, Madni Madeenay Walay[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, August 15, 2012 04:32 AM

[B][COLOR="Green"]Meetha meetha he mere Muhammad ka naam
Un pe laakhon karoron durood o salam

Waqt laaye khuda jaaye Darbaar par
Aur khare ho ke Rawza-e-Sarkar par
Pesh mil kar kare ham durood o salaam
Un pe laakhon karoron durood o salam

Wohi Hasni Hussain chaman ke hain phool
Noor-e-Maula Ali jaan-e-Zahra batool
Jis ke Nana Rasul-e-Khuda zi makaan
Un pe laakhon karoron durood o salam

La makaan ke bane hain wohi to makeen
Jin ki naal’ain ko choome Arsh-e-barhin
Jo khuda se huwe Arsh par ham kalaam
Un pe laakhon karoron durood o salam

Shah-e-Konain wo ruh-e-daarain wo
Fakhr-e-Hasnain wo Ghaws-e-Saqlain wo
Jin ke dar ka hai Hafiz bhi adnaa ghulaam
Un pe laakhon karoron durood o salaam.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Thursday, August 16, 2012 03:54 PM

[B][COLOR="Blue"]Tala Al Badru Alyna



Tala Al badru Alyna

Logo awaaz do sab ko....dekh lo sahib-e-rab ko
roshini ghar-e-hira ki.....mil gayee parda-e- shab ko
baresh-e-najmo qamar hai...aaj se hukm-e-saher hai
raat ko raat na kehna

Tala Al badru Alyna (4)


Hashimi-o-Muttalabi hain...Fakhar-e-Ummi-o-Abi hain
Aap hi haqq ke nabi hain...Ya Faridi Ya-Shafi hain
Muzda-o-Noay-e-bashar ko...Ab tamanna-e-saher ko
Muzda-e-shab nahi rehna

Tala Al badru Alyna

Dil ne payee hain muradein...Unki rahoon ko saja dein
gul bichaaey hain saba ne...aaoo hum aankhein bicha dein
chaand ubhra hai leeye taaz... min taniyatil wada'a
wajaba shukru alaiy'na

Tala Al badru Alyna

aaye sarkar-e-madina laaye anwar-e-madina

[/COLOR][/B]

alihashmatkhoso Friday, August 17, 2012 09:51 AM

mere jholy ko bhar dy a Khudaaa.......
 
[YOUTUBE]zWK4w8O032M&feature[/YOUTUBE]

Farrukh Aziz Friday, August 17, 2012 03:03 PM

[SIZE="4"][COLOR="Green"]Rahmat ka hei darwaza khula[/COLOR][/SIZE]

[B][COLOR="Green"]Rahmat ka hei darwaza khhula maang aray maang
Deta hei karam un ka sada maang aray maang

Aa ja-ai ga ik roz bhi teba se bulawaa
Har waqt madine ki dua maang aray maang

Bhar ja-ai ga kashkol muradon se tera bhi
Ban kar mere aqa ka gada maang aray maang

Mayoos na ho ye mere lajpaal ka dar hei
Hei kiss liye khamosh khharra maang aray maang

Sarkar se sarkar ko maanguun ga niyaazi
Sarkar ne jiss waqt kaha maang aray maang.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Friday, August 17, 2012 03:06 PM

[SIZE="3"][B][COLOR="Purple"]main Madinay chala, Main madinay chala
main Madinay chala, main Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala

saqia may pila, main Madinay chala
mast-o-bay khud bana, main Madinay chala

Kaif sa cha gaya, main Madinay chala
jhoomta jhoomta, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

Ashk thamtay naheen, paon jamtay naheen
larkharata huva, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

mairay Aqa ka darr, ho ga paish-e-Nazar,
chahiaye aur kia, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala
phir karam ho gaya, main Madinay chala

mairay ganday qadam, aur unka Haram
Laaj rukhna Khuda, main Madinay chala

main Madinay chala main Madinay chala

Rooh-e-Muztarr ththehar, tu nikal na udhar
itni jaldee bhee kia, main Madinay chala

phir karam ho gaya,main Madinay chala

Haath uthhte ruhay, mujh ko daitay ruhay
voh talab say siva, main Madinay chala

kia keray ga idhar, bandh rukht-e-safar
chal Ubaid -e-Raza, main Madinay chala

main Madinay chala, main Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala[/COLOR][/B][/SIZE]

Farrukh Aziz Saturday, August 18, 2012 10:44 AM

[B][COLOR="Blue"]Mere Wird-e-Lab Hai Nabi Nabi (saws)

Mere wird-e-lab hay nabi nabi
Mera dil makan-e-habeeb hay
Main mareeze ishqe rasool (PBUH) houn
Wo habeeb mera tabeeb hay

Mere wird-e-lab hay nabi nabi
Mera dil makan-e-habeeb hay
Main mareeze ishqe rasool (PBUH) houn
Wo habeeb mera tabeeb hay

Mere wird-e-lab hay nabi nabi

Mera us gali se hay rabta
Jahan sur jukhatay hain unbeea’a
Mera us gali se hay rabta
Jahan sir jukhatay hain unbeea’a
Jahan rehmaton ka nuzool hay
Jahan rehmaton ka muzool hay
Wo jo urshe huq kay kareeb hay

Mere wird-e-lab hay nabi nabi

Main bara ameer-o-kareeb houn
Shay do sra ka aseer houn
Main bara ameer-o-kareeb houn
Main bara ameer-o-kareeb houn
Shay do sra ka aseer houn
Duray Mustafa ka fakeer houn
Duray Mustafa ka fakeer houn
Mera rifa’ataon maon naseeb hay

Mere wird-e-lab hay nabi nabi

Main ghumon-o-ulm main houn mubtala
Koi kia keray ga meri dawa
Main ghumon-o-ulm main houn mubtala
Main ghumon-o-ulm main houn mubtala
Koi kia keray ga meri dawa
Mera do jahan main teray siwa
Mera do jahan main teray siwa
Shah our kon tabeeb hay

Mere wird-e-lab hay nabi nabi

Wo bhi khoob din thy malayka
Meray samnay thy jo sur nigoon
Wo bhi khoob din thy malayka
Wo bhi khoob din thy malayka
Meray samnay thy jo sur nigoon
Wo mera urooj-e-kamal tha
Wo mera urooj-e-kamal tha
Ye zawal kitna ajeeb hay
Main mareeze ishqe rasool (PBUH) houn
Wo habeeb mera tabeeb hay

Mere wird-e-lab hay nabi nabi[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Saturday, August 18, 2012 10:46 AM

[B][COLOR="Purple"]Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei
Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei

Do aalam ka daata mere saamne hei ke kaabe ka kaaba mere saamne hei
Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein khuda ki khudaii jhuki ja rahi hei

Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein
Farishte bhi barh kar qadam choomte hein muhammad ki jogan chali aa rahi hei

Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa na aata hei kuch maangne ka tareeqa
Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hei

Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do
Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo dekho sawaari chali aa rahi hei

Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad hamare ho tum ham tumhare muhammad
Hamain apne jalwon main eh kamli waale tumhari hi surat nazar aa rahi hei

Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki hei chokhat mere saamne mustafa ki
Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hei[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Sunday, August 19, 2012 01:29 PM

[B][COLOR="Green"]Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga

Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Usman Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga

Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga

Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi
Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga

Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau'n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga

Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay
Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga

Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga.[/COLOR][/B]


12:40 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.