CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islam (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/)
-   -   Naat-e-Rasool-e-Maqbool S.A.W (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/islam/26351-naat-e-rasool-e-maqbool-s-w.html)

Farrukh Aziz Sunday, August 19, 2012 01:32 PM

[B][COLOR="Purple"]Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar
Kaif Taari Hai Qalam Par Sabz Gumbad Dekh Kar

Hai Muqaddar Yaawri Par Sabz Gumbad Dekh Kar
Phir Na Kyun Jhoomay Sana Gar Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Masjid-e-Nabwi Pe Pohonchay Marhaba Sallay Ala
Ho Gaya Jaari Zuban Par Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Aap Se Buss Aap Hee Ko Mangta Hai Ya Nabi
Aapka Adna Gadagar Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Aah! Ae Attar Tujhse Itna Bhi Na Ho Saka
Jaan Kar Deta Nichawar Sabz Gumbad Dekh Kar

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar
Kaif Taari Hai Qalam Par Sabz Gumbad Dekh Kar

Aap ki galliyon ke mangte, mujh se to ache rahe
Hai sakoon unko mayassar, sabz gumbad dekh kar

Dhoop rozaana madina choomtee hai, jhoom kar
Aur lipat jati hai ja kar, sabz gumbad dekh kar.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Monday, August 20, 2012 05:18 PM

[size="5"][color="green"][b]تیری رحمتوں کا دریا سرِ عام چل رہا ہے
مجھے بھیک مل رہی ہے میرا کام چل رہا ہے

میرے دل کی دھڑکنوں میں ہے شریک نام تیرا
اسی نام کی بدولت میرا نام چل رہا ہے

سرِ عرش نام تیرا سرِ حشر بات تیری
کہیں بات چل رہی ہے کہیں نام چل رہا ہے

اسے پوجتی ہے دنیا اسے ڈھونڈتی ہے منزل
رہ عشق مصطفی پہ جو غلام چل رہا ہے

میرے دامن گدائی میں ہے بھیک مصطفیٰ کی
اسی بھیک پر تو قاسم میرا کام چل رہا ہے[/b][/color][/size]

Farrukh Aziz Monday, August 20, 2012 05:27 PM

[B][COLOR="Blue"]Na kaleem ka tasawwur Na khiyaal-e-tur-e-sinaa
meri aarzu Muhammad meri justuju Madinah

main gadaae Mustafa hun meri azmatein nah poocho
mujhe deykh kar jahannam ko bhi aa geya paseenah

mujhe dushmano nah cherho mera koi hai jahaan main
main abhi pukaar lun ga naheen dur hai Madinah

main mareez-e-Mustafa hun mujhe cherho nah tabibo
meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Madinah

meray dubne main baqi nah koi kasar rahi thi
kahaa "almadad Muhammad" tho ubhar geyaa safinah

siwaa is ke meray dil mein koi aarzu nahein hai
mujhe mowt bhi jo aaey tho ho saamne Madinah

kabhi aey Shakeel dil se nah mite khiyaal-e-Ahmad
isi arazu mein marna isi arazu mein jeena[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Tuesday, August 21, 2012 07:27 PM

[COLOR="Green"][B][COLOR="Blue"]Noori mehfil pay chadar tanni noor ki,
Noor phela huwa aaj ki raat hai.
Chandni mein hain dubay huwey do jahan,
Kon jalwa numa aaj ki raat hai.
Farsh per dhoom hai, arsh per dhoom hai
Badnasibi hai uski jo mehroom hai,
Phir milay gi yeh shab kisko maloom hai
Aam lutfay Khuda aaj ki raat hai.
Abray rehmat hai mehfil pay chaye huwey
Aasman say malaik hain aaye huey
Khud Muhammed hain tashreef laye huwey
Kis kadar jaan fiza aaj ki raat hai.



Manglo Mang lo chashme tar mang lo
Dard e dil aur husn e nazar manglo
Kamli wale ki nagri mein ghar manglo
Mangnay ka maza aaj ki raat hai.
Momino aaj ganj e sakha lutlo
Lutlo aie marizo shifa lootlo
Asiyo rehmat e Mustafa lootlo
Babay rehmat khula aaj ki raat hai.
Khoob honay do ashkoon ki barsat ko
Do salami Muhammed ki barat ko
Choom lo chum lo aaj ki raat ko
Shab qadar kay guman aaj ki raat hai.
Waqt laye Khuda sabh Madinay chalein
Lutnay rehmatoon kay khazinay chalein
Sabh ki manzil ki janib safinay chalein
Meri sa’aim dua aaj ki raat hai.[/COLOR][/B][/COLOR]

Farrukh Aziz Tuesday, August 21, 2012 07:33 PM

[B][COLOR="Purple"]Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan,
Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.
Na Koi Aap Sa Ho Ga Na Koi Aap Jesa Tha,
Koi Yusaf Say Poochay Mustufa Ka Husn Kesa Tha,
Zameen-o-Aasmaan Main Koi Bhi Misaal Na Mili.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.
Daleel-e-Zindagi Wo Hain Kamaal-e-Bandagi Wo Hain,
Koi Bhi Daur Ho Us Main Meraj-e-Aadmi Wo Hain,
Wohi Toh Deen-o-Duniya Hai Jo Baatain Aap Nay Kahin.
Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan,
Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kull’ini.
Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen,
Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen.
Koi Bhi Baat Ho Har Hukm Unka Mutabar Aisa,
Kay Un Ka Haan Nahin Kehna Bhi Hai Quran Kay Jesa,
Hadith-e-Paak Kehlaain Jo Baatein Aap Nay Kahin.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kull’ini.
Durrod Un Par Salaam Un Par Yehi Kehna khuda Ka hai,
Khuda Kay Baad Jo Hai Martaba Salle Ala Ka Hai,
Wohi Sardaar-e-Alam Hain Wohi Gham`Khwaar-e-Ummat Hian,
Wohi Toh Hashar Kay Maidan Main Sab Ki Shifa’at Hain,
Shifa’at Kay liye Sab Ki Nazar Un Par Lagi Ho Ge.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Wednesday, August 22, 2012 11:21 AM

[B][COLOR="Blue"]Iss karam ka karoon shukr-e-kaysay adaa,
Jo karam mujh pay mayray nabi nay kiyaa,
May sajaata tha sarkaar-e-ki mehfilain,
Mujhko har gham say rab nay baree kar diyaa.

Lamha lamha hay mujh par nabi ki ataa,
Dosto aur maangoo may maula say kya,
Kya yay kam hay kay mayray khuda nay mujhay,
Apnay mehboob-e-ka ummati kar diyaa.

Jo bhi aaya hay mehfil main sarkaar ki,
Haazari mil gaee jiss ko darbaar-e-ki,
Koee Siddeeq-e-farooq, usmaan huway,
Aur kissee ko nabi nay ali kar diya

Zikr-e-sarkaar ki hay bhari barkatain,
Mil gaee raahatain, azmatain rif’atain,
May gunahgaar tha, bay amal tha magar,
Mustafa nay mujhay jannati kar diyaa.

Mayray shaahay madina ki kya baat hay,
Un ki dar say millee sab ko khairaat hay,
Sadqay jaaon nay-yaazi main lajpaal kay,
Har gadaa ko sakheenay sakhee kar diya
[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Thursday, August 23, 2012 12:42 PM

[B][COLOR="Purple"]Ser-e-gulshan kohn dekhe dasht-e-Taiba chhor kar
Sooe Jannat kohn jaaye dar tumhara chhor kar

Sar guzasht-e-gham kahoon kise tere hote huwe
Kis ke dar pe jaauun tera aastana chhor kar

Mar hi jaaoon mein agar is dar se jaaoon do qadam
Kyaa bache bimaar-e-gham qurb-e-maseehaa chhor kar

Bakhshwana mujh se aasee ka rwaa hoga kise
Kis ke daaman mein chupon daaman tumhara chhor kar

Hashr mein ik ik mun jo takte phirte hain ‘udo
Aafton mein phans gaye inka sahara chhor kar

Be likaye Yaar Unko Chain Aa jata Ager,
Baar Baar Aate Na yoon Gibreel Sidra Chhor kar.

Waapsi ka Mashwara De raha hai Paase Adab,
Ishq kehta hai ke Na ja Inka Roza Chhor kar.

Mar ke jeete hain jo unke dar pe jaate hain Hassan
Jii ke marte hain jo aate hain Madinah chhor kar.

[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Thursday, August 23, 2012 12:47 PM

[B][COLOR="Green"]Manghte he karam unka sadaa maangh rahe hain
Din raat Madine ki dua maangh rahe hain

Har ne’mate konain he daaman me hamare
Hum sadqa e Mehboob-e-Khuda maangh rahe hain

Asraar karam ke dar faqat unparhi khule he
Jo unke waseele se dua maangh rahe hain

Sarkaar ka sadqa mere Sarkaar ka sadqa
Mohtaajo Ghani Shaho gadaa maangh rahe hain

Ye maanliye he ke Tera dard he darmaan
Taalib he shifaa ke na dawaa maangh rahe hain

Daamaan-E-Amal me koyi neki na Khalid
Bus Naate Muhammad ka silaa maangh rahe hain.[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Friday, August 24, 2012 02:15 PM

[B][COLOR="Blue"]Wohii rab hai jis ne tujh ko hamah tan karam banayaa

Hamain bhiik maangte ko teraa aastaan bataayaa

Tujhey hamd hai khudayaa Tujhe hamd hau khudayaa

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Tumheen haakim-e-barayaa tumheen qaasim-e-atayaa

Tumheen daaf'e balayaa koii tum saa kown aayaa

Tujhey hamd hai khudayaa Tujhey hamd hai khudayaa

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Woh kanwaarii paak Maryam wok nafakhto fihii kaa dam

Hai ajab nishaan-e-azam magar Aminah ka jaayaa

Wohii sab se afzal aayaa Tujhey hamd hai khudayaa

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Yahii bowle sidrah waaley chaman-e-jahaan ke thaaley

Sabhii main ne chaan daaley teray payaa ka nah payaa

Tujhe yak ne yak banayaa Tujhey hamd hai khudayaa

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Arey aey khudaa ke bando koii meray dil k dhoondho

Meray paas thaa abhii to abhii kiyaa huaa khudayaa

Nah koii giyaa nah aayaa Tujhey hamd hai khudayaa

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu

Hamain aey Razaa teray dil ka patah chalaa bamushkil

Dar-e-rowzah ke muqaabil woh hamain nazar to aayaa

Yeh nah poochh kaisey paayaa Tujhey hamd hai khudayaa..

[/COLOR][/B]

Farrukh Aziz Friday, August 24, 2012 02:17 PM

[B][SIZE="3"][B][COLOR="Green"]Yeh Sarwari Hai Bhala Kya Sikandari Kya Hai
Dare Nabi Ka Gada Hun Mujhe Kami Kya Hai

Fida Naho Jo Nabi Pe Woh Ummati Kya Hai
Jo Geet Gaye Na Unke Woh Admi Kya Hai

Dare Rasool Pe Le Chal Junoone Ishq Mujhe
Baghair Aqa Ke Guzrey Woh Zindagi Kya Hai

Tarap Raha Hai Jo Roze Ki Haazri Ke Liye
Usi Gharib Se Pucho Ke Be Basi Kya Hai

Nabi Ki Shaan-e-karimi Na Maan Ne Walon
Mujhe Bas Itna Bata Do Ke Kaafri Kya Hai

Bara Karam Hai Niyazi Madiney Wale Ka
Karam Na Ho Jo Nabi Ka Woh Zindagi Kya Hai.[/COLOR][/B][/SIZE][/B]


08:51 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.